Candle stick pattern kia hy
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Candle stick pattern kia hy
    Tarof
    Assalamualaikum members kaysy ap sb omeed krta hn Kay sab khyreat say hn gy main bhee thk alhamdullilah ap sunain trading kasi hy aj hm jis ki bat kr rahay hn wo hy candle stick pattern

    friends kya hal he ap ka umeed krti ho sb khyrit se ho gy. Aj hm bt kre ge candlestick chart pattern ka forex me kya kam he. Dear friends Candlestick chart pattern bhi high low open or close price ko dekhata hai. Har candle stick ki body opening or closing prices ko dekhata hai jb k candle stick ki wick high or low prices ko indicate krta hai.Har candle stick ka rang lago karda tartebaat par depend krta hai lakin ziada tar charting pakeg pehly sy tay shodah colours green & red colour estaal karen green candle stick is baat ko indicate karte hein k price open sy ziada close hai is ko bullish candle stick kaha jata hai or red candle stick is baat ko indicate krta hai k close open sy ziada hai or bearish pattern ko indicate karta hai.Candle stick chart ab tak sab sy ziada makbool chart hai forex technical analysis mein use hota hai Q k trader ko ziada information dyta hai or trading karna ziada asan hota hai Q k trader is ko aik nazar mein daikh kar samajh jata hai aur trading me thoda bahut mahir bhi khud ko samjhta hai..

    Line chart kia hy???
    freinds Line chart aam tor par close prices ko dekhata hai. Har close hony waly prices ki aik mosalsal line hoti hai jis ko last close price ky sath monsalik kea jata hai jis ko follow krna asan hota hai. Is kisam ky chart main ziada tar television, newspapers or dosray web subject ky lia istmal hota hai Q k yh asaan sa chart hai yh candle stick ya bar chart ky mokaballay mein kam information dyta hai. Line chart ka aik or faida yh hai k opar dekhay gay blue colour k chart ki tarah aik ghair janab dar rang montakhib kr ky trading emotions ko sanbhalny mein madad dayta hai aur ye bahut kaam ki cheaz
    Bar chart kia hy??

    friends, Bar chart ky mokrar karda period k lia high low open or close hony waly prices ko dekhata hai vertical line bar chart k high or low price k zarey banai gai hai bar k left taraf k dashen opening prices dekhaty hain or bar chart k right taraf k dashen closing prices dekhaty hain. Yh identify krny mein kabil hona k aya bar close hta hai ya down hta hai trader ko market k period k jazbaat sy inform krta hai. Bar chart candle stick chart sy milta julta hai yh us time nazar ata hai jb dono ko sath sath daikha jay lakin bar chart market k saf nizary k lia behtar hai chart k jallay huy rang ko hata kr trader aik he point mein market k trend ko daikh sakta hai aur jaan sakta hai...
    Click image for larger version

Name:	images (39).png
Views:	2
Size:	7.6 کلوبائٹ
ID:	12496724

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Candle stick pattern kia hy

    Accumulation/ Distribution indicator :


    Accumulation indicator aik cumulative indicator hai jo volume aur price ka istemal is bat ko assess karny k liye karta hai k koi stock accumulated ya distributed keya ja raha hai. A/D stock ki price aur volume k darmeyan farq ki identify karna chahta hai k trend kitna mazboot hai. Agar price barh rahi hai liken indicator gir rahy hein tou yeh btata hai k price mein izafy ko sahara deny k liye buying karny ka volume kafi nahi ho sakta aur price mein kami any wali ho sakti hai


    Explanation of accumulation indicator :


    A/D line kisi asset ya security ki supply aur demand ko yeh dekh kar , k periods range k andar price kahan close hui hai aur phr volume k hisab sey multiply lagati hai. A/D indicator cumulative hai, matlb k aik period value end sey shamil ya subtract jati hai. Normally barhti hui A/D line price k barhty huye trend ki tasdeq mein madad karti hai, jab k girti hui A/D line price mein kami k trend ki tasdeq mein madad karti hai


    Conclusion:


    A/D indicator aik period sey dusry period mein prices mein tabdeli ka ansar nahi rakhta aur sirf is bat par focuses karta hai k current period ki range k andar price kahan close hoti hai. Is sey kuch anomalies creates hoti hein. Suppose karen k big volume par 20% nechy stock farq hai. Price din bhar ghoomti rehti hai aur apni range ki oper hisy mein end hoti hai liken abi b pechly close sey 18% kam hai. Is tarah ki movement A/D mein izafy ka sabab bany gi. Agar stock ney sufficient amount of value kho di , yeh apni daily ki limit k oper hisey mein end ho geya lehaza indicator big volume ki waja sey dramatically increase ho ga. Traders ko price k chart ko monitor karney aur is tarah ki kisi bhi potential anomalies ko mark karny k zarurat hai kyun k wo is bat ko affect kar sakty hein k indicator ko interpreted kesy keya jata hai. Is k elawa indicators k main uses mein sey aik divergences ko monitor karna hai. Divergences aik long time tak chal sakta haiaur yeh poor timing signals hein. Jab indicators aur price k darmeyan divergence appear hoti hai tou is ka matlb ye nahi hai k reversal jana qareeb hai. Price ko reversal hony mein kafi time lag sakta hai ya yeh bilkul bhi reverse nae sakta. A/D sirf aik tool hai jisy kisi trend k andar strength ya weakness ka andaza lagany k liye use keya ja sakta hai. Liken yeh us ki faults k bagher nahi hai. A/D indicator ko analysis ki other forms k sath istemal karen jis sey price k action ko analysis , chart pattern , ya fundamental analysis is bat ki mazed complete picture hasil karny k liye k stock ki price kia movekar rahi hai

    اب آن لائن

    Working...
    X