Bullish Meeting Line (Bullish)
Introduction:
Bullish Meeting line aik upward trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, aur us k baad aik bari real body wali white candle hoti hai. White candle black candle se nechay gap me open hoti hai lekin close same black candle k closing point pe hoti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules:
- Bullish meeting line pattern bearish trend ya low price area (market ki sab se kam qeematon wale zone) me banta hai.
- Pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai.
- Pattern ki dosri candle hamesha aik bari real body wali black candle honi chaheye.
- Pattern me 2nd white candle 1st black candle se nechay gap me open hogi aur close same black candle ki closing point pe hogi. Yani white candle aur black candle ki closing price aik hi line me aik hi position pe hoti hai.
Pattern ki Tafseel:
Bullish meeting line pattern me do candles opposite direction aur color ki hoti hai, jin ka open price to aik dosre se mukhtalif hota hai lekin closing price aik dosre ka same aik hi point pe hota hai. Is pattern ki 1st candle aik bari real body wali black candle hoti hai, jo k apne sabeqa bearish trend ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle aik bari real body wali white candle hoti hai, jo k sabeqa pattern ko khatam karke k trend ko bullish side reversal karati hai. 2nd white candle black candle se nechay gap me open hoti hai jab k close black candle k same price pe hoti hai.
Pattern pe Trading:
Bullish meeting line aik bullish trend reversal pattern hai, jo k low price area ya bearish trend k baad banne ki waja se traders k leye "Buy" k signals generate karta hai. Pattern ki 2nd candle market me bearish trend ka khatma karti hai, jis se qeematen bullish trend pe move karna shoro karti hai. 2nd white candle k baad 3rd confirmation candle ka intezar karna zarori hai, agar wo bullish candle banti hai to pher humen market me buy ki entry karni chaheye. Stop loss ki position white candle ki lower side pe set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим