V Pattern
V pattern market me bohut teezi k sath banta hai, jis ki waja se market me bohut zyada halchal hoti hai. V pattern ko market me malom karna thora mushkil hota hai, jab ye ban jata hai, tab hi humen is ka pata chal jata hai. V pattern market me tez khareedo-wa-ferokht ki waja se banta hai. Chonkeh ya pattern "V" shap ka hota hai, is waj se is pattern ko "V Pattern" bhi kaha jata hai. V pattern market k top aur bottom dono positions pe banta hai.
V Pattern k Types
V pattern k do types hen, q k ya to ye market k top pe banta hai aur ya market k sab se bottom position pe banta hai. V pattern k types darja-zel hai;
- Bullish V Top
- Bearish V Bottom
1. Bullish V Top
Bullish V Top jis ko "Bullish Spike Pattern" bhi kaha jata hai, qeematon k sab se highest price pe banti hai. Jab bhi market me aik normal bullish trend pe qeematen move kar rahi hoti hai aur is dowran achanak se ko bari news ya markazi bank se koi bayan jari hone se market volitilety ka shikar ho jati hai, jis se bullish trend yakdam (immediately) bearish trend me badal jata hai.
2. Bearish V Bottom
Bearish V pattern market k bottom me us waqat banta hai, jab qeematen aik bearish trend me ja rahi hoti hai aur achanak kiai economic news ki waja se market me volitilety peda ho jati hai, aur qeematen yakdam bullish trend me badal jati hai. Bearish V pattern ko "Bearish Spike Pattern" bhi kaha jata hai.
V Pattern aur Stop Loss
V pattern market me qeematon ki achanak tabdeeli hoti hai, is dowran hum market ki psychology itni jaldi asani se nahi samajh pate hen. V pattern banne se ya to traders ko achanak bara faida hasil ho jata hai aur ya loss. Lekin chokeh qeematen pehle trend k hisab se movement kar rahi hoti hai, is waja se ziada tar loss hi hota hai. V pattern k losses se bachne k leye traders ko apne trades k sath stop loss ki position lazmi set karna chaheye, is se kam az kam loss kam ho jata hai.