Assalamu Alaikum Dosto!
Hammer Candle Pattern
Hammer candle bhi "shooting star, hanging man candle aur Inverted hammer candles" ki tarah single pattern candle hai jo k "Umbrella Family" se taluq rakhti hai, ye candle bullish trend reversal pattern k tawar par kaam karti hai, jo k bottom trend par bantta hai. Hammer candle main candle ki ek small real body body hotti hai, jis k lower side par ek long wick hotti hai. Hammer candle ki real body ki nisbbat candle ki wick double hotti hai, jo k prices ka bearish trend par temporary movement stop kartti hai. Hammer candle ki real body bearish ya bullish dono ho saktti hai. Yanni is candle main color ki koi khas ahmeyat nahi hai, lekin candle ki position bohut zarrori hai, jo k prices ka bottom hona chaheye.
Candle Formation
Hammer candle lazmi prices k bottom par hona chaheye, iss candle ki position ko lazmi made nazar rakhna chaheye, q k is ki position prices k reversal ka kaam kartti hai, jab k color candle ka koi bhi wo zarorri nahi hai;
Hanging Man candle dono color ya types yanni bullish (white or green) aur bearish (black or red) ho saktti hai. Candle ki aik small real body hotti hai, jis ka lower side par aik lamba shadow ya tail hotti hai. Upper side par chotti se wick acceptable hai lekin ziadda lamba na ho, q k pher ye candle Spinning top candle ban jayeggi.
Explaination
Hammer candle small real body wali aik bullish trend reversal candle hai, jis k lower side par aik long shadow hoti hai. Ye candle dekhne main same "Hanging Man Candle" jaisi hotti hai lekin ye bottom trend main bantti hai. Hammer candle prices ka bearish trend reversal ka sabbab bannti hai. Hammer candle aik small real body k sath a long lower shadow par mushtamil hotti hai, jis ka shadow taqreebban body ki nisbat double k barabbar hotta hai. Hammer ki candle bullish ya bearish dono types ki ho saktti hai, jab k upper side candle ki small wick to acceptable hai lekin ziadda lamba na ho, q k iss se candle Spinning top candle ban sakti hai.
Trading
Hammer candle k banne k pechay ki kahani sellers ki market main prices ko downward push karne ki koshash kartti hai, lekin waqtti buyers pressure ki wajja se prices wapis bullish ja k candle ki aik small body main close hotti hai. Hammer candle sellers aur buyers ki pressure ki waja se candle k down side par aik long shadow ban jata hai.
Hammer candle market main buyers ki dilchaspi battati hai, is waja se ye area trading k leye perfect hai. Market main entry karnne se pehle Hammer candle ka timeframe aur position ziadda aham hai, aggar long timeframes par ye candle bantti hai, aur prices bhi bottom trend par trade kar rahi ho to ye position confirmation candle k baad buy k leye thek raheegi. Confirmation candle ka bullish honna zarorri hai, q k ye trend reversal ka kaam kartti hai. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya hammer candle k bottom side se aik do pips below pe set karen, jo prices k leye support level ka kaam karega.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим