Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Flag Pattern
Bullish Flag chart pattern aik bullish continuation pattern hai, jiss main flag do (two) mutawazi bullish lines se bantta hai, jo appas main aik mustateel bannate hen. Ye mustateel trend k mukhalif semmat par bantta hai, jiss ko aam tawar par "consolidation" kaha jatta hai. Bullish channel ki nisbat ye mustateel bohut kam waqfay ka hotta hai, jiss main khareedar trading k dowran kuch sans lene k leye ruk jatte hen.
Bullish flag ki formation bullish trend main hotti hai, qeematon main honne wala waqqfa trend k taqreeban darmeyyan main bantta hai.
Taqreeban 37% bullish flag pattern main prices pattern k top k upper par exit hotti hai. Ye pattern taqreeban 90% tak continuation pattern ka kaam kartta hai. Chonkeh ye aik bullish trend main istemal hotta hai, jiss main taqreeban 62% tak ye pattern apnne target hasil kar jatta hai. Taqreeban 10% tak ye pattern trend reversal ka kaam kartta hai. Taqreeban 76% bullish flag annually pattern upper range main bantta hai.
Important Information of Bullish Flag Pattern
Bullish flag pattern se pehle qeematen jitnni teezi k sath lower jatti hai, pattern banne k baad bhi prices bullish bohut teezi se upper jatti hai. Flag ki karkardaggi uss waqat kam hotti hai, jab flag trend ki semmat main bantti ho. Tang (narrow) lines par mushtamil flag pattern uss flag pattern se ziadda qabele bharossa hotta hai, jiss ki lines wasee (broad) hon. Aggar koi false breaks nahi bantti hai to flag ziadda strong hotti hai. Pullback flag pattern k leye nuqsandeh hai.
Explanation
Bullish flag pattern do hiso par mushtamil hotta hai, jiss main pehla hissa flag ka dhanda hotta hai, jab k dosrra hissa flag hotta hai. Flag ka dhanda bullish trend candles par mushtamil hotti hai, jo bohut teezi k sath upper ki taraf jatti hai, jab k flag mustateel shakal main bantta hai, jiss main candles small size main bantti hai, aur ye aik tarrah se channel trend lines ki tarah hotta hai. Ye hissa buyers k waqfay ka hissa hotta hai, jiss main qeematen sideways harkat kartti hai. Flag hissey main traders ye deside karnne ki koshash kartte hen, k prices k mazzeed bullish janne chaheye ya wapis reversal honna chaheye. Lekin pattern k baad qeematen continuation par hi chal partti hai.
Trading
Bullish flag pattern par do tarah se trading ki jatti hai, aik rewayatti strategy se aur dossra aggressive ya bagher trend confirmation k tareeqay kar k mutabiq se.
Rewayati trader entry karnne se pehle pattern ko complete honne k baad pattern k top par buy ki entry karen, lowest hise par stop loss put karen. Take profit ka andazza pattern k hight k mutabiq set karen, ye aik strong trend continuation trend ki mazzboti hai.
Aggressive traders ko flag k last par buy ki entry karnni chaheye aur stop loss ko flag k down hissey par set karnna chaheye. Take profit flag k top par set karnna chaheye aur tak profit 2 ko flag k double k barabar laggana chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим