Trading Support and Resistance
Support and resistance levels forrx trading k basic terminology main istemal hote hen, jinn ki information har aik trader ya market investor ko honi chaheye, q k prices k leye ye do point bohut ziada aham hen. me qeematen do makhsos area ya range me chal rahi hoti hai. Range bound ko physically observe karna aur us pe trading karna bohut asan hai. Ye range jahan se qeematen wapis ati hen agar up side pe ho to is ko resistance level aur agar down side pe ho to support level kaha jata hai. Support aur resistance levels k bagher analysis ka mumkin hona nakami hoti hai.
Support and Resistance ki Ahmeyat
Support and resistance points trading k leye bohut ahmeyat ekhtyar karti hai jab k short term k traders ya scalping strategy par trading karne wale traders k leye ye point market main entry aur exit point ka kaam karti hai. Support and resistance levels ka chart pattern jitne lambay timeframes ka hoga to utna hi wo reliable aur ziada achahay result ka hamil hoga. Trading k leye scalping strategy main short term k support aur resistance timeframes ka intekhab kia jata hai, jab traders ko market se kam waqfay me munafa ki tawaqa ho.
Forex trading market me traders ki koshash hoti hai, k wo market support and resistance level pe hi entry aur exit karen. Traders ko lagta hai k support aur resistance levels se market reverse ho jayegi. Market k ziada tar trends ka khatma in levels pe hota hai, is waja se traders market me koshash karte hen k wo support ya Resistance level pe entry karen aur exit karen.
Support and resistance level market me traders ko bohut ziada profit deti hai. Q jab bhi traders market k extreme level pe entry karte hen to us se munafay k ziada se ziada melne k chances hote hen. Us k ba-aks traders ko loss ki sorat me nuqsan bhi kam hota hai.
Trading on Support and Resistance Levels
Support and resistance levels k darmeyan short term ki trading to ki ja sakti hai, lekin hoti bohut zyada risk hai, q k in lines ne kisi na kisi tawar par lazmi breakout hona hota hai, breakout k baad ye lines ya trend reversal hoyi hai aur trend continuation pattern ikhteyar kar leti hai. Support and resistance level pe trader ko do qisam k soratehal ka samna karna parta hai, aik trend reversal ka aur dosra breakout ka. Traders ko chaheye k wo support aur resistance k line draw karne se pehle us me ziada se ziada points ko shamil karne ki koshash karen, isi tarah se hamara support aur resistance area ka result acha melega.
Traders ko is pareshani se bachne k leye support aur resistance point ka sahi andaza lagana chaheye aur dosra price action ko bhi made-nazar rakhna zarori hai. Jab bhi price action trend reversal ya breakout ka signal de to us sorat me market me agla step leya karen. Breakout k leye support aur resistance k bahir qeematon ka intezar zaror karen, q k qeematen kuch mazeed uper ya nchay se wapis ho sakti hai. Support aur resistance ko hamesha dosre indicator ya prices chart pattern waghera k sath ekhata kar ke trading karen.