Assalamu Alaikum Dosto!
Thrusting Line Pattern
Bullish thrusting line pattern two days candlestick par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jo k prices k uptrend ya bullish trend main banta hai. Pattern ki khas baat ye hai k ye pattern dekhne main same "Dark Cloud Cover Candlestick Pattern" jaisa hi hai, aur dekhne main bhi same lagta hai, lekin "Bullish Thrusting Line Pattern" main dosree black ya red yanni bearish candle pehli bullish candle k midpoint ko cross nahi karti hai. Pattern ki pehli candle aik strong aur long real body main white ya bullish candle hoti hai, jab k dosree candle bhi real body wali hoti hai, lekin ye candle aik to bearish hoti hai, dosree ye candle white candle ki nisbat small hoti hai.
Candles Formation
Bullish thrusting line pattern same format main banta hai, jiss tarah se "Bearish Dark Cloud Cover Candlestick Pattern" hota hai, lekin faraq sirf dosree candle ka small size main banna aur dosra ye candle pehli candle k midpoint se upper close hoti hai, pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish thrusting line pattern main banne wali pehli candle aik strong aur long real body wali white ya green yanni bullish candle hoti hai. Ye candle bullish trend ki continuation ko zahir karti hai, jo k pehle se hi prices main maojood hota hai.
2. Second Candle: Bullish thrusting line pattern ki dosree candle black ya red yanni bearish candle bannti hai, jo k size main pehli candle se small hoti hai. Ye candle pehli candle se above gap main open hoti hai, jab k close pehli candle k real body main hoti hai. Bearish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% ko cross nahi karna chaheye. Isi tarah se ye pattern "Dark Cloud Cover Candlestick Pattern" se format main different ban jata hai.
Explaination
Bullish thrusting line pattern dekhne main same "Dark Cloud Cover Candlestick Pattern" jaisa hota hai, lekin dosree bearish candle ka close point pehli candle k midpoint ya 50% se above hota hai. Ye trend continuation pattern hai, jo k prices k top ya bullish trend main banta hai. Ye pattern trend reversal pattern jaise "Dark cloud cover pattern" ya "Piercing Line Pattern" k muqabele main ziada kamyab rehta hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali hoti hai, jo k bullish trend ki alamat hoti hai. Jab k dosree candle size main pehle candle se kam hoti hai, jiss ka open price pehli candle se above gap main hota hai aur closing price pehli candle k midpoint se thora sa upper hota hai.
Trading
Bullish thrusting line pattern main dosree bearish candle pehli bullish candle k midpoint ya 50% hese ko cross nahi karta hai, iss waja se ye candle ziada mazbot ya moasar nahi hoyi hai. Bearish candle "Dark Cloud Cover Candlestick Pattern" ki tarah pehli candle se above open hoti hai, lekin selling pressure ki kami ki waja se pehli candle k midpoint ko cross nahi kar pati hai.
Market main ya to buying pressure ziada hota hai, aur ya selling pressure kam honne ki waja se qeematen ziada taqat se bearish nahi jati. Pattern par trading se pehle confirmation candle ya indicator ka honna zarori hai, jo k aik teesri bullish candle ho sakti hai. Ye pattern newly bullish breakout trend par ziada kamyab rehta hai. Teesri candle k baad markey main buy ki entry ki ja sakti hai. Jab k Stop Loss pattern ki pehli candle k lower par set hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим