What is pivot point and how it works...?
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is pivot point and how it works...?
    Market ke analysis karna hamare liye bahut jaruri hote hain aur jo trader market ko analyse Karke working karta Hai vah hamesha hi kamyab hote hain isliye hamen bhi perfect analyses karne chahie tab ham kamyab ho sakte hain agar ham market ke perfectly analyses Nahin karte Hain to fir hamen kamyabi Nahin mil paati hai isliye hamen koshish Karni chahie ki ham market ko chitra kese analyse Karen.
    forex market main kaam karnay k liye aur isay samjhnay k liye hamain kuch aisay tools ki zarurat hoty hai jis say ham market main entry aur exit ko asaan bana kar market say acha profit earn kartay hain, aisay he aik perfect tool hai jisay ham pivot point indicator k name say jantay hain yeh aik technical indicaotor hai jisay ham market k chart main supports, resistances, high aur low k baray main jannay k liye use kartay hain.

    What is Pivot Point in Forex market?

    Pivot Point ek aisa Indicator hay jisay commodities market men floor Traders sy developed kia gaya hay aor ais ki help say traders potential turning point trace out kartay hen, Mazeed ye kay Trader Pivot point ko use kar kay Forex market kay Support and Resistance level analyse karty hen. aor dosray possible turning points wo bulish ya bearish ho sakty hen.


    Click image for larger version

Name:	download (30).png
Views:	21
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12498588

    How it works..?

    Pivot point indicator ko ham kisi bhi time frame main use kartay hwuay market k trend ka andaza laga saktay hain k pair main price kahan say reject hoty hai aur kahan say is main entry lian asaan hai, is indicator ko ham M1 time frame say lay kar D1 k time frame tak trades idea hasil karnay k liye istemaal kartay hwuay acha trades idea hasil kar skaaty hain.

    How to calculate pivot point:

    Dear members, baisically pivot point indicator ko har aik time frame main ad kia ja sakta hai aur isk levels automatically calculate aur displaye ho jatay hain, aik baat ko hamain apnay mined main rakhna chaye k pivot points ziada tar day trading k liye he use karnay main ziada tar faida hota hai jis main is indicator ki help say ham high,low aur previous day ki calculation kar saktay hain.
    1. Agar ham market main Tuesday ki trading start kartay hain to tab hamain Monday ka high aur low calculate kartay hwuay Tuesday ki trading pick karni chaye.
    2. Market k close ho janay say pehlay ya next day k start ho janay say pehlay yeh sab say ziada perfect baat hai k ham chart main high aur low ko seach kartay hwuay trading ko pick karain.
    3. Jab ham pivot k baray main jaan laitay hain tab hamain yeh maloom ho jata hay k S1, S2, R1 aur R2 high aur low k baray main jannnay k liye ham previous day k chart ko calculate kartay hwuay sahi pivot point say entry hasil kar saktay hain.

    Conclusion:

    Forex Trading ek aisa business hay jismen ham jab tak full educated nai hon gay tab tak ham kamyab ni hoskaty aislye lazmi hay kay ham sab sy pehlay learning karen aor phir kuch arsa Demo Account pay practice karnay kay bad real Account open karen. analysis karnay kelye kisi expert trader ki rehnumai hasil karen. Tab hi ham is business mein kamyab ho sakte hain yah business itna aasan bhi Nahin Hai iske liye hamari practice bahut jaruri hai aur jitni hamari acchi practice hogi utani hi kamyabi ke Chances se jyada honge.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is pivot point and how it works...?

    Pivot Point


    Pivot point mukhtalif timeframes ka istemal karte howe price points par mabni qeematon ki agli movement batata (prediction) karta hai. Pivot point intehaye ziada ya kam (extreme high or low) qeemat hoti hai, jo trend k leye aik nehayat aham mor (turning point) sabit hoti hai. Pivot point k leye qeematon ka wazih hona aur chart pe numaya pe numaya dekhna chaheye. Kisi bhi timeframe me qeematon ki agli mutawaqa (projected) sab se kam ya sab se ziada qeematen pivot point hoti hai. Pivot point trading system ko as a indicator hum short aur long term ki dono trading me istemal kar sakte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (487).png
Views:	17
Size:	30.2 کلوبائٹ
ID:	12413044

    Pivot Point ki Mutawaqa Qeemat Malom karna


    Pivot point k mutawaqa qeematon ko malom karne k leye panch (5) marahel (steps) hen;
    1. Pehle aaj ki average price malom karen (A), pehle, aaj ki sab se ziada qeemat, aaj ki sab se kam qeemat aur aaj ki close qeemat ko jama (+ or pkus) karen, pher is ko teen pe taqseem (÷ or divided) karen
      A = (H + L + C) / 3
    2. Agli mutawaqa High qeemat jo "A" (aaj ki average price) k dugne se aaj ki low qeemat ko mnafi kia jayega,
      2A - L
    3. Agli mutawaqa Low qeemat jo "A" (aaj ki average price) k dugne se aaj aaj ki high qeemat ko manfi kia jayega,
      2A - H
    4. Agli aaj ki mutawaqa sab se intehaye ziada (high) average price (A) plus aaj ki actual price range,
      A + (H - L)
    5. Agli aaj ki mutawaqa sab se intehaye kam (low) average price (A) minus aaj ki actual price range,
      A - (H - L)


    Click image for larger version

Name:	images (486).png
Views:	6
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12413045

    Pivot Point aur Reverse Trading


    Pivot point trading system ka istemal minor trend semat ko malom karne k leye bohut asaan hai. Top Pivot point us waqat high hoga jab qeematen pechle high point aur agli mutawaqa high point se ziada hon. Isi tarah Bottom Pivot point us waqat low tasawar hoga, jab market ki qeematen pechli low point aur agli mutawaqa low point se kam hongi. In pivot points me se koi aik mamoli trend semat me reverse jane ka signals deta hai. Market ki closing price trend reverse ki confirmation k system ko behtar banati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (263).jpeg
Views:	1
Size:	35.3 کلوبائٹ
ID:	12413046

    Pivot Point pe Trading


    Pivot point market me qeematon k agli mumkina high aur low positions batati hai, is waja se traders na sirf pivot point ko as a trend identify indicator (trend continuation & reversal) istemal karte hen, bulke ye humen qeematon k support aur resistance levels k bare me bhi mukamal tafseel muhaya karta hai. Pivot point ki mumkina high price ko hum resistance levels k tawar par jab k low price ko support levels k tawar par istemal kar sakte hen.
    Pivot point ka istemal short term aur long term ki trading k leye to same hoga lekin timeframe ya short time k leye market me entry ki waja se dono me thora sa faraq a jata hai. Pivot point aur fabonacci retracement ki formation taqreeban same hai, q k dono horizontally market me lines draw karti hai, lekin fabonacci retracement me mukhtalif levels hote hen, jab k pivot point me aisa nahi hota hai. Is me agar top point se qeematen breakdown karke lower ati hai, to yahan pe sell ki entry hogi, same procedure buy trade k keye bhi hoga, agar qeematen support level ko breakout karke upper ki taraf jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (264).jpeg
Views:	7
Size:	17.4 کلوبائٹ
ID:	12413047

    اب آن لائن

    Working...
    X