Forex Trading me "Trend Reversal Pattern" ka istemal aur tareeqay kar
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading me "Trend Reversal Pattern" ka istemal aur tareeqay kar
    TREND REVERSAL PATTERN



    Reversal Patterns aik waqate maqarara k dowran trend tabdeel honi ka signal de raha hota hai. Reversal ka matlab hai trend k "semat ki tabdeeli " aur pattern ka matlab howa chart ki formation. Isi tarah reversal pattern chart ki mukhtalif shaklen hen jo market ki maojoda trend k semat me tabdeeli ki nishan-dahi karti hai. Ye patterns hourly, daily, weekly ya monthly charts pe dekhen ja sakte hen. Technical patterns tamam time frame pe lago hote hen.
    Reversal Patterns kisi bhi semat me ho sakti hai, yani uper se nechay (bearish ya downward) aur nechay se uper (bullish ya upward). Patterns dono soraton me chart par aik khas shakal ikhteyar kar lete hen, jis se traders k kamyab hone ka imkan zyada hota hai.
    Reversal patterns banne me waqat lagta hai, jaisa k aam tawar natural reversal cheezon ka hota hai. Trend jab bhi aik khas semat me chal raha hota hai, to is k rukne ya wapis ane me waqat zaror lagta hai. Traders ko market me pehle se chal rahe trend k kam se kam qeemat ko bhi dekhna chaheye aur ziada se ziada qeematon ko bhi. Kam se kam qeemat market k bearish qeematon k leye aur ziada se ziada market k top qeematon ko samajhne k leye.
    Traders ko hamesha market me khareed-wa-ferokht chart pattern ki karkardagi ki bunyad pe karna chaheye, jab k security se jazbati tawar par munsalik hone se ijtenab karna chaheye.
    Market me aam tawar par wajood me ane wale kuch reversal patterns me head and shoulders pattern, inverted head and shoulders pattern, double bottom pattern, double top pattern, basing formations aur broadening formations waghera shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images (5) (29).png
Views:	1
Size:	34.5 کلوبائٹ
ID:	12495931

    Reversal Pattern ki Aam Khususiyat



    Wo chand aham points jo k tamam reversal patterns mein moshtaraka taur per paye jaate hen, darja-zel hen;

    Peshgi trend (Prior Trend) ka wajud


    Kaye baar chart par aik aisa pattern mel sakta hai jo aik reversal pattern se melta julta hai. Lekin agar is tarah k pattern se pehle koi bara jari trend nahi tha to ye pattern mashkok ho jata hai. Aik aham trend line ka totna aksar ane wale trend k reversal jane ka pehla signal hota hai.
    Barhti howi (up-trend) trend line ki khilaf warzi rujhan ki semat ko tabdeel karne aur sideways ya nechay ki taraf jane ki imkan ki nishan-dahi karti hai.
    Gerti howi (down-trend) trend line ki khilaf-warzi rujhan ki semat ko dabdeel karne aur sideways ya uper ki taraf jane ka imkan ki nishan-dahi karti hai.

    Pattern ki Lambai aur Chaudai ki Ahmeyat



    Reversal Patterns ki lambaye aur churaye jitni ziada hogi, pattern se breakout k bad natija utna hi ziada taqatwar hoga.

    Topping aur Bottoming Patterns



    Topping Patterns



    Topping patterns uper (top) ki tashkeel ki nishan-dahi karte hen. In patterns ki takmeel par qeemat nechay ki taraf jane ki tawaqa kar sakte hen. Topping patterns ka duraneya aam tawar par chota hota hai aur in patterns me qeematon ki tabdeeli bohut teezi se aur mutehkam hoti hai.

    Bottoming Patterns



    Dosri taraf bottom pattern nechay ki taraf jane ki nishan-dahi karte hen, aur in patterns k banne k bad qeematen uper jane ki tawaqa kar sakte hen. Bottom pattern aam tawar par topping patterns k muqabele me ziada waqat lete hen, aur qeematen aik choti range me barhti hai.

    Volume



    Agar bottoming pattern se qeemat ka breakout ausat volume k sath ziada nahi hai, to is k ghalat breakout hone k imkan ko kafi ziada samajhna chaheye.
    Lekin topping breakdown k sath volume ziada aham nahi hai. Q k aisi bohut sari misalen maojod hen jahan market ne bare volume k bagher semat ko tabdeel kar deya hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex Trading me &quot;Trend Reversal Pattern&quot; ka istemal aur tareeqay kar

    Forex chart ma mainly two type kay reversal pattern hoty hain. Ik type es ma classic reversal pattern ki hoti hai jis ma head and shoulder pattern or double top wagera shamil hain. Candlestick pattern ma reversal pattern ki ik or bi type hoti hai jo forex chart ma two ya three candlesticks par mabni hota hai. Es topic ma ham enko detail sy discuss karyn gy. Reversal candlestick pattern trader ko short term market ki direction kay change hony ki information dety hain. Ye continuation pattern sy bhot different hoty hain kiu kay continuation pattern ma market apni direction ko continue karti hai. Yani market agr uptrend ma move karti hai to en pattern kay appear hony kay bad bi market ki direction uptrend ma he hoti hai. Or agr market bearish trend ma hoti hai to en continuation pattern kay appear hony kay bad bi market same bearish trend ma he move karti rehti hai.

    Types of reversal pattern.

    Forex chart ma reversal pattern ko two types ma divide kiya giya hai. Ik bullish reversal pattern hai jo down trend kay end par appear hota hai or secondly bearish reversal pattern hai jo uptrend kay top par appear hoty hain. En reversal pattern ka main purpose ye hai kay wo trader ko information dety hain kay market ka sentiment totally change ho giya hai or market ik trend sy dosray trend ma move karny wali hai. Agr trader ko en pattern kay help sy asy points ka early pata chal jaye to wo na serf achi trades ko open kar sakty hain balky wo acha profit hasil karny ma bu kamyab ho sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220116-135032_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	39.1 کلوبائٹ
ID:	12363504

    1. Hammar candlestick pattern.

    Ye candlestick pattern ik candlestick par mabni hota hai or ye pin bar ki tarha nazar ata hai so trader ko es pattern ko pin bar candlestick sy confuse ni karna chahe. Trader tb he kamyab ho sakty hain jb wo pattern ki achi knowledge rakhty hon gy. Ye pattern bearish trend ma appear hoti hai or ye bullish strength ko show karta hai. Candlestick pattern or shooting star candlestick pattern ma bhot small difference hota hai or wo difference ye hai kay shooting star pattern uptrend ma appear hota hai or ye down side reversal ko show karta hai.

    2. Engulfing candlestick pattern.

    Engulfing candlestick pattern bi market kay reversal ko show karta hai. Bullish engulfing pattern market kay possible uptrend ka reversal show karta hai or bearish engulfing pattern reversal to down side ko show karta hai. Pattern par but kbi 100 percent bahrosa ni karna chahe kiu kay market kisi bi time ik pattern ko chor kar kisi or pattern ma ja sakti hai so trader ko other technical tools ko conjuction ma use karna chahe ta kay false signals ko filter kiya ja saky.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220116-135305_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	99.9 کلوبائٹ
ID:	12363503

    اب آن لائن

    Working...
    X