Symmetric Triangle Trading Strategy

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Symmetric Triangle Trading Strategy
    Symmetric Triangle

    Dear friend, triangle up side market movement ma hoti hai yani is ko first point per rejection multi hai jb market neechy sy uper ati hai or phir again aik or rejection multi hai market ke high point sy lower high point ma or uskay bad higher lower point per market ko aik reverse milta hai or yeh reverse 2 hight points or aik low point ki madad se banta jisko ham Forex ma symmetrical triangle kehty hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-26T154503.616.png
Views:	1
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12499787

    Symmetric Formation

    Agr formation ki baat ki jay to is me market reversal sy pehaly market ke breakout Ka intezar Karna Hota hai ke market kis traf move karegi ager breakout market ki upside ma Hota hai to market Ka decision reverse Hoga or market retrace main chali jai ge . Aur is point per jab market retrace karey go tab hum be usma entry Leni hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-26T154430.135.jpeg
Views:	1
Size:	45.6 کلوبائٹ
ID:	12499788

    Trading Strategy on Symmetric Triangle

    Is me trading kah Leay Hamara jo price target Hona chaye wo symmetrical ki height per depend karta hai. Is ki Jo base ki height ha us per depend krta ha. Yani ke eska target eski base per position per Hona chaye.yani ke market ki base or minimum price objective per ap ka faisla Hota ha Kay trade open krny hy ya nahi.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-26T154330.033.png
Views:	1
Size:	30.3 کلوبائٹ
ID:	12499789

    How to Apply Triangles in Chart Patterns

    Triangle ko candlestick chart pattern mein is tarah apply karty hain ke agar bulesh ftrend ho to aap ny lower candle sy upper candles jo latest candle ho us tk triangle ko lower line ko aet krnq hota hai ab apko triangle ko candles ky outer side py set krna chye tb apko maloom ho jata hai ky yeh kon si candle hai. Candles ko madad sy he triangle banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-26T154308.127.png
Views:	3
Size:	6.9 کلوبائٹ
ID:	12499790

    Facts and Figures

    Yeh symmetrical triangle ho skti hai, ascending triangle ho skti hai ya descending triangle ho akti hai. Ab apko yeh bhi pta hona chye ky symmetric triangle bn jay to kya mtlb hota hai market ka behaviour next kya ho skta hai. Is me mazeed do trianges Hoti Jo darj zail hen.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-26T154206.920.jpeg
Views:	5
Size:	23.4 کلوبائٹ
ID:	12499791

    1. Ascending Triangle

    2. Descending Triangle
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Symmetric Triangle Trading Strategy

    Symmetric Triangle

    Introduction:

    Financial market me symmetric triangle us waqat banta hai, jab qeematen gher faisala-kun mor (mode) me hon. Kisi bhi chart me symmetric triangle ko us waqat asani se pehchana ja sakta hai, jab qeematen musalsal uper aur nechay slope ki shape me mutabadel "high lows" aur " low high" banate hen. Symmetric triangle us waqat bante hen, jab market me talab aur rasad (supply and demand) barabar hon, jis k natijay me market gher faisala-kun sorat ikhtiar kar jata hai. Ziada tar triangles k natijay me pehle trend k semat me breakout ya breakdown ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (103).jpeg
Views:	2
Size:	14.7 کلوبائٹ
ID:	12365269

    Trade:

    Triangle k trend line breakout hone k baad hi trading shoro ki jati hai. Jab "symmetric triangle" ki breakout/breakdown ko price action confirm karti hai, yani breakout/breakdown k uper/nechay aik do candle high/low ban jaye, to us k baad trades ki entry karen.

    Take Profit:

    Symmetric triangle k baad hone wala breakout bohut zyada strong hota hai, aur ziada tar ye triangle ki semat me hi hota hai. Partial trade ka target 50% ki position pe rakhna hi ziada samajhdari hai. Profit ko mehfoz rakhne k leye trail stop ka istemal faida mand hoga.

    Stop loss:

    False breakout hone ki sorat me symmetric triangle ka natija nakam ho jata hai. Long term me "stop loss" trend line k nechay bare "swing low" k below hoga. Jab k short term me trend line k pehle bare swing k uper stop loss set karen.

    Symmetric Triangle ki Aqsaam


    Symmetric triangle chonkeh breakout aur breakdown dono tarah ka ho sakta hai, is waja se jab qeematen trend line ko uper se breakout karti hai yo us ko "Ascending Triangle" kehte hen, aur jab qeematen trend ko nechay se breakdown karti hai to us ko "Descending Triangle" kaha jata hai. Jin ki tafseel darja-zel hai:


    Ascending Triangle

    Ascending triangle us waqat bante hen, jab qeematen bullish trend me chalti howe "higher high" aur "lower low" banati hai. Ascending triangle do trend lines se jora howa hota hai: uper ki taraf se aik horizontal line aur dosri aik uper ki taraf jati howi slope line, jo lower lows ko jorti hai. Ascending Triangle kisi bhi market me bante hen aur ye kafi reliable hote hen. Pattern mukamal hone se pehle triangle ki qeematen trend k har aik line ko kam az kam do baar kat'ti (intersect) hai. Aam tawar par top trend line se bahir 3rd ya 4rth koshash me breakout ho jata hai. Breakouts triangle k uper hisey (part) k qareeb hote hen. Is pattern ki kamyabi bohut zyada hai, q k ye taqreeban 75% apne hadaf ko pora karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (5) (148).png
Views:	1
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12365270

    Trade:

    Trend line k top k clear breakout hone pe hi trade open karen. Breakout hone k baad aik candle chor kar trade lagayen. Trend confirmation k leye price action, volume ya dosre indicators ki help li ja sakti hai.

    Take Profit:

    Ascending Triangle apne ahdaf k hosol me ziada tar kamyab hi rehta hai. Aam target triangle ka faisela hoga. Top trend line aur uper jata howa slope line k darmeyan faisela (distance) ko measure karen. Is faisele ko trend line k uper hise se breakout point tak k faisele me shamil karen. Partial trade k leye is faisele (distance) ka 50% hisa muntakhib karen.

    Stop Loss:

    Stop loss k leye trend line k lower line k nechay ya bare swing low ki position pe set karen.

    Descending Triangle


    "Descending Triangle" k rules aur regulations "Ascending Triangle" k hi jaise hen lekin bas ye bearish hota hai. Descending triangles bearish market me bante hen aur trend ko breakdown karwate hen. Aik descending triangle do trend lines se jori hoti hai, jis me aik trend line nechay ki taraf slope banati hai aur dosri aik flate trend line jo lowers ko touch karti hai, ko apas me jorti hai. Trades aksar triangle k choti k qareeb hote hai, q k qeematen nechay k trend line k bahir close hoti hai aur aik mumkina breakdown tajweez karti hai. Pattern k banne se pehle qeematon ka kam az kam do baar trend line ko katna chaheye. Ascending triangle ki tarah descending triangle me bhi kamyabi k chances bohut zyada hen.

    Click image for larger version

Name:	images (5) (149).png
Views:	2
Size:	6.2 کلوبائٹ
ID:	12365271

    Trade:

    Breakdown hone k baad triangle k outside pe aik candle chor kar sell ki entry karen. Price action, volum ya kisi dosre reliable indicator se trend lazmi confirm karen.

    Take Profit:

    Descending triangle k bhi ascending triangle ki tarah ahdaf (take profit) hen. Triangle k lowest aur highest point k darmeyan pemayesh karen, aur breakdown point se 50% aur 100% ki range pe apne ahdaf (take profit) set karen. Takefrrofit ka haddaf muntakhib karnnna targett k haossol main asani peda kartti hai.

    Stop Loss:

    Stop loss ko nechay ki taraf ate howe slope k bahir set karen. Agar qeematen top trend line k uper band hoti hen to trade ko close karen aur market se exit ho jayen.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Symmetric Triangle ek chart pattern hai jo forex mein trading strategy ke taur par istemal kiya jata hai. Ye pattern price charts par banne wale triangles ki shakal mein hota hai aur price ka future direction samjne mein madad karta hai. Symmetric Triangle pattern ko chart par recognize karne ke liye, do trendlines ko draw karte hain. Ek trendline ko high prices ke tops ko join kar ke banaya jata hai, jab ke doosri trendline ko low prices ke bottoms ko join kar ke banaya jata hai. Ye trendlines ek dusre se milte hain aur triangle ke andar price ko enclose karte hain. Aam tor par, ye pattern kisi trend ke dauran ya price consolidation phase mein dekha jata hai, jab market ki volatility kam hoti hai aur price range-bound hoti hai. Symmetric Triangle pattern ke andar price ki movement ke base par, iski trading strategy ka chunav hota hai. Ye pattern do tarah ke breakout ke sath sampann hota hai, ascending triangle aur descending triangle. Ascending triangle mein, upper trendline horizontal hoti hai aur lower trendline oblique hoti hai, jab ke descending triangle mein, lower trendline horizontal hoti hai aur upper trendline oblique hoti hai. Symmetric Triangle Trading Strategy, is pattern ke breakout par tawajjo deti hai. Breakout, jab price triangle ke andar se bahar nikalti hai, yaani kisi ek trendline ko cross karti hai, hota hai. Ye breakout ke direction par trading signal generate karta hai. Agar price ascending triangle pattern se upar nikalti hai, toh ye bullish breakout hai aur traders ko long (khareedne) ka signal deta hai. Agar price descending triangle pattern se neeche nikalti hai, toh ye bearish breakout hai aur traders ko short yani farokht karne ka signal deta hai. Symmetric Triangle Trading Strategy mein stop loss aur target levels ko set karne ka bhi tarika hota hai. Stop loss, ek level hota hai jahan par trader apni trade ko close karke nuqsaan se bach sakta hai, agar price breakout ke opposite direction mein chalne lagti hai. Target level, ek level hota hai jahan par trader apni trade ko close karke profit book kar sakta hai, agar price uss direction mein chalne lagti hai jis direction mein breakout hua tha. Is trading strategy mein, risk management bhi ahem hota hai. Traders ko apne trading capital ko samjhe hue apni trade size aur leverage ko control karne ki zaroorat hoti hai, taaki nuqsaan se bacha ja sake. Stop loss aur target levels ko samjhe hue, traders apni risk-reward ratio ko bhi evaluate kar sakte hain, jo unko trade ko samjne aur uss par faisla karne mein madad karta hai. Symmetric Triangle Trading Strategy, ek technical analysis tool hai jo traders ko market ke price patterns aur price movement ke base par trading opportunities deta hai. Iske saath sahi risk management aur trading discipline, ye strategy traders ke liye ek effective tareeqa ho sakta hai forex market mein trading karne ka. Hamesha zaroori hota hai ke traders apni trading decisions ko apni research aur analysis ke base par le kar len, aur market ki current conditions, trend, aur sentiment ko samajh kar apne trading strategy ko customize karen. Trading mein hamesha risk ko samjhe hue aur apni trading plan ko follow karke trading karen taki lambe time tak consistent aur successful trading kar sakein. Symmetric Triangle Trading Strategy, ek popular trading strategy hai forex market mein, jo price patterns aur technical analysis par tawajjo deti hai. Is strategy ke istemal se traders price ke breakout ke direction par trading signals generate kar sakte hain, aur stop loss aur target levels ko set karke risk management ko bhi samjhe hue trading kar sakte hain. Hamesha yaad rakhein ke trading mein risk zaroor hota hai, isliye apne trading capital ko samjhe hue aur risk ko manage karke trading karen. Forex market ki volatiliti aur liquidity par bhi tawajjo rakhein aur hamesha current market conditions ko samajh kar trading plan ko customize karen.
      Believe in yourself and your abilities. When you fight for your dreams, you can achieve anything.

      اب آن لائن

      Working...
      X