Fundamental Analysis aur Advantages
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Fundamental Analysis aur Advantages
    Fundamental Analysis


    Fundamental analysis market main financial indicators (news events or calendar events) par munhasir hotta hai. Financial indicators ki bunyyad par traders market main assets ki vlaue (supply and demand) aur investors (market makers) ki nafseyyat (expectations) ki study karke, aur economic figures ki asha'at par tawajah dette hen. Fundamental analysis ka maqqsad mukhtalif assaso ki prices ka nazreyyati tayyun karnna hotta hai. Traders unn nazreyyati qeemat k base par assaso ki mukhtalif harkaat ko made-nazar dekhta hai.

    Click image for larger version

Name:	fundamental-analysis-magical-glassy-sunburst-blue-button-sky-background-isolated-143228933.jpg
Views:	1
Size:	45.1 کلوبائٹ
ID:	12498315

    Advantages of Fundamental Analysis


    Kisi Asset k Trend ko Samajhna

    Financial indicators kisi assase ki qeemat main kammi ya izzafa battati hai, jiss se trader market par kam inhissar karrte hen. Jab tak market k kahreedo wa ferokht ko mutaharek wale allat tabdeel nahi hotte trader iss situation main neutral rehtta hai.

    Stree main Kammi

    Fundamental analysis long term ki trading k leye qabele-amal hai, iss waja se ye short term ki trading par lago nahi hotta (sewaye high volitilety trading k). Fundamental analysis main trades weeks, months ya even salon (years) tak open hotte hen, jiss se trader ki tension ya stress kam kartti hai. Traders ko baar baar apne trades dekhne ki zarrorat nahi rehtti, iss waja se ye trading ki bajayye investing ziadda nazzar atti hai.

    Simplified Emotion Management

    Financial market main nafseyyat ka anssar new traders k leye loss ka sabbab bantti hai. Fundamental analysis main trades ki taddad kam honne aur kam waqqat denne se emotions kam hotte hen. Trading k dowran trader ko na to correction movement ki zarrorat hotti hai aur na hi usse trades k loss ka khatra hotta hai. Traders ko aik proper trading plan k mutabiq rehnna bohut assan hotta hai.

    No conflicting (Muatzad) Signals

    Fundamental analysis sirf aapko ya to buy ka kahega aur ya sell ka. Yahan par technical analysis ki tarah signals main koi tazzad nahi paya jatta hai, k buy bhi ho saktta hai aur sell bhi. Yahan par traders ko market main long term k leyye rehnna partta hai, iss waja se wo simple trend k mutabiq trade karengay.

    More Reliable

    Fundamental analysis economic study par munhasir hotta hai, iss wajja se ye aik haqqiqi analysis hai, jiss k mutabiq markett ne movement karnni hotti hai. Technical analysis jo khayalat par mabnni hotta hai, k bar-akss ye analysis ziadda relaible hai, long term duration ki wajja se ye ziadda profitable bhi hai.

اب آن لائن

Working...
X