Japanese Candlestick Chart !!!!!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Japanese Candlestick Chart !!!!!
    Assalam o Alaikum ! Dear members, Umeed kerta hun ke aap sab khairiyat se honge or is weekend ko enjoy ker rahe hon
    ge, aaj ka mera topic Japanese Candlestick Chart ke hawale se hai, aap sab se guzarish hai ke ager aapko meri is post
    mein koi mistake hojaye to comment mein zaroor bata dia karein ta ke main next post mein wo mistakes repeat na karon
    or ager aap ke paas is topic ke hawale se behter opinions hain to aap is thread ka jawab de sakte hain. Aaye is chart ko
    qareeb se janne ki koshish karte hain...
    Japanese Candlestick Chart
    Dear members, Japanese Candlestick Chart plateform per bohut ziada ehmiyat ka hamil hai jo ke sab se ziada istemal hone wala chart hai.
    Is chart ki help se hamein market ki movement or mazeed information milti hai jo traders ki khas requirements hoti hain . Is chart ko name
    se hi asani se samjha ja sakta hai ke ise pehle Japan mein banaya gaya tha chawal ki prices ki movement ka andaaza lagane ke liye istemal
    kiya gaya tha . Is chart mein jo bhi patterns ke name dikhayi dete hain wo sare Japanese
    military vocabulary se liye gaye hain.
    Ise Europe mein 1989 mein mutaraf karaya gaya tha , Ye chart prices ki changes ko represent kerta hai or is mein istemal honewale
    colors market ki majmooyi movement mein farq wazeh karte hain. Is tareeqe ki madad se crypto traders ko rehnumayi milti hai jo chart
    ko historically dekh ker faisla lete hain.



    In candlesticks ki barri strength ye hai ke wo market ki movement ke liye demand or supply ki prices ko harwaqt
    represent kerti hain. Jab hum body, color or wick ki tafseelat per nazar dalte hain to single Japanese candlestick mein
    bohut saari information mojude hoti hain. Iski har candle mein 4 important components hote hain jis mein ek pair ki
    opening or closing price is ke saath hi particular time frame ki madad se high or low bhi shamil hain.

    Umeed hai aap ko ye post pasand aayi hogi to aap ka ek Thanks to banta hai.
    Thanks for reading Allah Hafiz!:1f61a:
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Japanese Candlestick Chart !!!!!

    Japanese Candlesticks


    Japanese Candles ki Aik Mukhtasir Tareekh:


    Aaj se taqreeban 400 saal pehle 1600 me Japan me trading k leye candlesticks ka istemal shoro howa tha. Aghaz me candlesticks ka istemal Japanese apne zaraat (agriculutre) me karte they, khas ka chawalon (rice) k pedawar ko behtar bannane me. Japanese 1800 me Candlesticks ka istemal baqayeda financial trading me karne lage. Baad me Steve Nison ne 1900 me candlesticks ka istemal Japanese traders se seekh kar, Western countries (Europe and America) me mataref (intruduce) karwaya, jo yahan pe bohut zyada mashahoor hone laga.

    Click image for larger version

Name:	images (136).jpeg
Views:	1
Size:	59.7 کلوبائٹ
ID:	12365793

    Candle Stick


    Western me financial analysis k leye baar pattern ka istemal kia jata tha. Baar bhi candle stick k tarah aik makhsos time period k dowran qeematon k bare me information dete hen, lekin jo information candlestick se melti hen, wo baar pattern me nahi hai. Japanese Candlesticks ka istemal western me sab se pehle "Steve Nison" ne kia.
    Candlesticks aik makhsos time period k dowran qeematon ka open, close, high aur low positions batate hen. Candlestick k timeframes mukhtalif ho sakte hen, jo k one minute se shoro ho kar one month tak hote hen.

    Click image for larger version

Name:	images (269).png
Views:	3
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12365794

    Candlestick k Aham Nukaat

    1. Agar aik candle ki close price open price se upper ho to ye bullish candle hoti hai, jis ko aam tawar par white color se zahir kia jata hai.
    2. Agar aik candlestick ki open price close price se ziada ho to us sorat me ye bearish candle hogi, jis ko aam tawar par black color se show kia jata hai.
    3. Candle stick k White aur black area ko real body kaha jata hai.
    4. Candle stick ki sab se patli (thin) area ko candle ka wick ya shadow kaha jata hai.
    5. Candlestick k top shadow ko high price kaha jata hai.
    6. Candlestick k lower shadow ko low price kaha jata hai.


    Click image for larger version

Name:	images (135).jpeg
Views:	2
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12365796

    Agar aik candle ki real body bari hogi to us ko long candle kaha jata hai, jab small body wali candle ko short candle kaha jata hai.

    Candle Stick ki Aqsaam


    Wese to candlesticks ki timeframe aur qeematon k mutabiq bohut sare shape bante hen, lekin aam tawar par aik candle ki teen aham aqsaam hoti hen;

    1. Bullish Candle
    2. Bearish Candle
    3. Doji Candle



    Click image for larger version

Name:	images (133).jpeg
Views:	1
Size:	10.4 کلوبائٹ
ID:	12365795

    1. Bullish Candle

    Jab bhi aik candle ki open price se closing price ziada hongi to ye candle aik bullish candle bane gi aur is candle ka color white (ziada tar istemal hone wala) ya green ban jata hai.

    2. Bearish Candle

    Jab bhi candle stick me qeematen high open aur low close ho, to is candle ko black (ziada istemal hone wala) ya red color se bhar deya jata hai, aur is candle ko bearish candle kaha jata hai.

    3. Doji Candle

    Doji candle me real body nahi hoti hai, yani candle ki opening aur closing prices same hoti hai. Candle ka kisi aik side pe ya dono side pe aik saya bhi ban sakta hai lekin real body bulkul nahi hoti.

    اب آن لائن

    Working...
    X