Four Price Doji Candle
No announcement yet.
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Four Price Doji Candle
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Foure Price Doji Candle


    Four price candle doji family se taluq rakhne wali ek candle hai, jiss main candle ki na to real body hotti hai aur na hi us ki koi up down shadow hotta hai. Four price doji candle main prices up daon harkat katnne ki bajaye matlobba timeframe aik hi position par jammi rehti hai. Short timeframe main ye ziadda banti hai lekin long timeframes main ye kam hi nazar atti hai.
    Four price doji candle k banne ki psychology kuch is tarah se hotti hai, k market k buyers aur sellers matlobba stock ya currency jore main koi khas dilchspi nahi lette hen, jiss se us item ki vlaue main na to izzafa hotta hai, aur na hi wo kam ho rahi hotti hai. Ye candle prices k kisi bhi position par banne par neutral candle ka kirrdar adda kartti hai, lekin high aur low prices main ye market ki up down movement rok letti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (63).png
Views:	34
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12496318

    Candle Formation


    Four Price Doji: Four price doji candle main prices k high, low open aur close aik hi point ya position par hotte hen. Four Price Doji Candle traders ki market main adam dilchaspi ki waja se bantti hai, jo aik neutral candle tasawar hotti hai.
    Four Price Doji Candle baqqi doji candles se bohut mukhtalif hai, q k baqqi doji candles main prices kam az kam candle k up down par shadow zarror bannati hai, jab k four price doji candle main aisa nahi hotta hai, ye maths k "Minus (-)" nishan shap ki hotti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (62).png
Views:	2
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12496319

    Explaination

    Four price doji candle ek chotti line shap ki doji candle hotti hai, jiss ki na to real body hotti hai, bullke sath sath up down par koi shadow bhi nahi bantta hai, yanni ye candle real body main bhi zerro hotti hai, aur shadow main bhi zerro hotti hai. Yanni kisi matlobba timeframe main jab prices aik hi position par munjamed ho jaye tab ye candle wajood main atti hai.
    Four price doji candle ya to prices k bohut kam timeframe main bantti hai aur ya ye un currencies pairs main bantti hai, jiss par trading bohut kam hotti hai, q k traders ka un currency pairs main trade karne ka koi dilchaspi ka mode nahi hotta hai. Four price candle se market aisi behaviour de rahi hotti hai, jaise market main hollyday ya weekend par close hon. Major currency pairs k short term ki timeframe jaise S5 (five second), M1 (one minute) aur M5 (five minute) ki timeframe main ye candle kaffi taddad main bantte hen, jahan par qeematen kuch waqqat k leye sans le rahi hotti hai. Lekin long timeframe jaise; H4 (four hourly), D1 (daily) aur W1 (weekly) main in ka banna taqrreeban bohut kam hotta hai ya hotta hi nahi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (61).png
Views:	30
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12496320

    Trading

    Four Price Doji Candle candle ki real body na honne ki waja se ye candle na to bearish candle count hotti hai aur na hi bullish candle, bulkeh aik neutral candle tasawar hotti hai. Ye candle market k trend k darmeyan main trend continuation ka kaam kartti hai, jab k top trend ya down trend main candle ki behaviour badal jatti hai.
    Four Price Doji Candle aggar top trend par bantti hai to ye aik bearish trend reversal ki indication detti hai, jab k prices k bottom main banne ki waja se candle ki behaviour bullish trend reversal main badal jatta hai. Candle par trading k leye trend confirmation indicator ya price action ki zarorat hotti hai.
    Aggar four price doji candle prices k top trend par banne k baad chart par aik bearish real body wali candle bantti hai, to ye aik bearish trend reversal ka isharra hogga, yahan par markrt main sell se entry ki ja saktti hai. Jab k down trend main banne k baad aggar aik bullish candle bantti hai to ye aik bullish trend reversal ka signal hoga. Yahan par market main buy ki entry ki ja sakti hai.
    Four Price Doji Candle ka Stop Loss bearish trend reversal main doji candle k top se two pips above set hogga jab k bullish trend reversal main two pips doji candle k down par set hogga.

    Click image for larger version

Name:	images (64).png
Views:	11
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12496317
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Four Price Doji Candle

    Four Price Doji Candle Stick



    Fore price doji candle us waqat banti hai, jab market me open, low, high aur close (sab) ki qeemat (position) aik (same) ho. Four price doji candle market me bohut kam hi banti hai, q k is k leye zarori hai k sari side aik hi position pe band ho.

    Click image for larger version

Name:	images (62).png
Views:	2
Size:	2.7 کلوبائٹ
ID:	12363655

    Four Price Doji banne ki wajah


    Dosri doji candlestick patterns ki tarah four price doji ko bhi qeematon k tasalsul (continuation) ya wapasi (reversal) se tabeer kia jata hai, is k leye zarori hai k dekha jaye k ye doji candle kahan (position) pe banti hai. Agar is four price doji ko kisi high qeemat area ya bullish harkat k bad paye jaye to ye trend reversal ya bearish trend ki taraf ishara karti hai.
    Agar ye kisi kam qeemat wale area ya kisi bearish position pe a jaye to ye bhi trend reversal ya bullish trend ki taraf ishara karti hai. Aur agar ye kisi sideways trend me ban jaye to isbko neutral shumar kia jayega.

    Click image for larger version

Name:	images (61).png
Views:	30
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12363656

    Four Price Doji pe Trading



    Four Price Doji Candle banne k baat market me trend reversal chances ziada ho jate hen, lekin pher bhi ihtiati tadabeer k tawar par market me agli candle k banne ka intezar kar lena chaheye, us k bad hi buy ya sell ka faisala karna chaheye. Four Price Doji Candle bohut kam hi market me banti hai, is ko trend reversal ya trend continuation dono k leye leya ja sakta hai. Jab bhi ye candle banne ka matlab hai, k qeematen kam mutaharek hen, ya un pe kisi side se ziada dabao nahi hai. Agar four price doji bearish trend k baad banti hai aur teesri candle bullish banti hai, to is ka matlab hai k bearish trend bullish trend me badal chuka hai, aur market buy entry k leye ready hai. Lekin agar fource price candle stick bullish trend k bad banti hai aur market me teesri candle bearish banti hai to isbka matlab hoga k qeematon ne trend beariah me badal deya hai aur market sell ki entry ki ja sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (5) (43).png
Views:	26
Size:	4.6 کلوبائٹ
ID:	12363657

    اب آن لائن

    Working...
    X