Tower Bottom Candlesticks Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Tower Bottom Candlesticks Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Tower Bottom Candlestick Pattern


    Tower bottom candlestick pattern main five ya five se ziadda candles hotti hai, jo k prices k bottom trend ya low price wale position par nazzar atta hai. Ye pattern aik strong bullish trend reversal ka kaam kartta hai, jabb qeematen bohut ziadda bottom trend par trade kar rahi ho. Pattern k aghaz par aik long real body ki bearish candle hotti hai, (aggar bearish candle na ho to ye small real body ki ziadda bearish candles bhi ho saktti hai). Bearish candle k baad dossri aur teesri candles aik small real body main hotti hai, aur ye candle mukhtalif colours main ho saktti hai. Pattern k akher main chotti or fourth candle aik long real body ki bullish candle hotti hai, jo k pattern ko dossre end se mukammal kar detti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (154).png
Views:	3
Size:	8.4 کلوبائٹ
ID:	12499555

    Candles Formation


    Tower bottom candlestick pattern main cabdles ki makhsos taddad nahi hai, ye candles dass (10) tak bhi ho saktti hai. Lekin standard tower bottom pattern ko panch candles se bhi mukammal pattern kaha ja hai. Tower top pattern main candles ki tafseel darjazzel hogi;

    Click image for larger version

Name:	images (153).png
Views:	9
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12499556

    1. First Candle: Tower bottom pattern ki pehlee candle aik long real body wali black ya red candle hotti hai, jo k pattern k aik side k pillar ya tower hotta hai. Ye aik long bearish candle hotti hai, jis ko pattern ka left tower bhi kaha jatta hai.

    2. Second Candle: Tower bottom pattern ki dosree candle small real body main hotti hai, ye candle kisi bhi trend (Bullish or Bearish) ki ho saktti hai. Dosree candles k color ki koi ahmeyyat nahi hai lekin is ka size bohut small honna chaheye.

    3. Third Candle:Tower bottom pattern ki teesree candle bhi dosree candle ki tarah small real body main hotti hai, ye candle bhi kisi bhi color main ho saktti hai, yanni color ziadda important nahi hai, lekin small body main honni chaheye.

    4. Fourth Candle: Tower bottom pattern ki chothi candle bhi dosri aur teesri candles ki tarah samll size aur kisi bhi type ki ho saktti hai. Is candle ka bhi color black and white dono tarah se pattern k mutabiq hotta hai.

    6......10 Other Small Candles: Aggar tower bottom pattern main small candles ki taddad panch se ziadda hai to us sorrat main ye candles bullish ya bearish jo bhi ho pattern k muttabiq acceptable hai. Lekin candles ki real body lazzmi small size main honni chaheye, jo k pattern k leye zarrori hai.

    5.Fifth Candle:Tower bottom candlestick pattern k muttabiq pattern ki akhari aur panchwen candle aik bullish candle hoggi, jo k size main pehlee bearish candle k barabar ho saktti hai, yanni ye candle aik long real body wali white ya green candle honni chaheye. Is candle ko pattern ka right tower kahha jatta hai, jo mumkinna tawar parr trend reversal ka kaam kartti hai.

    Explaination

    Tower bottom candlestick pattern ziadda tar bottom trend main banne ki waja se strong bullish trend reversal pattern ka kaam kartta hai. Pattern ki panchwen aur last candle aik long real body wali bullish candle hotti hai, jis se pattern ka trend baddal jatta hai. Tower bottom pattern main pehlee bearish candle ko left pillar ya tower jab k last bullish candle ko right tower kaha jatta hai. Pattern k bullish aur bearish candles k darmeyyan main small real size main black aur white candles hotti hai, jo k bearish trend k khatme ka bahiss bantti hai. Small candles k leye zarrori nahi hai k ye lazzmi kisi white ya black color ki ho lekin sizze lazzmi small honna chaheye.

    Click image for larger version

Name:	download (10).png
Views:	2
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12499557

    Trading

    Tower bottom pattern aksar bullish trend reversal main dekha jatta hai, jab bhi prices aik market k bottom position par challi jatti hai, to wahan se trend reversal k chances ziadda ho jatte hen. Tower bottom candlestick pattern main small real body wali candles bearish trend k end ka signal detti hai.
    Pattern par trading karne se pehle pattern k top position aur bullish candle k baad aik confirmation candle ka intezar zarror karen. Aggar ye bullish candle real body main bantti hai, to ye position market main buy ki entry ka hogga. Pattern ki confirmation dosrre indicators se bhi confirm kia ja saktta hai. Stop Loss pattern k sab se lowest point se aik ya do pips bottom position par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (81).jpeg
Views:	5
Size:	12.1 کلوبائٹ
ID:	12499558
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Tower Bottom Candlesticks Pattern

    Tower Candlestick Patterns


    Tower bottom and tower top candlestick patterns dono reversal candlestick patterns hen, jo k panch candles par mushtamil hote hen. Pattern k panch (5) candles me pehle teen (3) candles same colour k hote hen, jab k last do (2) candles opposite colour k (lekin apas me same colour) k hote hen. Tower bottom aik bullish trend reversal hai, jab k tower top aik bearish trend reversal pattern hai.

    Tower Bottom Pattern (Bullish)

    Tower bottom candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k bearish trend ya low prices area me paya jata hai. Ye pattern panvh mukhtalif candles par mushtamil hota hai, jis me pehle teen candles black colour k ya bearish candles hoti hen, jab k akhari do candles white color k ya bullish candles hoti hen.

    Click image for larger version

Name:	images (91).jpeg
Views:	4
Size:	4.5 کلوبائٹ
ID:	12365116

    Pattern ki Pehchan k Rules:
    1. Tower bottom pattern k leye zarori hai, k matket ki mojoda qeematen down trend me hon.
    2. Pattern ki 1st candle aik bari real body wali candle honi chaheye, aam tawar par ye candle Marubozu candle hoti hai, jo k market ki oversold taqat ko zahir karti hai.
    3. Pattern me 1st candle k baad banne wali candles (2nd,3rd and 4rth) choti body wali black and white candles ho sakti hai, ziada tar ye candles Spinning top ya doji candles mumkin hai. In candles se qeematon ka mazeed teezi k sath nechay jane se rukawat (pause) ban jata hai.
    4. Pattern k 5th candle real body me aik bari white candle hoti hai, jo k qeematon k reversal ka signal de rahi hoti hai.
    5. Pattern k left side par banne wali 1st black candle ko left tower aur right side par banni wali bari 5th white candle ko right tower kaha jata hai.


    Click image for larger version

Name:	images (153).png
Views:	9
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12365117

    Trading on Pattern

    Tower bottom qeematon ko oversold area me jo mazeed bohut low price me jane se rukti hai. Ye pattern aik strong bullish reversal pattern hai. Jis me panch (5) mukhtalif colours ki candles ho sakti hai, lekin 1st candle ka aik bari real body wali black candle (Marubozu candle) honi chaheye, us k baad banni wali 3rd, aur 4rth candles black aur white dono colour ki ho sakti hen, lekin ye candles real body me 1st black candle se choti honi chaheye, aam tawar par ye candle doji candles ya Spinning top candles mumkin hai. 5th number par banne wali candle trend reversal k leye bohut aham hai, q k ye aik bari real body wali white candle hoti hai jo k 3rd, aur 4rth candle se bari hoti hoti hai. 2nd, 3rd aur 4rth candles 1st aur last candles k darmeyan small body k sath banti hai. 1st black candle ko left tower jab k last white candle ko right tower kaha jata hai.
    Tower bottom buy signal ki alamat hoti hai, pattern me agar last pe banne wali white candle 3rd aur 4rth candle k top se uper close hoti hai to ye confirmation signal hoga. Lekin agar ye candle body me kam hoti hai yo pher 6th candle ka intezar zarori ho jata hai aur wo bhi bullish candle honi chaheye. Stop loss k leye position sab se kam qeemat wali black candle ka lower position hoga.

    اب آن لائن

    Working...
    X