How to money management in Forex..
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to money management in Forex..
    Introduction

    Aslam o alikum

    Dear friend ummid karta hun aap sab khairiyat se honge aur apna Kam samajhdar se complete kar rahe honge aur ham aaj ka topic create karne ja rahe Hain Jo app money management in Forex trading ki ham Forex trading Mein money management ka kaise istemal kar sakte hain aur money management ko kaise use kar sakte hain


    Money management kia hy

    Dear members aisa capital hota ha jo k institutional banks or financial experts ki trf se trade kia jata ha.smart money us Qowat ko bhi kaha jata ha jo baz oqat market ko lead karti ha or move karati ha.
    Smart money retail traders k hujam se kahen ziada ka hota ha.
    Smart money traders retail traders se acha perform karty hain or wo es se acha revenue bhi generate karty hain.
    Central banks bhi smart money main involve hoty hain es lye retail traders ko bht zada compitition ka samna hota ha q k wo choty se capital se itny bary traders or institutions k sth trade karta ha.
    ye institute market ko influence bhi kar skty hain es lye jo traders smart money ko smjhty hain or follow karty hain wo kamyab hoty hain.


    Smart money:

    ear members kabhi kabhar hum dkhty hain k market main koe fundametal data na hony k bawajood bhi market main trading volume kafi ziada ho jata or market main bari bari moves hoti hain to ye smart money ki phchan hoti ha.
    es time py institutional traders market main smart money se speculate karty hain

    Smart money ko identify karny k lye sirf chart reading ka sahar lena kafi ni ha bl k hamen kch fundamental indicators se bhi es mamly main kafi madam mil skti ha.
    jesa k sentiment indicators jo k hamen btaty hain k ks time py kis position k traders zada hain or side ka trading volume zada ha to es se hamen smart money ko identify karny main madad ml skti ha.

    Trading with Smart money concept?

    ear members ham aksr chart main dkhty hain k market apny kisi trend mian jaty hovy for example downtrend main achanak se fly kr k buy main kafi opr chli jati ha or aksr hamen candle wicks dkhny ko milti hain ye spots smart money ki nishani hoty hain.
    estrha market aik lambi c candle bna k kafi gap chor jati ha market main jsko fill krny k lye market us area ko test karti ha or hamen es test oy trade leni chahye jahan se market phly reverse ho chuki hoti ha wo support area bn jata ha or wahan se dobara reversal k chanves hoty hain or hum entry le skt hain.

    es main hmara stop loss us spike ya reversal candel k nechy ho ga jb k take profit market k previous high kbequal ho ga.

    Click image for larger version

Name:	dotdash_Final_How_Traders_Use_CCI_Commodity_Channel_Index_to_Trade_Stock_Trends_Oct_2020-01-9775.jpg
Views:	6
Size:	760.5 کلوبائٹ
ID:	12503002


    Thanks DEAR[/U]
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to money management in Forex..

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Money Management


    Forex trading main money management tradesbk leye account ki safety aur uss k trading manafay main aik khas tareeqay se izafay ka zarya hai. Jiss tarah se aik trader k leye aik kamyab forex trading strategy aham hai, ussi tarah se forex trading ki achih trading management bhi trader ki kamyabi k leye zarori hai. Money management ka idea risk management se gehra taluq rakhta hai, q k trading k dowran tamam risk money k sath jora jata hai, bas uss se thora sa mukhtalif hai.
    Forex trading k money management se murad apney account k gher zarori risk main daley bagher apney pesey ko kese istemal karna hai. Forex money management ka taluq trading k dawran money loss ko kam karne ka intezam hai. Chonekh hum sab insan hen aur trading k dowran hone wali ghaltion sab ko hoti hai, to iss se bachna chaheye. Kamyab trader trading ko karobar k tawar par sochte hen. Forex trading me karobar ka maqsad pese kamana hai, pese khona nahi hai. Lehaza isse khone se bachney k jo iqdamat hote hen, wo money management main ata hai.
    Forex trading main taqreeban 90 se 95% tak k traders loss utate hen, q iss business main risk itna ziada hai, k iss main trader apni sari amdani kho sakta hai, aur kuch hi lamho main apna account wash ho sakta hai. Iss waja se jiss business main bohut ziada risk hota hai, to traders ki ziada se ziada koshash honi chaheye k wo karobar main risk ko kam se kam karne ki koshash karen. Bohut sari aisi forex trading strategies maojood hai, k jinn ko apnane se trader ziada munafa kama sakta hai aur loss kam kar sakta hai, lekin ye tareeqay kar losses ka sabab nahi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (205).jpeg
Views:	1
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12366659

    Money Management se Trading karne k Tareeqay


    Money management k hawale se darjazzel main kuch ossool hen jinn ko apnane se forex trading k money management k system ko behtar kia ja sakta hai. Ziada tar ye osol huemn market main apne sarmaye k risk k mutaleq hote hen;

    1. Trading Risk

    Trading k dowran kabhi bhi trading risk ko nazar andaz na karen, aik trader ko ye khayal rakhna chaheye k kisi aik trade par apne account ka sirf aik chota sa hisa risk main dalna chaheye. Analysts trading par 2% risk ka ziada tar kehte hen, jiss main aik trader apne trades par 2% tak ki risk lena chaheye. Jaisa k $1000 trading account par trader ko $20 ka risk lena chaheye.
    Kuch traders trades size main tabdeeli karte hen, jaisa k "Anti-martingale money management method" k mutabiq jab bhi trades munafa main hon to uss k lot size main izzafa kia jata hai, jab k loss ki sorat main lot size ko kam kia jata hai. Iss amal se trading risk kam se kam kia ja sakta hai.
    Forex trading ki aik behtareen trading strategy aur risk management plan waqat k sath sath trader ki madad karni chaheye, lekin aap ko hargez ye baat 100% confirm nahi hoti k agle trade main ya agle 10 trades main kia ho sakta hai. Agle trade k nuqsan k risk ko kam karne k leye, forex trader ko trading account k size k muqabele main trade ka size nisbatan small rakhna chaheye. Trading main experience se apne kaam ko mazeed behtar banaya ja sakta hai.

    2. Trading par Drawdown ko Set Karna

    Forex trading k dowran apney trading history ko bhi nazar andaz na karen aur iss se aap ko trading drawdown ki sahi information melti hai. Drawdown se murad trading account k prices main wo faraq hai jo k account ka pehla balance hota hai aur trades k loss k baad account ka jo balance hota hai. Drawdown jitna ziada hoga jeetne wale trades k sath account balance ko recover karna utna hi mushkil hoga. Misal k tawar par agar aik trader k account main $10,000 hai, aur trades ko $500 dollar ka loss hota hai, to ye 5% ka drawdown hai (10,000 ka 5% 500 k barabar hai).

    3. Trading Profit and Loss Risk


    Forex trading main money management ka zarori hesa take profit aur stop loss ki sahi risk rakhna bhi zarori hai, bulkeh ye money management k leyw bhi bohut ziada zaroei hai. Take profit aur stop loss ka na sirf istemal bohut aham hai, bulkeh uss k sath sath iss ka sahi istemal bhi trading k leye utna hi aham hai. Take profit jahan tak hamare account k target had ko par munafa ko mehfoz banate hen, ussi tarah se stop loss ziada loss se har sorat humen shield faraham karta hai, jo k aik achah aqdam hai.
    Forex trading main investors k jeetne wale trades ka ratio harne wale trades ki nisbat ziada honna chaheye. Agar aik trader ne risk reward ratio k mutabiq apne leye 1:1 ka intekhab kia hai, to uss k leye usse har 10 traders main se 6 lazmi win karne hongay. Aur agar uss ne 3:1 ka ratio rakha ho to uss sorat main har chota trade ka win honna zarori hai.

    4. Mind Set-Up


    Business ka hamesha aik osol hota hai, k profit k sath sath loss bhi iss ka aik aham hisa hai. Humen trading k dowran apne jazbat ya emotions aur lalach ko hamesha aik side par rakh kar trading karni chaheye. Forex trading me emotions bulkul bhi kaam nahi karte hen, k agar aik trade loss main jaye to hum uss ko recover karne ya loss ko kam karne k leye mazzeed ussi semat main trades open akrte hen ya trading par ghusa karne ki koshash main hum mazzeed trades laga kar loss uthana shoro karte hen, iss se huemn ziada se ziadda loss hasil hoga.

    اب آن لائن

    Working...
    X