Discuss about Bearish Kicker candlestick pattern in Forex Trading!!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Discuss about Bearish Kicker candlestick pattern in Forex Trading!!
    Assalam o alaikum! Dear members , Umeed kerta hun aap sab khairiyat se honge or Forex Trading
    se acha profit earn ker rahe honge .Forex trading kerne ke liye chart per bohut se patterns mojude
    hain jinki madad se hum apni trading ko behter ker sakte hain unhi patterns mein se ek pattern hai
    Bearish Kicker candlestick pattern. Aaye is pattern ko qareeb se janne ki koshish kerte hain...

    Bearish Kicker Candlestick Pattern
    Dear members, Bearish Kicker ek 2 candles ka pattern hai jo ke high level pe ek large bullish candle
    stick se shuru hoti hai or phir dusri large bearish candle stick jis ki price
    continuously down ho rahi
    hoti hai . Iski movement mein Bearish ke niche ek flat candle jab ke us ke saath ek bohut choti
    candle banti hai jiski movement numayan nahin hoti .

    Dear members, Bearish Kicker pattern ko price ke uptrend ye downtrend ke baad banne ki zarurat
    nahi hoti lekin bohut ziada buy kiye hoye uptrend mein reversal signals ke tor per waqi hona ek
    behter risk/reward ratio paida ker sakta hai jab ye chart per high prices ke reversal ko show ker
    raha hota hai. Yahi wo right Bearish kicker hota hai chahe wo upward move ker raha ho chahe
    wo downward move ker raha ho chahe kisi or rukh ja raha ho..

    Ise kicker is liye kaha jata hai kiyon ke price action kisi chiz ko surakh mein marne per mushabhat
    rakhti hai . Is candle ki formation bearish sentiments ko show kerti hai jis mein price action ke
    koi buyer mojude nahi hota ya candle downward move ker rahi hoti hai. Is candle ko technically
    tor per gap down pattern bhi keh sakte hain. Ye Bearish candlestick chart bohut ziada momentum
    show kerne wale patterns mein se ek hai jis mein downside ko show kiya jata hai or seller jo ke
    ahista ashista out hote dikhayi dete hain or dusri janib short sellers aaghe barh rahe hote hain
    dono ko show ker raha hota hai.

    Ek Bearish kicker candlestick pattern is baat ka signal de sakta hai ke Bearish candle ke end mein
    long position se out hone ka time aa gaya hai. Jo is pattern mein dusri candle hai. Lekin dihaan
    rahe ke ye Bearish candle ke end mein short entry lene ka signal bhi ho sakta hai jis ke thora
    uper stop loss set hota hai.



    Umeed kerta hun aapko meri ye post pasand aayi hogi to ager aap ke pas koi behter opinion hai to comment mein
    zaroor batayen . Next post tak ke liye
    Allah Hafiz!

اب آن لائن

Working...
X