""Bearish Engulfing pattern""

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    ""Bearish Engulfing pattern""
    INTRODUCTION
    ASSALAMU ALAIKUM! Dear members ummid hai ki aap sab khairiyat se honge aur apna Kam bahut acche tarike se kar rahe honge dear member jaisa ki aap jante Hain k candlestick patteren takneeki tijarat mein ahem tools hain un ko samjhna taajiron ko market ke mumkina rujhanaat ki tashreeh karne aur un qiyasaat se faislay karne ki ijazat deta hai candlestick patteren ki mukhtalif kismain hain In mein sy bearish engulfing candlestick pattern ko discuss krty hen

    What is a Bearish Engulfing Pattern?
    Bearish engulfing pattern aik takneeki chart pattern hai jo anay wali kam qeematon ka ishara deta hai pattern aik oopar ( safaid ya sabz ) candlestick par mushtamil hota hai jis ke baad aik barri neechay ( siyah ya surkh ) candlestick hoti hai jo choti oopar wali mom batii ko girhan ya" engulf" karti hai pattern ahem ho sakta hai kyunkay yeh zahir karta hai ke baichnay walay kharidaron ko peechay chor chuke hain aur qeemat ko ziyada jarehana tareeqay se neechay ( candle neechay ) kar rahay hain jitna ke khredar usay oopar ( oopar candle ) dhakelnay ke qabil thay
    Click image for larger version

Name:	images (25) (183).png
Views:	2
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12503230

    What Does the Bearish Engulfing Pattern Tell Us?
    Qeematon mein kuch oopar ki harkat ke ekhtataam par bearish engulfing pattern nazar aata hai. is ko oopar ki raftaar ki pehli mom batii ke overtake honay ya aik barri doosri mom batii ki lapait mein le kar nishaan zad kya jata hai jo kam qeematon ki taraf tabdeeli ki nishandahi karta hai pattern mein ziyada qabil aetmaad hota hai jab engulfing candle ki khuli qeemat pehli mom batii ke band honay se kaafi oopar hoti hai, aur jab engulfing candle ka band hona pehli mom batii ke khulay se neechay hota hai. neechay ki mom batii is se kahin ziyada taaqat dikhati hai jab neechay ki mom batii oopar wali mom batii se thori barri ho pattern is waqt bhi ziyada qabil aetmaad hota hai jab yeh aik saaf harkat ko ouncha karti hai agar qeemat ka amal choppy hai ya had se ziyada hai, to bohat se engulfing pattern waqay hon ge lekin un ke nateejay mein qeematon mein barri tabdeeli ka imkaan nahi hai kyunkay qeemat ka majmoi rujhan çhoppy ya had darja hai

    Example of How to Use a Bearish Engulfing Pattern
    Chart ki misaal teen bearish engulfing pattern ko dikhati hai jo forex market mein paish aaye pehla bearish engulfing pattern barray neechay ke rujhan mein oopar ki taraf pull back ke douran hota hai pattern ke baad qeemat kam hoti hai Majmoi tasweer ko dekhte hue aglay do engulfing pattern kam ahem hain ghair mulki currency ke jore ki qeemat ki had tang hona shuru ho rahi hai, jo ke katay hue trading ki nishandahi karti hai, aur pattern ban'nay se pehlay qeemat mein bohat kam izafah hota hai. agar ulatnay ke liye bohat kam hai to ulat pattern ka bohat kam istemaal hota hai hudood aur katay hue baazaaron ke andar ghairay hue pattern aksar hotay rahen ge lekin aam tor par achay tijarti signal nahi hotay hain
    Click image for larger version

Name:	IMG_20220104_141636.jpg
Views:	2
Size:	78.9 کلوبائٹ
ID:	12503231


    Details of this pattern
    Bearish Engulfing candlestick pattern aksar market me ziada price area me bante hen, jahan se qeematon ne reversal bearish trend me jana hota hai Pattern ki 1st candle aik white real body wali banti hai, jo k market k mojooda bullish trend ko zahir kar rahi hoti hai. Pattern ki 2nd candle 1st candle se upper gap me open hoti hai, lekin close white candle k nechay ja k hoti hai Ye candle qeeamton ka trend change hona dekhtati hai Black candle white candle ko mukamal apne andar samet leti hai. Pattern me candles ki real body aur colour zarori hai, jab k shadow ki koi ahmeyat nahi hai
    Click image for larger version

Name:	images (25) (184).png
Views:	42
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12503234
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: &quot;&quot;Bearish Engulfing pattern&quot;&quot;

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Engulfing Pattern


    Bearish Engulfing Candlestick Pattern prices k top par banne wala aik strong two days candlestick pattern hai, jo k prices ko Bearish trend reversal main badal detta hai. Bearish engulfing pattern main shmail pehlee candle aik real body wali bullish candle hotti hai, jo k prices k top trend ki mazzbotti ki alammat hotti hai, lekin dosre din ki candle aik long real body wali bearish candle hotti hai, jo open to pehlee candle se top par hotti hai, lekin close uss se below hotti hai. Pehlee bullish candle dosree Bearish candle k real body k lapait main a jatti hai, jis ko "Engulfing" kaha jatta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (500).png
Views:	2
Size:	2.9 کلوبائٹ
ID:	12366942

    Candles Formation


    Dosre aam two days candle stick pattern ki tarrah Bearish engulfing candlestick pattern bhi two days candles par mushtamil hotta hai, jiss main pehlee candle bullish jab k dosree candle bearish pattern ki hotti hai, bearish engulfing candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarrah se hotti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (502).png
Views:	4
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12366944

    1. First Candle : Bearish Engulfing Candlestick Pattern ki pehlee candle aik real body main bullish candle hotti hai, jo k market k mutabbiq white ya green color main bantti hai.

    2. Second Candle: Bearish Engulfing Candlestick Pattern ki dosree candle aik strong real body main bantti hai, jo k pehlee candle se size main ziadda hotti hai. Ye candle color main black ya red hotti hai, jo k pehlee candle ko apnne lapait main le letti hai.

    Explaination

    Bearish Engulfing Candlestick Pattern market k top ya bullish main banne ki wajja se prices k leye Bearish trend reversal pattern ka kaam kartta hai. Ye pattern two days candles (bearish aur bullish candles) par mushtamil hotta hai, jiss main pehlee bullish candle prices k bullish trend ki mazzbotti battati hai. Dosre din ki Bearish candle aghazz main pehlee candle se nechay gap main open hotti hai, jo market main still bull power show kartti hai, lekin baad main market sellers k control main a janne ki wajja se ye candle aik long size main bearish candle bantti hai jo k pehlee candle se below close hotti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (499).png
Views:	1
Size:	3.4 کلوبائٹ
ID:	12366943

    Trading

    Bearish Engulfing Candlestick Pattern market main bullish taqqat ko bearish power main badalte howe dekhata hai, ye candle pattern upward main strong bearish reaction detta hai, jiss se qeematon ka trend bearish reversal ho jatta hai.
    Bearish Engulfing pattern par trading k leye zarorri hai k prices top trend ya high prices area main hon, dosra pattern ki confirmation candle ya technical indicators se bhi zarrori hai. Aggar dosree candle k baad teesri candle aik real body wali bearish candle bantti hai to ye position market main sell ki entry ka hogga. Stop Loss pattern k kisi bhi position k sab se upper side, jo ziadda tar dosree candle k top prices banne ga, par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (498).png
Views:	5
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12366941
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: &quot;&quot;Bearish Engulfing pattern&quot;&quot;

      Bearish Engulfing


      Introduction:


      Bearish Engulfing candlestick pattern do candles par mushtamil aik bearish reversal pattern hai. Is candle stick pattern me dono candles ka colour mukhtalif aur aur real body me hoti hai. Bearish Engulfing me dosre number par banne wali black candle ki real body pehli white candle se bari bhi hoti hai aur candle ki opening aur closing point bhi white candle se ziada hote hen, yani black candle black candle ki pori body ko apne andar samet leti hai. Bearish Engulfing pattern me saya ka hona aur na hona zarori nahi hai.

      Click image for larger version

Name:	images (513).png
Views:	1
Size:	1.1 کلوبائٹ
ID:	12366987

      Pattern ki Pehchan ka Rules

      1. Bearish Engulfing pattern chonkeh aik bearish trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se upward, bullish trend ya high price area me hona zarori hai.
      2. Pehli (1st) candle white hona zarori hai.
      3. Dosri candle (2nd) candle ka black hona zarori hai, jis ki opening position white candle k close position se above gap me hona chaheye aur closing position white candle k real body se below close hona chaheye, yani white candle ki pori real body black candle ki real body me sama jayegi (black candle white candle ki real body ko apne under engulf karegi).
      4. Candles ki shadow ya wick ki koi ahmeyat nahi hai, lekin colour ki importance hai.


      Click image for larger version

Name:	images (512).png
Views:	13
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12366988

      Pattern ki Tafseel


      Bearish Engulfing candle stick pattern baqi tamam bearish reversal patterns se sab se ziada mazbot bearish trend reversal pattern tasawar kia jata hai. Q k pehle white candle k bad banni wali black candle market me ferokht ki teezi ko zahir karti hai. Is pattern k banne se market me bullish trend ka ihtetam ho jata hai, aur market bearish trend k control me a jata hai.
      Bearish Engulfing pattern hamesha market k high price area ya bullish trend me banta hai, is pattern k banne se market me khareedari ka amal rukh jata hai aur market ferokht kunanda k greft me a jata hai. Is pattern me pehle white candle ki banne wali real body black candle k real body k lapait me a jati hai, jis se market me teezi ka asar khatam ho jata hai, aur market aik naye trend pe move karna shoro kar deti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (182).jpeg
Views:	1
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12366989

      Trading ka Amal


      Bearish Engulfing pattern sell signal ki alamat hoti hai. Kuch trader bearish engulfing pattern banne k bad confirmation signal ka intezar nahi karte aur market me sell ki entry kar jate hen. Jab k muhtat traders mazeed ehteyat se kaam lete howe 3rd candle ka intezar karte hen, agar 3rd candle 2nd black candle k closing point se below ja k band hoti hai to ye sell signal ko confirm kar deti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (514).png
Views:	1
Size:	19.8 کلوبائٹ
ID:	12366986

      اب آن لائن

      Working...
      X