Forex Trading main "Bullish Harami Cross Candlestick Pattern" par Trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading main "Bullish Harami Cross Candlestick Pattern" par Trading
    Bullish Harami Cross


    Introduction


    Bullish Harami Cross pattern do camdles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jis me shamil 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k qeematon k downward trend ko show kar rahi hoti hai. Pattern me 2nd candle aik doji candle banti hai, jis k high aur low (complete shadow) 1st black candle k real body k andar hoti hai. Ye pattern qeematon k bearish trend ya low price area me trend ko bullish me badal deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (151).jpeg
Views:	2
Size:	8.3 کلوبائٹ
ID:	12502300

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Bullish Harami Cross pattern aik trend reversal pattern hai, is waja se qeematon ka pehle se low price area ya bearish trend me hona chaheye.
    2. Pattern ki pehli candle aik bari real body wali black candle honi chaheye.
    3. Pattern ki dosri candle aik doji candle honi chaheye (candle k open aur close position lazmi same hone chaheye)
    4. Pattern ki 2nd doji candle k high aur low point (mukamal shadow) black candle k real body se baher nahi hona chaheye.


    Click image for larger version

Name:	images (150).jpeg
Views:	1
Size:	4.3 کلوبائٹ
ID:	12502301

    Pattern ki Tafseel


    Bullish Harami Cross pattern ziada tar low pri e area ya bearish trend k baad banta hai, is waja se ye aik trend reversal pattern hai, jis me do candles shamil hoti hai. 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k low qeematon ki tarjumani karti hai. Pattern ki 2nd candle aik doji (candle ki open aur close lazmi same hona chaheye, ziada tar ye star doji candle hoti hai) candle hoti hai. Pori Doji candle ki shadow samet black candle k real body me ban jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (338).png
Views:	9
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12502302

    Pattern pe Trading


    Bullish Harami Cross pattern bullish trend k leye buy k signal genrate karta hai, q k ye pattern low price area me banne ki waja se qeematon ko bearish trend se bullish trend me reversal kar deta hai. Pattern ki confirmation k leye 3rd white ya bullish candle ka intezar karna chaheye, nis k baad market me buy ki entry ki ja sakti hai. Stop loss bearish black candle k lower side pe set hoga.

    Click image for larger version

Name:	download (26).png
Views:	21
Size:	2.0 کلوبائٹ
ID:	12502303
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading main &quot;Bullish Harami Cross Candlestick Pattern&quot; par Trading

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bearish Harami Pattern


    Bearish Harami cross candlestick pattern "Harami pattern" ki aik qisam hai, jiss main pehli candle aik bullish hoti hai, jab k dosri candle doji candle hoti hai. Bearish harami cross pattern dekhne main same bearish harami pattern jaisa hi hai, lekin bearish harami pattern bullish white aur black candles par mushtamil hota hai, jab k bearish harami cross pattern bullish aur doji candle par muheet hota hai. Ye pattern bullish trend k baad ya high prices main banta hai, jahan se qeematen reversal hone k ziada chances hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (344).png
Views:	8
Size:	2.8 کلوبائٹ
ID:	12366128

    Candles Formation


    Bearish harami cross pattern ki main shamil pehli candle aik strong aur real body wali white ya green yanni bullish candle hoti hai, jab k dosri candle doji candle hoti hai, kiss ka open aur close ya to same hota hai aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai. Bearish harami cross pattern main shamil candles ki tafseel darjazzel hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (345).png
Views:	4
Size:	4.9 کلوبائٹ
ID:	12366129

    1. First Candle: Bearish harami cross candlestick pattern main pehli candle aik strong real body wali bullish candle hoti hai, jiss ka color green ya white hota hai. Ye candle prices k maojooda trend ya bullish trend ko zahir karta hai, jo k market main iss candle se mazzeed strong hota hai.

    2. Second Candle: Bearish harami cross candlestick pattern ki dosri candle doji candle hoti hai, jiss ka open aur close same price par hota hai, aur ya aik dosre k bohut qareeb hota hai. Doji candle ki real body na hone ki waja se ye aik cross ki tarah dekhaye deta hai. Doji candle prices main bullish trend k khatme aur prices k trend k change hone ka ishara hota hai. Doji candle chonkeh bagher real body k hoti hai, iss waja se ye colorless candle hoti hai.

    Explaination

    Bearish Harami cross candlestick pattern do candles par mushtamil aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo k prices k top par ya bullish trend k baad paya jata hai. Ye pattern dekhne main same bearish harami pattern jaisa dekhaye deta hai, lekin dosri candle k doji hone ki waja se ye uss se mukhtalif hota hai. Pattern ki pehli candle aik strong real body main bullish candle hoti hai, jo k prices ka bullish trend ki alamat hoti hai. Dosri doji candle jiss ka open aur close same point par hota hai, se bullish trend ka khatma ho jata hai aur prices bearish trend main badalne ka ishara deta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (175).jpeg
Views:	5
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12366130

    Trading

    Bearish harami cross pattern bhi bearish harami pattern ki tarah trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern do candles ka hota hai, jiss main dosri candle k doji hone ki waja se prices mazzeeed bullish trend main jane se ruk jati hai. Doji candle ki aik khas baat ye hoti hai k ye candle pehli candle k real body k darmeyan main banti hai.
    Pattern par trading karne se pehle trend confirmation ka honna zarori hai, q k reversal pattern trend confirmation k bagher riski hota hai. Pattern k baad agli candle ka bearish honna zarori hai, jo k market main entry ki position bhi hoti hai. Teesri candle k close price k baad sell k trade entre karen, aur Stop Loss ko pattern k sab se top position jo umoman pattern ki pehli candle ka close price ya high price banta hai par lagayen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (176).jpeg
Views:	6
Size:	33.8 کلوبائٹ
ID:	12366127

    اب آن لائن

    Working...
    X