Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish On-Neck Pattern
Bullish on-neck pattern "Gap Candlestick Pattern" family se taluq rakhta hai, jo k prices k top par ya bullish trend main banta hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hota hai, jo k bullish trend continuation pattern ka kaam karta hai. Pattern ki prhli candle aik strong aur long real body main bullish candle hoti hai, jiss ka baad aik baad aik bearish candle above gap main banti hai. Bearish candle k high aur low price bhi gap ko cover nahi karti hai. Iss pattern k baad agar aik small real body main bearish candle aisi ban jaye jo k dono cansles ka gap cover na karen to ye pattern "Bullish Tasuki Gap Pattern" ban jata hai, jo k same bullish trend continuation ka kaam karta hai.
Candles Formation
Bullish on-neck pattern pattern ki dono candles aik dosre se mukhtalif formate uya color main hoti hai, lekin pehli candle ki nisbat aik to dosri candle small shoti hai aur dosra ye candle above gap main banti hai, jiss se pattern trend continuation pattern ka kaam karta hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazz3l tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish on-neck pattern main shamil pehli candle aik strong aur long real body wali white ya green yanni bullish candle hoti hai. Ye candle prices k bullish ya top trend ko zahir karti hai.
2. Second Candle: Bullish on-neck pattern ki dosri candle pehli candle k opposite yanni black, green ya bearish candle hoti hai. Ye candle ziada tar small real body main hoti hai lekin zarrori nahi hai. Pattern k mutabiq ye candle pehli candle se above gap main banti hai.
Explaination
Bullish on-neck pattern aik trend continuation pattern hai jo k bullish trend ya prices k top par paya jata hai. Ye pattern same to same dekhne main "Bullish Gap Up Pattern" jaisa hai, lekin dosri candle k bearish banne ki waja se ye pattern mukhtalif ho jata hai. Pattern two days candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik longvreal body wali bullish candle hoti hai, jiss ka baad banne wali candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se above gap main banti hai. Dosri candle k open, close, high aur low pehli candle se bane gap ko cover nahi karti hai. Pattern k dosri candle bullish trend k khatme ki koshash karti hai, lekin uss main nakam ho jati hai. Pattern k baad agar aik small bearish candle banti hia jo gap ko cover na karen to ye pattern "Upside Tasuki Gap Pattern" main badal jata hai.
Trading
Bullish on-neck pattern bullish trend continuation pattern hai, jiss main pehli candle to bullish aur dosri candle bearish hoti hai, lekin bearish candle prices ko bearish trend reversal pattern main change karne main nakam ho jati hai. Ye candle market main aik strong bullish continuation pattern ka kaam karti hai, jiss ka market main kamyabi k chances taqreeban 50% se ziada hen.
Pattern par trade open karne se pehle trend confirmation candle ka honna zarori hai, q k bagher trend confirmation k trade karna bohut ziada riski hota hai. Pattern k baad agar aik candle bullish real body main banti hai to yahan par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par Stop Loss lagana zarori hai, jo k pattern k sab se lower side ya pehli candle k open position se aik ya do pips lower side par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим