Technical Analysis
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Technical Analysis
    Technical Analysis


    Technical analysis forex trading market main currencies pairs ki historical data k study par munhasir hai. Traders historical data study karne k baad market maker ki nafseyyat ka mutalea karte hen aur technical toola ya indicator ki maddad se mustaqbil ki harkat ko maloom kartte hen. Technical analysis imkannat par mabni hai, "k aisa mumkin ho saktta hai? " technical analysis ki maddad se aap ko market k harkat k bullish ya bearish janne ki indication meltti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (35).jpeg
Views:	4
Size:	44.6 کلوبائٹ
ID:	12498314

    Advantages of Technical Analysis

    Trend K Mutabiq Movement

    Forex trading main chart configuration prices main hone wale increaseing ya decreasing ka signla dette hen. Haraik chart pattern bullish ya bearish pattern par mushtamil hotta hai. Isi tarrah se pattern k type k mutabiq prices k maqqsad hasil karnne k imkannat ka tayyun bhi mumkin hai. Technical indicators bhi same procedure ki tarah se kaam kartte hen, jiss k leye historical data ki zarrorat parti hai.

    Reversal Patterns ko Identify karnna

    Technical analysis ki maddad traders market main prices k mor janne ya opposite direction main trend shoro karnne ka bhi signal dete hen, yahan par baaz awqqat trades jalddi open karna hotti hai, jo k trader k karkardaggi par munnhasir hai.

    Investor Market Maker ki Psychology ko Janna

    Technical charts pattern aur Japanese candlesticks ki analysis investors ki psychology ko samajhnne aur support aur resistance levels ko maloom karrne main maddad detti hai. Is se assets ki aham levels ki bhi nishan-dahi mumkin ho saktti hai, jo k historical aham support aur resistance levels sabitt ho chuke hon.

    Entry aur Exit Point ki Nishan-dahi Karnna

    Trading main sab se zarorri market main entry aur exit point ko maloom katnna hotta hai, jo k technical analysis ki maddad se hi mumkin hotta hai. Technical analysis aik se ziadda profit exit point aur stop loss ki position bhi battati hai.

    Har Trah ki Trading k leye Kar-Amad

    Technical analysis market main har tarah ki trading k leye kar-ammad hai. Yanni trader buy aur sell ki trading k sath sath short aur long term ki analysis bhi kar saktta hai. Technical analysis trader k time schedul par munhasir hai, k wo kitnna waqqat maekt main analysis ko de sakta hai aur is ko faidamand bannata hai.

    Trader k Mutabiq Strategy

    Forex trading k technical analysis k leyye mukhtalif qissam k tools jaise; charts pattern, Japanese candlesticks aur technical indicators istemal hotte hen, jis market main beshumar qissam ki strategies bannaye gayye hai. Trader ko apnni tradk hawale se jo bhi strategy achih laggay usse apnanni chaheye.

    Estemal main Asani

    Technical indicators ki basic ko seekhne k leye waqqat aur kaam ki zarrorat hotti hai. Technical knowledge ki nissbat experience ziadda kamyab amal hai, jo k market main practice karnne se hassel hotta hai. Sirf market main kamyab strategy ko identify nahi karnni hai, bulkeh market k mutabiq apnne jazzbat ko control main rakhne aur sakht discipline k zarrye se uss ko ziadda waqqat k qabele-amal banna hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Technical Analysis

    Technical analysis ko ap jitna complicated karty hain us kadar woh ap ki samaj sy bahir ho jata hai esleye koshish karain kay ap jab be technical analysis karain tu ap ko pata ho kay ap nay kon say indicator ka use karna hai or ap ko kaisy trade mai hisa laina hai. ap kuch khas indicator ka use karain or jis kadar ap un ka use acha karain gy tu ap ko samaj a jaye gi kay ap ko kaisy trade mai hisa lain gy

    Ap kay technical analysis kay sath fundamental analysis ko use karain gy tu ap ko us ka trend confirm ho jaye ga. esleye just ap technical analysis pay depend na karain

    Ap sath main apny indicator ki list ko confirm kar lain bar bar apny indicator ko use na karain. jis sy ap us ko achy sy manage kar sakty hain.

    اب آن لائن

    Working...
    X