Forex traders Successful Habits
Wese to financial market me business karne wale traders par lagon hote hen, lekin forex trading me kaam karne wale traders k leye ye das (10) osool bohut aham hen, jis ko apnane se traders pane aap ko bohut had tak kamyab bana sakta hai. Koi bhi trader chahay wo successful hi q na ho wo sabar, discipline aur experience jaise adaat (habits) k sath peda nahi hota, bulke unhen is riski karobar me in ko apnana parta hai. Forex trading me kaam karne wale traders k leye ye chand aik point bohut zarori hai, jis k sath wo kafi had tak apne aapko kamyab bana sakta hai;
1. Trading*with Plan
Forex trading me trading plan kisi rahnuma se kam nahi hota, agar trader proper trading plan k mutabiq market me trading karen to us k successful trades ki tadad bohut had tak increase ho sakti hai.
Trading plan me traders k market k mutabiq entry point, exit point putting a stop loss, limit orders aur lot size shamil hote hen.
2. Currency Future Technical Analysis
Technical analysis karna forex trading market me bohut aham hai, jis tarah se aik mind set game (like chess) me do gamer aik dosre k mind k sath khelte hen, isi tarah se forex market me bhi humen currencies k future movement ko observed karna chaheye aur us k mutabiq market me entry, exit aur trade size plan karne chaheye.
3. Staying Flexible
Is ka matlab hai k kamyab traders nakami ki sorat me apni loss ko accept karte hen aur market k apne situation ko badalte rehte hen. Kabhi kabhi hamare trading plan, analysis aur sosre tajzeye thek hote hen, lekin pher kisi news ya dosre events ki waja se humen loss ho jata hai. Humen loss ko except karna chaheye aur ziada emotional ho kar mazeed loss me nahi jana chaheye.
Trading k leye Pori Tayari Karen
Successful traders market k leye har waqat tayar rehte hen, kam az kam un ki tayari 24 hours ki market ki movement k mutabiq hoti hai. Financial events se humen lazmi bakhabar rehna chaheye, ye hamare trading preparation ka lazmi juzz hai, jis me Up-coming economic data, Scheduled speakers, Central bank interest rate, Important gatherings of financial leaders, Liquidity conditions aur Unexpected events etc shamil hen.
Trading the Range (trend line)
Market k mutabiq trading karni chaheye, ziada tar market aksar aik waqat me aik hi trend ko follow karti hai. Traders ko dakhna chaheye k market bullish trend, Bearish trend ya sideways trend me hai. Agar wo kisi khas range me trade karta hai, to humen bhi usi k mutabiq apne trading setting karni chaheye.
Focusing on Few Pairs
Forex trading me analysis har currency jore pe nahi karna chaheye, q k isis tarah se hum sab currency pair pe sahi tareeqay se result hasil nahi kar sakte. Agar traders ziada currencies joron ki nisbat kuch currency pairs par focus karen to is se wo behtar result hasil kar sakta hai. Ziada tar koshash karen k aik hi currency ka mukhtalif dosre currency k sath matching karen.
Risk Reward Ratio
Apna risk reward ratio aisa tarteeb den k us me munafa bhi achah mel raha ho aur account ko bara risk bhi na ho. Agar trades k successful hone k chances ziada hen to risk reward ratio ziada rakhen aur kam profit wale trades pe kam rakhen. Agar 50/50 hon to us waqat apna reward ziada aur risk kam kia karen.
Protecting Profits
Daily ki bunyad par market se thora hi sahi lekin profit hasil karna chaheye. Kamyab traders kabhi bhi apne profit wale trades us waqat tak close nahi karta jab tak wo apne analysis k mutabiq matloba level tak phunch nahi jata.
Trading with*Stop Losses
Stop loss sarmaye ko mehfoz banane ka sab se safe tareeqa hai. Stop loss ko lazmi set karen, kabhi bhi ye na shochen k ziada loss wali trades wapis profit ya loss ko kam karegi. Aksar kabhi bhi loss me trades wapis nahi ati, q k wo jab opposite semat me breakout kar chuki hoti hai to us semat me lazmi us ne kuch faisela bhi tay karna hota hai.
Watching Other Markets
Sirf currency par trading ka inhisar na karen aur dosre markets ka bhi baghawar mutalea kia karen. Forex market me gold, oil, silver aur cryptocurrency bhi bare pemane pe profit dete hen, is waja se trading me in ka bhi istemal kia karen. Aur in k market k hawale se news, events aur dosre aham articals ko lazmi dekh leya karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим