Fibonacci Retracement
Fibonacci number aik mathematician Leonardo Fibonacci ne daryaft keye they. Yevnumber qudrati pemane ka istemal karte howe aik khas tarteeb k sath barhte jate hen. Fabonacci levels ka istemal sab se pehle qudrati ashya k number me izafay k leye tayar keya gaya tha, jis ka istemal 20th sadi eeswen me financial markets me hone laga. Fibonacci ratio k pechay basic maqsad ye hai k is ka istemal qeematon k support aur resistance level ko malom karne k leye kia jaye.
Fibonacci ratio k zarye se un levels ya position ki nishandahi ki jaye jo traders k leye munafay ka bahis banti hai. Jab market me qeematen aik trend k hisab se chal rahi hoti hai aur Fibonacci ratio bhi market ka sath de rahi ho to us sorat me qeematon ko tasalsul se chalne deya jaye. Trader trading plateforme software ki madad se Fibonacci Retracement k levels ka hisab laga sakta hai, jis se trader ko andaza ho jata hai k us ko kis level par apna munafa kamane ki zarorat hai. Forex trading me ziada tar traders apne technical analysis me Fibonacci Retracement levels par inhisar karti hai.
Fabonacci Retracement importance
- Fabonacci retracement har tarah k timeframe me istemal kia ja sakta hai, yani short term traders bhi same faida hasil kar sakta hai, jo long term k traders lete hen.
- Fabonacci retracement technical analysis me humen qeematon k support aur resistance ko malom karke trading k dowran take profit aur stop loss ki entry asani se kar sakte hen.
- Fabonacci retracement ka samjhna aur is pe trading karna sab se asan hai, q k is pattern ki values ki calculation pehle se ho chuki hoti hai. Bus traders ko aik terchay line prices k top se bottom ya bottom se top tak draw karni hoti hai.
Fabonacci Retracement ki Tafseel
Fabonacci numbers ki mazeed mathematically calculation se fabonacci sequences levels banaye jate hen. Fabonacci numbers 1,1,2,3,5,8,13,21...... Waghera waghera. Ye number lamehdos numbers hen, yanni jitni chahey aap is ko apni marzi ki calculation k leye istemal kar sakte hen. Fabonacci numbers me izzafay ki psychology kuch yon hai k har anne wala number jo k proceeding number hota hai, pechley do numbers ka majomoa hota hai, jaise 1 ko 1 k sath jama karne par 2 ata hai, pher 1 ko 2 k sath add karne par 3 ata hai, issi tarah chalte jayen, aur 8 ko 13 k sath jama karne par 21 ata hai, ye numbers banana itna mushkil nahi hai, buss matha ki calculation ani chaheye.
Fabonacci numbers malom karne k baad uss ki calculation karne se fabonacci sequences levels creat keye jate hen, ye sequences levels trading main bohut ziada aham hen, q k prices aksar in levels ko apne support aur resistance k leye istemal karte hen. Fabonacci sequences ko malom karne k leye tareeqay kar thora sa mukhtalif hai, jab bhi aik number ko uss k bad ane wale number par divided ki ajta hai, to uss se result 0.61 k aas pass ka ata hai, jo aik fabonacci sequence ka number hai, issi tarah se jab aik number ko uss k anne wale number ko chor kar agle number se divid ki jaye to ye 0.23 ki value deta hai. Ye sequence agay percentage main change karke trading k leye levels banaye jate hen.
Fabonacci Levels ka Trading me Istemal
Fabonacci retracement levels ko price chart par draw karnne k leye sab se pehle do intehaye ziada aur kam points k darmeyan aik trend line ko draw karne se kia jata hai. Six horizontal lines ki ek series fabonacci levels 0.0%, 23.6%, 38.2%, 50%, 61.8%, aur 100% par trend line ko uboor kartti howi bannaye jatti hai. Ye levels prices k leye bohut strong support and resistance ka role play karti hai.
Jab bhi kisi stock ki prices in levels k aas pass ati hai to traders market main muhtat ho jate hen, q k yahan par do qisam k soratehal ho sakte hen, ya to prices in levels ko breakout karti hai aur ya unn ko touch karke ya touch karne se pehle hi wapis ho jati hai. Agar prices inn levels ko breakout karti hai to uss k baad prices next levels par nazren jama leti hai, jo k prices ka main agla hadad hota hai, aur ziada tar prices agle levels ki taraf jati hai.
Agar prices in levels ko breakout ya breakdown nahi kar pati hai to uss sorat main ye levels support and resistance levels ban jati hai, jitni baar prices in levels se wapis hongi, utne hi ziada ye levels strong hote jayengay. Prices k fabonacci retracement levels se reverse hone ki sorat main uss ki pechli level ziada ahmeyat ikhteyar kar jate hen, jo prices k leye ziada mazbot hadaf hota hai. Fabonacci levels me 38.2% aur 61.8% k numbers ko golden numbers kaha jata hai. Jo k prices ka aik aham hadaf hota hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим