Assalamu Alaikum Dosto!
Hammer Candlestick Pattern
Hammer candle aik small real body wali long lower shadow wali candle hai, jo k bullish trend reversal pattern ka uss waqat kaam karti hai, jab bhi prices market k lower area ya bearish trend main hon. Ziadda tar hammer candles main dekha gayya hai, k candle ka shadow us k real body k size ka duggna hotta hai. Hammer candle k banne ki psychology kuch is tarah se hotti hai, k aghazz me prices bullish trend k hisab se lower pe jati hai, lekin buyers k pressure ki waja se ye bullish candle ki shap main close ho jatti hai, jis se candle ki haseyat bhi bullish candle ho jati hai.
Candle Formation
Hammer candle single pattern ki candle hai, jiss ka position prices k bottom ya bearish trend ka honna chaheye. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka open aur close same nahi hone chaheye, candle ki formation darjazel tarah se honi chaheye ;
Hammer Candle Hammer candle small real body aur aik long downward shadow wali candle hai. Shadow candle ki real body ka taqreeban duggna ya us se ziadda hotti hai. Hammer candle ka color koi bhi hai, yanni ye white ya green jo marzi ho, iss ki haseyat bullish trend reversal ki hoti hai.
Explaination
Hammer candle hoti to aik small real body wali single candle hai, lekin prices k bottom main ye bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle small bullish body aur long lower shadow ki waja se prices ko mazzeed downward janne se roktti hai. Hammer candle aghaz main normal bearish trend ko hi follow kartte howe downside par bearish real bannatti hai, lekin market me bullish pressure ya buyers ki dilchaspi ki waja se prices upward chalna shoro kartti hai, jiss se candle apne open price k qareeb close ho jati hai.
Trading
Hammer candle k prices selling pressure ki waja se downward jane ki koshash karti hai, jo nakam hoti hai. Prices k lower side par rejection battati hai, aur ye yahan se bullish trend reversal ka ishara detti hai. Pattern k leye zarrori hai, k prices downtrend main hon. Candle ki lower side pe long wick honi chaheye, jo bearish trend k tasalsul ka khatma battati hai. Pattern pe trading k leye dosree confirmation bullish candle ka intezar zarror karen, q k single candle pe trading riski hai, is waja se jaise hi dosree candle bullish bantti hai, to yahan par buy ki entry karen. Stop Loss candle k sab se lower side yanni lower wick k low se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим