Assalamu Alaikum Dosto!
Morning Star Pattern
Morning star candlestick pattern mukhtalif candles par mushtamil aik strong bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom ya downtrend main bannta hai. Ye pattern "Evening Star Pattern" k opposite formation main bantta hai, jab k "Morning Doji-Star Pattern" se mushabehat rakhta hai. Ye pattern prices k bottom main banne ki wajja se prices k leye mumkinna tawar par aik bullish trend reversal ka kaam kartta hai. Pattern ki dosree candle aik small real body wali hotti hai, jo k prices ko mazzeed bearish gerne se bachatti hai, jiss market par bulls ka ghalbba a jatta hai, aur qeematen upper side par chalnna shoro kartti hai.
Candles Formation
Morning Star candlestick pattern teen candles par mushtamil hai, jiss main har aik candle aik dosre se mukhtalif formate main bantti hai. Pattern ki pehlee candle trend k mutabiq bearish candle hotti hai, jab k dosree candle aik small real body main bullish ya bearish dono ho saktti hai, jab k teesree candle bullish candle hotti hai, jis ki tarteeb darjazzel hai;
1. First Candle: Morning Star candlestick pattern main pehlee candle aik long real body wali strong bearish candle hai, jo k market main bearish taqqat dekhatti hai, ye candle normal aik black ya red color main bantti hai.
2. Second Candle: Morning Star candlestick pattern ki dosree candle aik small real body main hotti hai, ye candle aam tawar par aik star candle bantti hai, jis ka open aur close aik dosre k bohut qareeb hotta hai. Pattern ki dosree candle kisi bhi color main ho saktti hai, lekin position is ki lazmi bearish candle k baad honni chaheye aur size main small honni chaheye. Star candle pehlee candle se gap main open aur close hotti hai.
3. Third Candle: Morning Star candlestick pattern main teesree candle aik strong real body main hotti hai, ye candle bullish trend ki white ya green ki color main bantti hai. Bullish candle dosree small candle k close k baad open hotti hai, jab k pehlee candle k midpoint se above close hotti hai.
Explaination
Morning star candlestick pattern prices k top position par banne ki wajja se prices k leye bullish trend reversal ka kaam kartti hai. Ye pattern bearish, star candle aur bullish candles par mushtamil hai, jo "Morning Doji-Star Candlestick Pattern" se mushabehat rakhta hai. Pattern ki dosree small real body wali star candle prices ko mazzeed bearish janne se roktti hai, aur third bullish candle ki waja se bullish trend main tabdeel karwa detti hai.
Morning Star candlestick pattern ki pehlee strong bearish trend market main sellers ki pressure ko dekha rahee hotti hai, lekin dosree small star candle is pressure main kammi ka sabbab bantti hai, jab k teesree long bullish candle market main buyers ka control aur trend change ka signal detti hai. Ye pattern ziadda bottom position par strong reaction detta hai.
Trading
Morning star candlestick pattern main teesree candle prices k tabdeeli ki wajja bantti hai, lekin market main sirf in pattern ki wajja se entry nahi ki ja saktti hai, bulke is k leye mazeed confirmation indicator ka signal ye bullish confirmation candle ki zarorrat hotti hai.
Morning Star candlestick pattern main agar teesri candle pehlee candle k midpoint se above ja k vlose hotti hai, to ye aik strong signal detti hai. Aggar pattern k teesree candle k baad bullish candle banne par market main buy ki entry ki ja saktti hai. Stop Loss pattern k sab se top position ya star candle k high price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим