Flag chart pattern Kia h???

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Flag chart pattern Kia h???
    Assalam alaikum dear forum members!
    umeed ha ap sb khair khairiat se hm gy or apki trading bahut achi jaa rahi ho ge>
    dear members koe bhi kaam ho agar seekh kar kia jaye to es main kamyabi zror milti hai esy hi agar forex trading main kamyab hona ha to esko seekhna lazmi ha.
    forex main apko chart reading seekhni hai or es main apko char patterns ko smjhna ha.
    e slye aj ki post main hum aik bullish continuation pattern jo k bullish flag pattern khlata ha usko detail se study karen gy.

    Flag chart pattern;;

    Dear members flag jesa k naam se wazeh ha j ye aik flag mtlb k jhandy ki shkl ka pattern hota ha. Or ye aik continuation pattern ha mtlb k ye jis bhi trend main bnta ha ye us trend k continue rhny ko indicate karta ha.

    es lye ye just aik retracement hoti ha market ki or es k bad market apny trend main move karti ha.Click image for larger version

Name:	448FD59F-525C-42EC-B389-7A978132A760.jpeg
Views:	2
Size:	60.1 کلوبائٹ
ID:	12495368

    Ye pattern kaisyy bnta h??

    Dear members jb market ksi trend main opr ya nechy k trend main ja chuki ha to us k beech main market thori retrcement leti hai or aik rectangle type upward ya downwarc moving pattern bnta ha jo k trend py depend karta ha q ye rectangle trend k opposite bnti ha.
    estra jb market apna trend main kafi opr ya nechy ja chuki hoti ha to wo aik pole type hota ha or us k bad rectangle shape fla bnat ha es lye esy flag chart pattern kaha jata ha.jesa k opr main bayan kr chuka hn k ye done bullish or bearish trends main bnta ha to es lye eski 2 types hain.
    Bearish Flag pattern.
    Bullish Flag pattern.
    bullish flag pattern bullish trend main hi bnta ha or es k brakout k bad market bullish hi move karti ha.
    jb k bearish flag pattern bearish trend main hi bnta ha or es k breakout k bad market bearish hi move karti ha.
    Click image for larger version

Name:	75B0842A-5138-473F-B61C-1F00B2A26996.gif
Views:	1
Size:	13.2 کلوبائٹ
ID:	12495369Click image for larger version

Name:	A647210F-98B4-428A-A8D8-86C437A91CE3.png
Views:	3
Size:	25.3 کلوبائٹ
ID:	12495370
    Flag pattern ko trade kaisy krn??

    Dear members flag chart pattern main trade leny k lye apko phly dekhna ha k ye pattern kis trend mian bn raha or phr pattern k complete hony ka wait karna ga after completion apko es k breakout ka wiat karna ha or js trend main ye bna ha usi direction main eska breakout ho ga.
    agr bullish trend main bnta ha to breakout bhi bullish ho ga. or breakout k bad apko eski confirmation ka wiat karna ha jo k es k bhr market ki closing or wapis eska test ho ga.
    or es main apka stop loss flag ki resistance ya support jska breakout hoa ha wo ho ge or apka profit target flag k pole k equal ho ga
    Click image for larger version

Name:	6379628C-E9DF-4BD9-A5A6-3A7DA8794485.png
Views:	1
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12495371
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Flag chart pattern Kia h???

    Flag Chart Pattern



    Flag chart pattern market me trend k tasalsul ka signal de raha hota hai, jo aik mamoli se waqfay (3 candles) bad baad pher shoro hota hai. Flag pattern ko Three Methods Pattern bhi kaha jata hai. Flag chart pattern char candles par mushtamil aik pattern hota hai, jis me pehle aik bari candle hoti hai, jo pechle trend k tasalsul ko dekha rahi hoti hai, us k bad 3 choti candles banti hai, jo pehle candle k opposite ya mix candles ho sakti hai, lekin is ka in teeno ka closing point pehle candle k opening point se pehle hoga aur akher pher sabeqa trend k tasalsul ko barqarar rehne k leye aik bari candle us trend ki banti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (24) (19).jpeg
Views:	4
Size:	18.1 کلوبائٹ
ID:	12363012

    Flag Chart Pattern k Rules


    1. Flag chart pattern me pehel aik bari body wali candle banegi, jo trend ki mazboti ki nishani hoti hai
    2. Darmeyan me 3 choti candles body me pehle candle se choti hongi, ye teen candles white, black ya dono ho sakti hai (lekin ziada tar trend k opposite wali ho sakti hai)
    3. 2,3 ahr 4 candle 1st candle k open position se pehle close honi chaheye
    4. 5 number ki candle candle 1 k trend ki honi chaheye
    5. Akhari yani 5th candle body me 2,3 aur 4 se bari bhi honi chaheye aur is ka closing point teeno candles k opening point se ziada hona chaheye


    Click image for larger version

Name:	images (24) (18).jpeg
Views:	1
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12363015

    Flag Chart Pattern Types



    Flag chart pattern market me bullish trend k tasalsul me bhi ban sakta hai aur bearish trend k tasalsul me bhi, is waja se flag chart pattern k do (two) types hen:

    1. Bullish Flag Chart Pattern
    2. Bearish Flag Chart Pattern

    Click image for larger version

Name:	images (24) (20).jpeg
Views:	20
Size:	15.4 کلوبائٹ
ID:	12363013

    1. Bullish Flag Chart Pattern



    Bullish flag chart pattern me qeematen apne sabiqa trend yani bullish k tasalsul ka signal deti hai. Bullish flag pattern ko Rising Three Candlestick Pattern bhi kaha jata hai. Bullish flag pattern me 5 candles ka istemal kuch istemal hota hai keh, pehle aik bari white candle hoti hai jo bullish trend k tasalsul ko zahir karti hai, usbk baad 2,3 aur 4 choti choti black candles hoti hai (in me white candles bhi ho sakti hai, lekin ziada tar black honi chaheye). 2, 3 aur 4 candles 1st candle se real body me choti honi chaheye, yani aur in teeno ka closing point white candle (1st candle) k opening point se pehle hona chaheye. Last pe 5th candle aik bari white candle hogi, jo real body me 2,3 aur 4 se bari hogi, aur is ka closing point bhi in teeno se oper (above) hoga. Isis tarah 5th candle banne k bad pattern ka shkal aik bullish flag ki tarah jan jayega, jo uptrend tasalsul ko barqarar rakhega.


    2. Bearish Flag Chart Pattern



    Bearish flag pattern bullish flag pattern se opposite hai aur ye bearish trend k tasalsul ko agay barhata hai. Bearish flag pattern ko Falling Three Candle Methods bhi kaha jata hai. Bearish flag pattern me bhi 5 candles hoti hai, pehle 1 bari black candle banti hai, us k bad 2,3 aur 4 candles size me choti white ban jati hai (lekin zarori nahi k white hi ho, black aur white mix ho sakti hai). Candles 2,3 aur 4 ki closing point candle 1 k opening point se pehle hona chaheye. Candle 5 pehle teeno 2,3 aur 4 candles se real body me bari aur closing point bhi teeno candle k opening point se nechay hoga. Candles 2,3 aur 4 market me waqfay ko show karti hai, aur candle 5 apne sabeqa trend ko barqarar rakhta hai.

    Flag Chart Pattern pe Trading



    Flag chart pattern ko market me aik tasalsul ka pattern kaha jata hai, jo aik mamoli se waqfay k bad pher shoro hota hai. Flag pattern me 5th candle k banne k bad market ka signal confirm ho jata hai, agar pehle bullish trend tha, to market bhi usi semat move karegi. Aur bearish trend me qeematen nechay jayegi. 6th candle aik confirmation candle k tawar pe istemal hoti hai, jo market me sabeqa trend ko mazbot ya trend mo khatam kara sakti hai. Traders k leye flag pattern me buy aur sell ka aik mazbot signal mel jata hai. Stop loss ki position candle 1 k opening point pe hoga, jo in panchon candles me sab se high ya low level hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (90).png
Views:	1
Size:	15.2 کلوبائٹ
ID:	12363014

    اب آن لائن

    Working...
    X