Risk Management and Monday Management in forex trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Risk Management and Monday Management in forex trading
    Dear forex market mein Ham dekhte hain ki money management or risk management bahut jyada important factor hote Hain. kyunki jo bhi trade aapko open karni hoti hai usmein sabse pahle hamen iske lot size lagani hoti hai aur uske sath sath hamen ab new trade k target ko dekhna hota hai yah sab hamari trading planning mein add hota hai,tabhi Ham trade open karte Hain to koi bhi trade lagane se pahle hamen money management or risk management ke sath kam karenge to tab hi kamyab honge.


    WHAT IS MONEY MANAGEMENT?


    Forex money management set of processes jo aik trader apni amount ko manage karne ke liye istemal karta hai. Forex money management ka asal meaning ya hota hai ki aap apne capital ko safe kis tarah se rakhte Hain.apni amount ko save rakhne ka yah matlab nahin hai ki kabhi bhi loss Na Ho kyunki yah impossible hai balki iska matlab yah hai ki is loss se bacha jaaye jo ki aap ki baki profit ko bhi cross kar jata hai. Money management or risk management donon Sath Sath chalte Hain kyunki risk management main aap apne trade ke sary risks ko identify aur uska hal nikaalte hain jab ke money management main aap sirf apne capital ko sefe aur badhane per focus karte Hain.




    RISK MANAGEMENT:


    Risk management aur money management ka aapas mein taluk hai aur donon ek dusre se munslik hain. Money management main aap just apni investment ko dekhte hain. jab ke risk management mein aapane har EK trade ka risk aur us ka drawbacks Jo aapke account per path sakte hain unko dekhna hota hai.



    MONEY MANAGEMENT AND RISK MANAGEMENT RULES:


    Agar aap neechy diye huy rule ko Sahi follow karte Hain to aap apne capital ko safe bhi rakh sakte hain aur capital increase bhi kar sakte hain.


    POSITION SIZING:


    Position sizing ka matlab hai ki aap ek trade ke upar apny capital ka kitna risk lete hain.For example Agar aapke pass 10 hazar dollar hai to aap uska 1 ya 2 percent per trade risk Le sakte hain 10,000 ka 2% ka matlab hai ki 200 per trade aap risk Ly sakte hain. lekin agar aap kisi trade mein jyada confident hai ki aapka chances bahut jyada hai to aap apne risko thora Barha bi sakte hain.





    MAXIMUM ACCOUNT DRAWDOWN:


    Drawdown ka matlab hai ki aapane account ki total trade ko dekhte hue total loss kitna chal raha hai usko manage karna. Maslan Agar aapka $100 ka account hai aur Loss 5 chal raha hai to iska matlab hai ki aap apne risk management ko badha sakte hain aap thoda sa aur iske lekar apne account se acha profit Le sakte hain.

اب آن لائن

Working...
X