Details about Risk and Reward Ratio.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details about Risk and Reward Ratio.
    Aslam o alaikum,

    Dear Forex member umeed karta hun aap sab khairiyat se honge dear friends trading mein successful trading karna chahty hain to is main aapko multiple factor ko acchi tarah study karky apni working main include karna hota hai, agar aap aisa nai kar sakty hain to aapko hamesha bahut zyada problem ho sakti hai aur aap kabi bhi successful trading nai kar sakty hain. Aj main aapko aik bahut hi important factor jisko forex market mein risk and reward ratio kaha jata hai, uski kuch discussion karna chahta hun.



    RISK AND REWARD RATIO :


    Risk and reward ratio k concept ko jab aap study karty hain to ismein ham ko yah idea milta hai k jab ham Koi amount hasil karna chahty hain, to usk liye kitna expenses bardasht kar sakty hain. For example jab ham aik profit ko expect karty huye market mein enter hoty hain, to definitely usk against aik amount ko expenditure mein bhi shamil karna hoga.




    Classification Of Risk And Reward Ratio:


    Forex trading mein jab ham risk and reward ratio ko properly study karty hain to mostly is mein ham 2 major division mein isko classified kar lety hain, jinki details below-mentioned explain ki ja rahi hai.


    ONE RATIO ONE :


    One ratio one ka matlab hai ki jab aap Forex trading market mein enter hoty hain, to aap apny estimated profit k 100 percent equal stop ki value select karty hain, is theory ko one ratio one kaha jata hai. For example agar aap Gold per 1785 price per trade buy ki open karty hain, to aap iska TP 1795 dollars aur iska stop loss dollers 1775 dollers ki price mein set karty hain.




    ONE RATIO TWO :


    One ratio two risk and reward ratio ko jab aap explain karty hain, to is main aapko yah information available hoti hai, jab aap aik trade open karty hain, to usmein apny estimated profit ka 50 percent stop loss ki value select karty hain. For example agar GBP USD per aik buy ki trade lety hain, to uski opening value 1.3750 hai, is ka estimated profit 1.3800 our stop loss ki value 1.3725 per ho ge. Is theory ko one ratio two kaha jata hai.




    Benefits :


    Agar aap apny account ki safety level ko maintain karna chahty hain, to definitely aapko risk and reward ratio ko ap ny study karna hota hai. kyun k without risk and reward ratio k kabi bhi successful trading nai kar sakty hain. Isliye apny account level ko maintain karny k liye aapko above-mentioned information ki base per hi trading activities ko carry on karna ho ga.
    ......Forum is a great place for traders talk.......

اب آن لائن

Working...
X