Introduction and explanation Range trading.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Introduction and explanation Range trading.
    INTRODUCTION:

    Aslaam o Alaikum.

    Dear friends!

    Forex market ki trading main prices ki movement jab slow ho jaty hain aur wo trend main movement karna stop kar daity hain to tab hamaray samnay wahi prices range trading kehlaty hain, jinko samjhnay aur follow karnay k liye traders ko chart main supports aur resistances k levels ki help say trading start karna hoty hai aur wo tab he aisi situations say market main faida hasil kartay hain jinko ham market main range trading kehtay hain aur jink sath trading karna aik scalper k liye mushkil aur kabhi na mumkin bhi ho jaya karta hai, aj ham is topic ki help say yeh sab kuch learn karnay ki koshish kartay hain k aisi situation main hamain kya kuch karna chaye.


    Identification the range:


    Dear!
    Jab market support aur resistance levels kay darmiyan movement ko continue karty hai to tab hamaray liye is baat ko smajna asaan hai k us wakt market ranging movement main hai aur jab market d1 k time frame main range karty hai to tab har us traders k liye ziada tar faida hasil karnay k moukay ziada hotay hain jink pass is market ko smajhnay ka sahi knowledge hota hai aur tab wo sahi faida hasil bhi kartay hain. Supports aur resistances k level ko breakout honay ki confirmation k liye ham achay indicators ka agar use kartay hain to ham unk perfect breakout say market say acha faida aur achi trading ko time k sath pick aur exit kar saktay hain in rules ko follow kartay hwuay agar ham market main ranging k douran trading kartay hain to ham aik trend say ziada faida range trading say hasil kar saktay hain.


    Risk management during range:


    Dear!
    Jab traders market ki range ko identify karnay main kamyab ho jatay hain aur clear kar chukkay hotay hain to tab hamaray liye sab say ziada better yahi hota hai k hamain market main kaam karnay k liye uska risk manage karna chaye jis say trader har aik trade say hamaray account k hisaab say loss aur profit hasil karnay ka knowledge bhi hasil kartay jayengay, jab kisi support ya resistance level ko market k break karty hai to tab ham bhi apnay risk k hisaab say profit aur loss hasil karnay k baad range say apnay orders ko close kar daingay jo hamara risk ko manegement main devide kar dainge isi tarha say traders market main ranging k douraan risk ko bhi maneg karnay main kamyabi hasil kar saktay hain.


    Click image for larger version

Name:	range1.png
Views:	1
Size:	131.8 کلوبائٹ
ID:	12500736
    Shukrya.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Introduction and explanation Range trading.

    Assalamo Alaikum!

    Kesay mizaj hain friends aap sab ke ?Umeed kerta hun ke sab friends bilkul theek thaak hongay or zaberdast working ker
    rhay hongay. Aaj mai jis unwaan pr apna knowledge share kerna chahta hun wo hai "Introduction and Explaination of
    RangeTrading". Start kertay hain .

    INTRODUCTION:

    Range Trading aik aesi strategy kaa naam hai jo iss fact say faida uthaati hai k prices limit mein rahen. Iska
    istamaal currencies, stocks or dusri qaable tijaarat tools ki tijaarat ke liye kiya jaata hai. Yeh strategy technical fields
    mein techniques kaa istamaal kertay huye sab say pehlay major support or resistance level ki identification ker k act
    mein laayi jaati hai.





    Aik specific zone mein height, length or trading volume jesay factors regions ki himaayat or resistance ki taaqat ko
    measure kertay hain. Iss liye trade range markete mein security yaa to buy ki jaa sakti hai jab price support level tk
    pohnch jaati hai yaa phir sell ki jaa sakti hai jab price resistance level tak pohnch jaati hai.

    EXPLAINATION :

    Range Trading kaa basic idea yeh hai ke currencies ke pairs ki qeemat ziyada or kam hoti hai, jis ke
    darmiyaan wo aam tor per tijaarat kerta hai. Low price ke nazdeek khreed ker, aik forex trader high price ke qareeb
    qareeb profit haasil kernay ke umeed ker raha hai. OR ziyada qeemat ke qareeb khareed ker, aik forex trader low price
    ka qareeb qareeb profit haasil ker raha hai.
    Kuch osscilators jesa ke, Stochastic yaa RSL , inka istamaal hamen aik range mein important turning point ki
    identification find kernay mein helpful saabit hoga. Becouse wo ziyada farokht honay wali or ziyada khareedi hui haalton
    ki bilkul theek identification detay hain.





    Chaahay aap aik aesay pair ki trading ker rahay hon jo trending mein ho yaa ranging maahol mein ho to aap ko yeh
    jaan ker satisfaction honi chahye ke aap jo bhi maamla ho faida uthaa saktay hain. Yeh find kernay ki try karen ke aap
    kis tarah ranging market ke maahol mein tops or bottoms select ker saktay hain. Yeh sab kuch jaan ker aap her aik ke
    liye aik specific strategy istamal kernay ke qaabil ho jaayengay .

    Yeh thi meri aaj ki post, umeed kerta hun ke aap sabko meri aaj ki post achi lagi hogi. Allah Haafiz and take care of
    yourself JAZAKALLAH :1f60a:

    اب آن لائن

    Working...
    X