Describe Exhaustion Gap Strategy for Reversal !!!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Describe Exhaustion Gap Strategy for Reversal !!!
    Assalaam o alaikum! Dear members , Umeed kerta hun ke aap sab kheiriyat se honge or Forex market se acha profit hasilker rahe honge.
    Dear members, jessa ke Forex trading mein different strategies use ki jati hain jis se chart ki analysiskerne mein aasani hoti hai unhin
    strategies mein se ek strategy Exhaustion Gap strategy bhi hai . Is strategy ko main reversal mein istemal kerte hoye aap ke sath discuss
    karunga. Ager is post mein koi mistake ho jaye ya aap ke pas is postka behter opinion ho to is post ka jawab zaroor dijiye ga , aaye is
    strategy ko qareeb se janne ki koshish kerte hain.
    Exhaustion Gap Strategy For Reversal
    Dear members, Exhaustion Gap ka matlab hai ke thakawat ke darmiyan farq ka wazeh hona .Exhaustion Gap trend ke khatam hone ke bad
    paya jata hai. Bull trend mein exhaustion gap moasam ki aakhri kharidari ko represent kerta hai or yefarq bohut time baad ja ke buyers ke i
    zafe ko represent kerta hai. In ke izaafe ke baad kion ke kharidaar kam ho jate hainis liye trend ke reverse hone ka khadsha hota hai. Is liye
    hum keh sakte hain ke exhaustion gap strategy trend ke reversalke khel hai.
    Rules
    Dear members, Exhaustion Gap bohut ziada volume ke saath hota hai, mere pass bollinger bands ko use kerte hoye high volume ko talash
    kerne ka ek mayari method hai. Is condition mein hum high volume talash kerna chahte hain. Jis ke liye mein ne volume bars ka istemal
    kiya or 3 deviations ko 233 ke period ke sath bolllnger band lagaya. Wo koi bhi volume bar jo uper wali bollinger band se ziada hai wo high
    level hai.
    Last edited by ; 08-02-2022, 09:17 AM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Describe Exhaustion Gap Strategy for Reversal !!!

    Definition of exhaustion gap.
    Exhaustion gap candlestick kay through chart per appear hota hay. Yeh daily chart main banta hay jab price kafi weeks say rapid rise say uptrend main rahi ho. Exhaustion gap basically uptrend say downtrend main price shifting ki indication hoti hay. Jis say aik to uptrend kay jald end up hony ka aur dusra bullish to bearish reversal ka signal milta hay.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220208-105320_1.jpg
Views:	1
Size:	153.7 کلوبائٹ
ID:	12367320

    Special consideration.
    Exhaustion gap hamain bullish to bearish trend main shifting ka batata hay. Is main volume increase ho jata hay aur downward break ati hay. Exhaustion gap main buyers exhausted ho jaty hain jis waja say gap banta hay aur woh mazeed buy main interested nai hoty. Isi waja say iskay bad mazeed price down ati hay. Yeh gap sustained and volatile price moment kay bad banty hain jis waja say price main significant reversal ati hay. Exhaustion gap ka background is principle per hay keh buyers market say nikal jaty hain aur sellers market main qadam rakh daity hain. Isky three main features aur cinditions hain. First, price kai weeks tak up jati hay, second is main downward gap ata hay, third is particular day main volume increased ho jata hay.

    Trading analysis.
    Exhaustion gap ki occurance kay bad is din volume ziadah hota hay yani price again up jati hay. Laikin yeh gap fill nai kar pati. Is ka matlab hota hay keh previous day ki closing and current day ki opening ka gap itna ziadah hota hay keh buyers exhaust ho jaty hain aur woh security ko mazeed buy karny kay bary main interested bilkal nai hoty. Is surat main sellers aggressive approach say market main enter hoty hain aur next day price ko mazeed dosn lay jaty hain. Jis say demand main kami a jati hay aur uptrend kay khatam hony ka signal a jata hay. Youn bahut jald price iskay bad mazeed down jana shuru kar daiti hay.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220208-105916_1.jpg
Views:	1
Size:	125.6 کلوبائٹ
ID:	12367322

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220208-105858_1.jpg
Views:	1
Size:	116.6 کلوبائٹ
ID:	12367323

    اب آن لائن

    Working...
    X