Assalamu Alaikum Dosto!
Downside Tasuki Gap Pattern
Downside Tasuki gap candlestick pattern continuation pattern ki aik qisam hai jiss teen candles shamil hoti hai. Pattern ki pehli do candles bearish hoti hai. Pattern ki pehli aik long real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka baad aik dosri bearish candle uss se dowside par gap main banti hai. Dosri bearish candle k baad aik bullish candle banti hai, jo ziadda tar small real body main hotti hai. Bullish candle dosree bearish candle k real body main open hoti hai aur pehli aur dosri candle k gap main close hoti hai. Pattern ki teesri bullish candle k ziada mazboti na hone ki waja se pattern tasalsal ka trend nechay ki taraf dobara chal parta hai.
Candles Formation
Downside Tasuki gap candlestick pattern k teen candles main pehle do candles black ya red color k yanni bearish candles hoti hai, jab k last ya teesri candle white ya green color ki yanni bullish candle hoti hai. Candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle bearish candle hotti hai, jo k black ya red color main banti hai, ye candle normal bearish size ki candle hoti hai, jo k bearish trend ko show kar rahi hoti hai.
2. Second Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se gap main downside par banta hai. Dono candles k darmeyan ye gap wazih honna chaheye, yanni dono candles ki wick bhi gap ko cover nahi karna chaheye.
3. Third Candle: Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik white ya green color main yanni bullish candle hoti hai, jo k small size main banti hai. Teesri bullish candle dosri candle k real body main open aur gap main close hoti hai. Ye white candle bullish trend reversal pattern ki nakam koshash karti hai.
Explaination
Downside Tasuki Gap Pattern pattern market k bearish pattern k mazboti ko brahati hai aur prices aur bhi lower level par jane ki koshash karti hai. Ye pattern ziada tar bearish trend ya haleya bullish ya sideways trend se bearish breakout k baad banta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil pattern hai jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Downside Tasuki gap candlestick pattern ki pehli aur dosri candles bearish candles hoti hai, jin k darmeyan downside par aik wazih gap banta hai. Pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jiss ka open bearish candle ki real body main hoti hai, jab k close pehli aur dosri candle k gap main hoti hai. Continuation patterns trend reversal pattern ki nisbat ziada payedar hen, jiss k kamyabi ka tanasub bhi ziada hai.
Trading
Downside Tasuki gap candlestick pattern ka pattern pehli do candles main hi Gap down pattern ki tarah lagta hai, jab k teesri candle ki nakam koshash se pattern k lower side par jana ziada mazbot ishara deta hai. Pattern main pehle do candles k darmeyan nechay ki taraf ka gap banna bearish trend ki hi mazboti hoti hai, lekin ye pattern small bullish candle se thora riaki ho jata hai.
Downside Tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle ki closing point gap k darmeyan ya gap se pehle hona chaheye. Pattern ki bullish candle k baad confirmation k leye aik bearish candle ka hona zarori hai, ya kisi reliable indicator se bhi trend confirmation ki ja sakti hai. Confirmation bearish candle pat market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k Stop Loss k upper side par ya pehli candle k top par se aik ya do pips above hona chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим