Forex Trading Main Estemal Hone wali "CANDLE" ki Information.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading Main Estemal Hone wali "CANDLE" ki Information.
    Aslam u Alaikum Dear member i hope ap sab thk hon gay, or acha kam kar rahy hon gay.Dear Agar Ham market me successful trading karna chahte hain to ismein humko fundamental analysis ki bahut jyada jarurat hoti Hai. Forex trading market Mein technical analysis ko complete karne ke sath sath fundamental analysis per bahut jyada tawajjha dene ki jarurat hoti Hai. Agar aap fundamental analysis ko ignore karte Hain to aap successful trader nahin Ban sakte hain aur aapko bahut jyada nuksan ho sakta hai. Fundamental analysis ki vajah se market mein bahut jyada movement hoti hai aur ismein aapko bahut jyada nuksan ho sakta hai.Forex trading man trader currency pairs aur commodities ki price movements ko smajhna k liye price chart ko read kerta ha, q k price chart patterns man changes, momentum aur price k trend man change ko accuracy k sath identify kerta hai.

    CANDLESTICK:

    Aik forex trader analyst k leye k market main trading shoro karne se pehle candles k bare main janna ya zarori malomat rakhna bohut aham hai. Forex trading me Candlestick chart aik aham technique hai, q k ye qeematen parhne k leye estemal hote hen. Forex trading main analyst apni marzi k mutabiq candlestick k peroid ya duration ko on, off, high, low kar sakta hai. Candlestick charts ko inferadi tawar par estemal nahi karna chaheye, bulkeh is ko dosre indicators jaise; RSI, MACD, Eliot Wave, Stochastic waghera k sath ekhata karke estemal karna chaheye, jo analysis ko mazeed darust aur kaar amad bana deti hai.

    CANDLESTICK KI INFORMATION:

    Forex trading k analysis main estemal honi wali aik single candle main prices k hawale se bohut ziada aham malomat hoti hen, jo k aam tawar par humen dosre charts jaise line ya bar charts main dasteyab nahi hote. Aik sigle candlestick jo information humen deti hen wo darjazel hai;

    Click image for larger version

Name:	images (70).jpeg
Views:	4
Size:	40.3 کلوبائٹ
ID:	12500800

    HIGH PRICE:

    Dear memberCandle k upside par selected time period duran sab se highest point ko high price kaha jata hai. Ye candle ki body bhi ho sakti hai aur candle ki wick ya shadow bhi.

    LOW PRICE:

    Dear member Candle k downside par selected time period duran sab se lower point ko low price kaha jata hai. Ye bhi candle ki body bhi ho sakti hai aur candle ki wick ya shadow bhi.

    OPEN PRICE:

    Dear member Open price se murad selected timeframe main candle ka wo hisa hota hai, jahan se candle ka aghaz hota hai.

    CLOSE PRICE:

    Dear member Close price kisi bhi timeframe ka end point hota hai, jis k baad naya timeframe shoro hota hai.

    CANDLE BODY :

    Dear member Open aur close price k darmeyan area candlestick ki body ya real body kehlati hai. Ye real body up aur down dono semato main ho sakti hai.

    Green Body: Dear Agar candle ki selected timeframe main closing price opening price se high ya ziada hai to ye candle green ya white (candle ki by default color) color ki body banati hai. Green candles banne ka matlab hai k stocks ki price uptrend main ja rahi hai, aur ye aik qisam ki musbat tabdeeli hoti hai.

    Red Body: Dear Agar candle ki selected timeframe main closing price opening price se low ya kam hai to ye candle red ya black (candle ki by default color) color ki body banati hai. Red candles green k bar akas price k downtrend ki nishandahi aur prices k manfi rawaye ko zahir karti hai.

    WICK OR SHADOW :

    Dear member Wick ya shodow aik bareek line hoti hai, jo k candles me opening aur closing price k up ya down side pe banti hai. Candles k body ki tarah wick bohut impotant malomat rakhti hai, aur baaz dafa to ye as a indicator bhi kaam karti hai. Candle k up side pe upper shadow ya wick jab k down side pe lower shadow ya wick banta hai. Kuch candles me to body bulkul hoti hi nahi hai, yani un candles me open aur close aik hi price pe hote hen, un candles ko doji candles kaha jata hai.

    CANDLESTICK AUR TIMEFRAMES:

    Dear member Candlesticks ka timeframe k sath bara khas link hota hai. Timeframes darasal candles ki aik makhsos waqat hota hai, jis k dowran price us aik hi candles me up down harkat karti hai. Aik candlestick ka time one minute, five minutes, fifteen minutes, thirty minutes, one hour, four hour, one day, one week aur one month tak ho sakti hai. Jitna aik candle ka time frame ziada hoga utna hi wo ziada informative hogi. Yani one minute aur five minutes k candles k muqabele main four hourly ya one day k timeframes wali candles ziada fayedar hoti hai.

    CONCLUSION:

    Dear member market main ap ko diffrent factor par study kr k achi tara judgement karna hai. ta k ap successfull trading krain, jab ap analysis karty hain to ap ko bhot zyada advantage available hoty hain.ap ko humesh khoshish krna ho gi k candlestick pattern ko achi tara study krain. ager achhay real chart mein faling window ko identify karnay mein moshkel hote hey laken medan mein kadam rakhnay say pehlay apni salaheton ko action mein lanay say ki moshkell nahe hote hey opar de gai example mein ap asan red arrows ka sahara lein apnay tor par falling window ko talash karen,Dear members, Nechy diy gay chart me ap clearly round bottom chart pattern ko daikh sakty hain. Agr ap is pattern ki clear understanding lay laity hain to ap ko trade krny main buht asani hogi.Forex trading ki agr bat ki jaye to es ma linear regression kay tor par time or place ko use kiya jata hai. Kisi bi time period ma daye gaye data ko observe karny sy ham future performance ko find kar sakty hain. Linear bhot zayada effective tb hoti hai jb trader es ko trend ma use karty hain. Is pattern ko use krny walo ko ye lazmi pta Hona chye ky ye bhi mumkin hai k market es pattern ma move start to kar dey but pora break down possible na ho paye. is reversal pattern ko ham false pattern b kehty hain. But agr trader k pass acha knowledge or experience hai to wo en patterns ko talash b kar sakta hai or enk false hony par counter strategy b use kar sakta hai. Isily is ki identification bhot carefully krni bhot zarori hy.

    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-10T203251.695.png
Views:	8
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12500799

اب آن لائن

Working...
X