Forex Trading me Symmetrical Triangle par trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me Symmetrical Triangle par trading
    Symmetric Triangle

    Introduction:

    Financial market me symmetric triangle us waqat banta hai, jab qeematen gher faisala-kun mor (mode) me hon. Kisi bhi chart me symmetric triangle ko us waqat asani se pehchana ja sakta hai, jab qeematen musalsal uper aur nechay slope ki shape me mutabadel "high lows" aur " low high" banate hen. Symmetric triangle us waqat bante hen, jab market me talab aur rasad (supply and demand) barabar hon, jis k natijay me market gher faisala-kun sorat ikhtiar kar jata hai. Ziada tar triangles k natijay me pehle trend k semat me breakout ya breakdown ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (44).jpeg
Views:	2
Size:	33.5 کلوبائٹ
ID:	12498305

    Trade:

    Triangle k trend line breakout hone k baad hi trading shoro ki jati hai. Jab "symmetric triangle" ki breakout/breakdown ko price action confirm karti hai, yani breakout/breakdown k uper/nechay aik do candle high/low ban jaye, to us k baad trades ki entry karen.

    Click image for larger version

Name:	images (45).jpeg
Views:	9
Size:	22.9 کلوبائٹ
ID:	12498306

    Take Profit:

    Symmetric triangle k baad hone wala breakout bohut zyada strong hota hai, aur ziada tar ye triangle ki semat me hi hota hai. Partial trade ka target 50% ki position pe rakhna hi ziada samajhdari hai. Profit ko mehfoz rakhne k leye trail stop ka istemal faida mand hoga.

    Stop loss:

    False breakout hone ki sorat me symmetric triangle ka natija nakam ho jata hai. Long term me "stop loss" trend line k nechay bare "swing low" k below hoga. Jab k short term me trend line k pehle bare swing k uper stop loss set karen.

    Symmetric Triangle ki Aqsaam


    Symmetric triangle chonkeh breakout aur breakdown dono tarah ka ho sakta hai, is waja se jab qeematen trend line ko uper se breakout karti hai yo us ko "Ascending Triangle" kehte hen, aur jab qeematen trend ko nechay se breakdown karti hai to us ko "Descending Triangle" kaha jata hai. Jin ki tafseel darja-zel hai:


    Ascending Triangle

    Ascending triangle us waqat bante hen, jab qeematen bullish trend me chalti howe "higher high" aur "lower low" banati hai. Ascending triangle do trend lines se jora howa hota hai: uper ki taraf se aik horizontal line aur dosri aik uper ki taraf jati howi slope line, jo lower lows ko jorti hai. Ascending Triangle kisi bhi market me bante hen aur ye kafi reliable hote hen. Pattern mukamal hone se pehle triangle ki qeematen trend k har aik line ko kam az kam do baar kat'ti (intersect) hai. Aam tawar par top trend line se bahir 3rd ya 4rth koshash me breakout ho jata hai. Breakouts triangle k uper hisey (part) k qareeb hote hen. Is pattern ki kamyabi bohut zyada hai, q k ye taqreeban 75% apne hadaf ko pora karta hai.

    Trade:

    Trend line k top k clear breakout hone pe hi trade open karen. Breakout hone k baad aik candle chor kar trade lagayen. Trend confirmation k leye price action, volume ya dosre indicators ki help li ja sakti hai.

    Take Profit:

    Ascending Triangle apne ahdaf k hosol me ziada tar kamyab hi rehta hai. Aam target triangle ka faisela hoga. Top trend line aur uper jata howa slope line k darmeyan faisela (distance) ko measure karen. Is faisele ko trend line k uper hise se breakout point tak k faisele me shamil karen. Partial trade k leye is faisele (distance) ka 50% hisa muntakhib karen.

    Stop Loss:

    Stop loss k leye trend line k lower line k nechay ya bare swing low ki position pe set karen.

    Descending Triangle


    "Descending Triangle" k rules aur regulations "Ascending Triangle" k hi jaise hen lekin bas ye bearish hota hai. Descending triangles bearish market me bante hen aur trend ko breakdown karwate hen. Aik descending triangle do trend lines se jori hoti hai, jis me aik trend line nechay ki taraf slope banati hai aur dosri aik flate trend line jo lowers ko touch karti hai, ko apas me jorti hai. Trades aksar triangle k choti k qareeb hote hai, q k qeematen nechay k trend line k bahir close hoti hai aur aik mumkina breakdown tajweez karti hai. Pattern k banne se pehle qeematon ka kam az kam do baar trend line ko katna chaheye. Ascending triangle ki tarah descending triangle me bhi kamyabi k chances bohut zyada hen.

    Trade:

    Breakdown hone k baad triangle k outside pe aik candle chor kar sell ki entry karen. Price action, volum ya kisi dosre reliable indicator se trend lazmi confirm karen.

    Take Profit:

    Descending triangle k bhi ascending triangle ki tarah ahdaf (take profit) hen. Triangle k lowest aur highest point k darmeyan pemayesh karen, aur breakdown point se 50% aur 100% ki range pe apne ahdaf (take profit) set karen. Takefrrofit ka haddaf muntakhib karnnna targett k haossol main asani peda kartti hai.

    Stop Loss:

    Stop loss ko nechay ki taraf ate howe slope k bahir set karen. Agar qeematen top trend line k uper band hoti hen to trade ko close karen aur market se exit ho jayen.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading me Symmetrical Triangle par trading

    Symmetric triangle us chart pattern par depend karta hai jis ma do converging trend line hoti hai jo chart ma peak or troughts ko connect karta hai. Converging line ko easy slope kay tor par draw karna chahe. Esa pattern jis ma converging line slope ko show ni kar rahi hoti esko ham rising wedge or falling wedge form hota hai. Es topic ma ham symmetric triangle ko detail kay sath study karyn gy.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220120-145948_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	106.2 کلوبائٹ
ID:	12364227Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220120-145926_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	109.5 کلوبائٹ
ID:	12364228

    Key explanation.

    Symmetric chart pattern es time par occur karty hain jb consolidation state ma to converging line ik slope form karti hai. Symmetric triangle kay breakout or breakdown ko initial high or low point kay equal show kiya jata hai or ye breakdown or breakout point ko show karta hai. Bhot sary trader symmetrical triangle ko other technical tools kay sath combine karty hain or positive results ko show karty hain. But jo es pattern kay sath other tools ko use ni karty wo achy results ko hasil karny ma hamesa nakam hoty hain.

    Trading with symmetrical triangle pattern.

    Symmetrical triangle market ki consilidation state ko show karti hai or phr eskay bad market breakout or breakdown kar jati hai. Jb market lower side sy breakdown karti hai to bearish trend ma market ma move kar jati hai. But agr ye upper line ki taraf sy break hoti hai to esko market kay bullish trend ma consider kiya jata hai. Es pattern lo ham wedge chart pattern kay tor par he janty hain. Break point kay just below ham stop loss ko place kar sakty hain. Symmetrical triangle other triangle like ascending or desending triangle sy different hota hai. En pattern ma both upper and lower trendline centre point ki slope ki taraf move kar jati hai. Ascending triangle ma upper trendline horizontal hoti hai. Or descending triangle ma lower trendline horizontal hoti hai. Es pattern kay sath trader aksar other technical anlysis ko use karty hain or es base par wo trade karty hain. Breakout ki information kay laye trader aksar volume ko use karty hain. Es kay sath sath wo other technical tool ko use karty hai ta kay wo price kay breakout ki time ko confirm kar sakyn.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220120-150005_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	88.5 کلوبائٹ
ID:	12364226
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Forex Trading me Symmetrical Triangle par trading

      Financial market me symmetric triangle us waqat banta hai, jab qeematen gher faisala-kun mor (mode) me hon. Kisi bhi chart me symmetric triangle ko us waqat asani se pehchana ja sakta hai, jab qeematen musalsal uper aur nechay slope ki shape me mutabadel "high lows" aur " low high" banate hen. Symmetric triangle us waqat bante hen, jab market me talab aur rasad (supply and demand) barabar hon, jis k natijay me market gher faisala-kun sorat ikhtiar kar jata hai. Ziada tar triangles k natijay me pehle trend k semat me breakout ya breakdown ho jata hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X