Assalamu Alaikum Dosto!
Matching Low Candlestick Pattern
Matching low candlestick pattern two days canrles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k prices k bottom par ya bearish trend k baad banta hai, ye pattern market main prices k mazzeed bearish na jane aur bullish trend reversal ka signal deta hai. Matching low candlestick pattern dekhne me same "Tweezers Bottom Candlestick Pattern" jaisa lagta hai, lekin Tweezers bottom pattern main dono candles ka bearish hona zarori nahi hai. Matching low candlestick pattern k banne ki peche ki psychology kuch iss tarah se hoti hai, k jab bhi prices main pehli candle aik khas bearish point par close ho jati hai aur dosre din ki candle pehle candle k close price ki bajaye above se open ho jati hai aur pehli candle k same low price par close ho jati hai. Yanni dono candles ka close ya low price same hota hai.
Candles Formation
Matching low candlestick pattern main dono din k candles same format ya trend yanni bearish trend ki candles hoti hai. Ye candles same support position par close hoti hai, jiss se prices mazzeed bearish nahi jati. Matching low candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Matching low candlestick pattern main pehli candle aik strong real body main banti hai, ye candle color main black ya red yanni bearish hoti hai. Pehli bearish candle prices main bearish trend ki mazboti dekhati hai, jo k pattern k banne se pehle prices follow kar rahi hoti hai.
2. Second Candle: Matching low candlestick pattern ki second day candle bhi same bearish trend wali hoti hai. Ye candle aik munfared candle hoti hai aur ye iss waja se hai, q k aik to iss candle ka low price same pehli candle jaisa hota hai, jab dosra ye candle pehli candle k close point k bajaye above gap main open hoti hai. Ye candle bhi aik strong real body wali candle hoti hai, jiss ka color black ya red hota hai.
Explaination
Matching low candlestick pattern aik munfared pattern hai, jiss main shamil dono din k candles bearish hone k bawajood bhi ye pattern aik bullish trend reversal ka kaam karta hai. Pattern low price area ya bearish trend main banta hai, jiss ki pehli candle aik strong real body main banne wali bearish candle hoti hai. Dosre din ki candle bhi same bearish hoti hai, lekin ye candle pehli candle k below par ya close point par open honne ki bajaye above se open hoti hai, lekin lekin candle ka close ya low price same pehli candle k close point par hoti hai. Pattern ki pehli aur dosree candle ka low ya close price same hota hai.
Trading
Matching low candlestick pattern prices main double bottom pattern banati hai, yanni prices do dafa same price ya point se reject ho jati hai. Ye point prices k leye aik strong support level ka kaam karta hai, q k pattern ki dono candles bearish trend aur bearish pattern honne ki bawajood same point ko breakout nahi kar pati hai. Ye point iss waja se aik strong support ka kaam karta hai.
Matching low candlestick pattern par trading karne k leye zarori hai, k prices bottom area ya bearish trend main hon. Dosra candlestick ki timeframe long term ki honni chaheye, jo kam az kam oneday (D1) se ziada ho. Matching low candlestick pattern par Trading se pehel confirmation candle ka honna zarori hai, jo k bullish honna zarori hai.
Matching low candlestick pattern k bad banne wali teesri bullish candle par buy ki entry karen, ye position ziada tez buying position sabi ho sakti hai. Matching low candlestick pattern par Stop Loss ka lagana zarori hai, q k reversal pattern ziada reliable nahi hotte hen. Stop loss pattern k sab se bottom position, jo k dono candles ka support level banta hai, se aik ya do pips below position par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим