What is support and resistance

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is support and resistance
    Assalamu Alaikum
    Dear forex member ummid krti hain sub kharyt sy hn gy or mahnat say apna work krrhy hn gy hmy kamyabi Hasil krny k ly mahnt sy kam krna hota h or hmy chye apna knowledge ko increase kry jitna zeda knowledge ho ga itna hi hm kamyab ho skty hai

    Support and resistance
    support price ke ak level hey jahan par demand or buyer ke delchaspe ke wajah say nechay kay trend ko roknay ke towaka ke jate hey jaisay jaisay asserts or securities ke price gerte hein shairs ke demand barah jate hein prices mein ezafa honay say selling interest honay ke wajah say resistance zone paida hota hain.


    Support resistance level

    members support or resistance estamal karnay kay ley basic trading ka treka yeh hey keh up trend range or chart pattern mein hota hey wahay par support ko buy karen or down trend range or chart pattern kay hesay mein jahan prices increase ho rehe hon wahan say sell karen yeh aik long period trend ko alag karnay mein madad karta hey or jahan tak range or chart pattern ke trade ho trend trade ke semat kay baray mein rehnomai farhm karta hey mesal kay tor par ager trend kam hey to phir aik range teyar hote hey to range support par buy karnay ke bajay range resistance par short selling ko tarjee dayte hey down trend humen yeh batata hey short buy karnay say humen zyada profit hota hey ager trend up hey or aik triangular pattern teyar karta hey to triangular pattern mein resistance ko hamayat dein .

    By swing high and low

    Swing high or low points ko ham discuss kar lety hain. Price movement kay doran price jetna rise karti hai esko swing high kaha jata hai. Es high swing ko resistance kaha jata hai or now agr ham low swing ki bat karyn to ye wo price hoti hai jis ma price maximum down move karti hai or es low swing ko market ki support kaha jata hai. Trader ko ye bat lazmi zehan ma rakhni chahe kay market ka kio point bi support or resistance kay tor par permanently fix ni hota balky ye time kay sath sath change hoty rehty hain.


    Forex chart ma trendline ki base par market ki support or resistance ko determine kar sakty hain. But pehle hamy ye pata hona chahe kay trend line ko draw kesy kiya jata hai. Market kay uptrend ma ya down trend ma agr high points ko join kiya jaye or en he trends kay low points ko join karyn to trendline form hoty hain. Uptrend ma rising trenline form hoty hain or downtrend ma falling trendline form hoti hain. So ye trader ko help karti hain kay wo kesy support or resistance ko find kar sakty hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is support and resistance

    Forex Trading Support and Resistance



    Forex trading me qeematen do makhsos area ya range me chal rahi hoti hai. Range bound ko physically observe karna aur us pe trading karna bohut asan hai. Ye range jahan se qeematen wapis ati hen agar up side pe ho to is ko resistance level aur agar down side pe ho to support level kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (24) (25).jpeg
Views:	7
Size:	47.6 کلوبائٹ
ID:	12363065

    Support and Resistance Importance



    Forex trading me support aur resistance qeematon k intehaye hodod hone ki waja se bohut ahmeyat k hamil hen. Support and resistance k chand aik bohut aham fawaid ye hen;

    Support and Resistance as a Entry and Exit point



    Forex trading market me traders ki koshash hoti hai, k wo market support and resistance level pe hi entry aur exit karen. Traders ko lagta hai k support aur resistance levels se market reverse ho jayegi. Market k ziada tar trends ka khatma in levels pe hota hai, is waja se traders market me koshash karte hen k wo support ya Resistance level pe entry karen aur exit karen.
    Support and resistance level market me traders ko bohut ziada profit deti hai. Q jab bhi traders market k extreme level pe entry karte hen to us se munafay k ziada se ziada melne k chances hote hen. Us k ba-aks traders ko loss ki sorat me nuqsan bhi kam hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (103).png
Views:	13
Size:	24.1 کلوبائٹ
ID:	12363066

    Support aur Resistance pe trend reversal ya breakout



    Support and resistance level pe trader ko do qisam k soratehal ka samna karna parta hai, aik trend reversal ka aur dosra breakout ka. Traders ko is pareshani se bachne k leye support aur resistance point ka sahi andaza lagana chaheye aur dosra price action ko bhi made-nazar rakhna zarori hai. Jab bhi price action trend reversal ya breakout ka signal de to us sorat me market me agla step leya karen.
    Traders ko chaheye k wo support aur resistance k line draw karne se pehle us me ziada se ziada points ko shamil karne ki koshash karen, isi tarah se hamara support aur resistance area ka result acha melega. Breakout k leye support aur resistance k bahir qeematon ka intezar zaror karen, q k qeematen kuch mazeed uper ya nchay se wapis ho sakti hai. Support aur resistance ko hamesha dosre indicator (jaise, Moving Average aur Trend line) k sath mela kar istemal karen.

    Click image for larger version

Name:	images (24) (26).jpeg
Views:	1
Size:	24.8 کلوبائٹ
ID:	12363064
    • #3 Collapse

      Re: What is support and resistance

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Support and Resistance


      Support aur resistance levels bohut ziadda aham points hen, jahan pe talab aur rasad (supply aur demand) ki quaten (forces) meltti hen. Market ki naseyyat aur supply aur demand ka tayun karte waqat technical analyst in support aur resistance levels ko bohut aham samjhtte hen. Jab bhi ye support aur resistance level breakout ho jatti hai, to ye samjha jatta hai k supply aur demand ki forces jinnhon ne in sathon ko bannaya hai munttaqil ho gaye hai, aisi sorrat me naye support aur resistance levels k banne ka imkan hotta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (35).jpeg
Views:	5
Size:	39.7 کلوبائٹ
ID:	12363072

      Support


      Support wo satah (level) hai, jahan par demand ittni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed nechay gerne se roktti hai. Support satah par qeematon ko nechay main dushwaree hotti hai, ye is waja se hotti hai, k jab bhi qeemat gerti hai, aur support level k qareeb atti hai, to market main buyers (demand) khareedne ki taraf ziadda mayel ho jatte hen, aur sellers (supply) market me ziadda kam mutaharek hotte hen.

      Resistance


      Resistance wo satah hotti hai, k jahan pe supply itni mazzbot hotti hai, k stock ko mazzeed upper janne se roktti hai. Jab bhi kisi stock ki qeemat resistance levels k qareeb jatti hai, to us ko ziadda upper janne me mushkil pesh atti hai, is ki wajja ye hai, k jaise jaise prices resistance levels k qareeb pohunnchti hai, to sellers (supply) sell karne ki taraf mayyel ho jate hen, aur khareedar (buyers) market me khareedne k leye kam dilchaspi dekhatte hen.

      Psychology of Support and Resistance

      Support aur resistance k pechay market ki kia nafseyyat hotti hen wo aap ko darjazzel mesalon (example) ki maddad se samajh a jayega;

      Support Example: buyers ka ek group support area main stock ko khareed rahe hotte hen, aggar yahan par support level $50 ka hai. Buyers $50 par kuch stock ko buy kartte hen, aur prices yahan se move kar $55 par challi jatti hai. Is par buyers khush hotte hen aur wo mazzeed $50 par stock khareedna chahte hen, lekin $55 par nahi. So wo faisela karrte hen jab bhi qeemat wapis $50 par jayegi to wo mazzed stocks ko bay karengay, yahan par wo $50 par demand set kartte hen.
      Ab aik dosra traders ka group aisa hai, jo k $50 par stock ko khareedne par tazzabzub ka shikar they, lekin $55 par stock janne ki waja se wo $50 par stock buy na katke pechta rahen hen, aur faisela karte hen, k jab bhi stock wapis $50 par jayega to wo lazzmi buy karengay aur wo bhi $50 par demand set kar lette hen.
      Ab buyers ka ek teesra aisa bhi group hai, jis ne $40 par stock ko buy kia hotta hai, lekin wo $50 par us ko sell karte hen. Lekin jab wo dekhtte hen k stock $55 pe chala gaya to wo apne selling par pechtate hen, is waja se wo bhi faisele kartte hen, k jab bhi aggar stock dobbara $50 pe ayega to wo khareedengay. Ye group bhi $50 par stock k leye demand set karte hen, jis se demand bohutt mazzbot hotti hai.
      Resistance Example: Resistance k mesal main bhi hum stock ki maojooda qeemat $50 hi tasawar kartte hen, aur buyers stock ko $50 par buy karte hen. Ab aggar qeemat $50 se $55 par chali jatti hai, to traders koshash kartte hen, k wo stock ko $55 par sell karden, bajaye ia k keh ye wapis $50 par aye, aur maximum traders aisa hi karrne ki koshash karrte hen. Jab bohut zyada miqdar main stock market me ferokht k leye pesh hogga to qeematen wapis support level ki taraf chalna shoro kartti hai. Stock par teen qisam k groups ka bohut ziadda pressure parne ki waja se stock $50 k level se wapis mor jata hai, lekin $50 par dobara demand ziadda hone ki waja se qeematen mazzeed nachay nahi jatti hen.

      Click image for larger version

Name:	images (34).jpeg
Views:	4
Size:	32.4 کلوبائٹ
ID:	12363073

      Support and Resistance Role Reversal

      Technical analysis main ka aik key concept hai k jab bhi prices support aur resistance levels kp breakout kartti hai, to is ka role reversal ho jata hai. Aggar qeemat support level se nechay atti hai to wo level resistance ban jayegi, aur aggar qeemat resistance level se upper jatti hai to ye aksar support level ban jatti hai. Jaise jaise qeemat support ya resistance levels se guzzarti hai, to ye khayal kia jata hai, k supply aur demand main tabdelli aye hai, jis ki waja se ye tabdeeli reversal role kartti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (33).jpeg
Views:	3
Size:	18.9 کلوبائٹ
ID:	12363071
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: What is support and resistance

        Assalamu alaikum dear member Forex trading market mein jab ap technical analysis complete kar rahe hote hain to definitely ismein multiple factors score affect kar rahe hote Hain jab aap technical analysis ko complete karne ke liye apni study start karte hain to ismein aapko different types ke factor ko study karna hota hai is main aapko hamesha different factors ko carefully study Karke aur uske bad apni decision-making karta Hoti Hai jab aap technical analysis ko study karte hain to ismein aapko yah Idea milta Hai ki support level aur resistance level ki study perfect hoti hai aur yah aapke liye most important factor hota hai support level aur resistance level ki definition aur iski market interpretation mein apni post main aapke sath include karne chahta hun.

        What is Support

        Dear member support basically ek aisa level hota hai jo ki aapko market mein yah indications provide karta hai ki is points sa market main reversal trend banana hai aur Market bearish trend maintain karne ja Rahi Hai jab aap support level ki proper identification karna chahte hain aur iski introduction se related information hasil karna chahte hain to aapko yah information available hoti hai ki market mein bottom level se ek aisa zone start hota Hai jis par bahut jyada pending order hote Hain Jo ke major traders aur money makers ne appoint ke hote hain is point ko jaise hi market touch karti hai to use time per market rebounce ho jaati Hai.

        Click image for larger version

Name:	Support_Resistance_Levels.png
Views:	8
Size:	35.9 کلوبائٹ
ID:	12363078

        Identification of Support

        Dear member jab aap market mein support level ki proper identification karna chahte hain to uske liye aapko hamesha market mein intezar Karna hota hai kyunki jab tak market ek specific lower point ko touch Karke wapas nahin aati hai use time tak aapko support level ka completely Idea Nahin ho sakta hai jab aap market mein support level ko properly identify aur recognise kar lete hain to iske bad aapko next stage ya banani hoti hai ki use support level ko major support aur minor support mein convert Karen.

        Interpretation on Support

        Jab aap market mein support level ko properly identify kar lete hain to ismein aapki decision-making bahut aasan ho jati Hai jab aapko market mein is specific level par koi reversal candlestick Kiya reversal candlestick pattern milta hai to aap use time per purchasing kar lete hain kyunki jab aapko market mein ek aise specifics loan per identification ho jaati Hai to use time per aapko market mein bahut acchi entry mil sakti hai.

        Click image for larger version

Name:	PaychexSupportResistanceChart.JPG
Views:	5
Size:	79.2 کلوبائٹ
ID:	12363079

        What is Resistance

        Dear member resistance basically ek aisa level hota hai jo ki aapko market mein yah indications provide karta hai ki is points sa market main reversal trend banana hai aur Market bearish trend maintain karne ja Rahi Hai jab aap resistance level ki proper identification karna chahte hain aur iski introduction se related information hasil karna chahte hain to aapko yah information available hoti hai ki market mein bottom level se ek aisa zone start hota Hai jis par bahut jyada pending order hote Hain Jo ke major traders aur money makers ne appoint ke hote hain is point ko jaise hi market touch karti hai to use time per market rebounce ho jaati Hai.

        Identification of resistance

        Dear member jab aap market mein resistance level ki proper identification karna chahte hain to uske liye aapko hamesha market mein intezar Karna hota hai kyunki jab tak market ek specific lower point ko touch Karke wapas nahin aati hai use time tak aapko support level ka completely Idea Nahin ho sakta hai jab aap market mein resistance level ko properly identify aur recognise kar lete hain to iske bad aapko next stage ya banani hoti hai ki use resistance level ko major resistance aur minor resistance mein convert Karen.

        Interpretation on Resistance

        Jab aap market mein resistance level ko properly identify kar lete hain to ismein aapki decision-making bahut aasan ho jati Hai jab aapko market mein is specific level par koi reversal candlestick observe hota hai jo aapko selling ki confirmation provide karta hai aur aap ek acchi decision-making Karke Apne profit ko increase kar sakte hain.

        Click image for larger version

Name:	Big-Round-Number-Support-Resistance.png
Views:	3
Size:	134.8 کلوبائٹ
ID:	12363077

        اب آن لائن

        Working...
        X