What is a lagging indicator?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is a lagging indicator?
    Assalam o alaikum dear members and good morning, Umeed kerta hun aap sab kheiryat se honge or trading se acha
    profit earn ker rahe honge, jessa ke hum jante hain ke indicators ka trading mein boht hi acha role hai jis se hum market ko
    ache se judge ker sakte hain, pair ki movement history, currency price ,volume or market ki performance iske sath hi
    indicator hamein market ka future bi show kerdeta hai or market kese repeat move karegi wo bhi indicate ker deta hai,Isi
    liye aaj mein aap ke sath lagging indicator ko share kerne laga hun, umeed hai aapko is se guide mile gi forex ko samajhne
    mein....
    Lagging Indicator
    Sab se pehle mein aapko batata hun ke lagging indicator kiya hai? Mostly jo technical indicators hote hain wo lagging
    indicator hote hain, ye sirf market ka historical data dekhtey hain or suggest nahi ker pate ke price next kahan move kare
    gi, lekin lagging indicator hamein lead de sakte hain price ki jessa ke divergence.
    Divergence mein kiya hota hai ke price apni current price se ek naya high level ka swing banati hai jab ke indicator mein
    laguv nahi hoti. ya yun keh lein ke price apni mojuda price se ek naya low level ka swing bnati hai lekin indicator ye nahi
    laguv kerte, ye ek lead hoti hai ke price action slow down ho sakti hai or trend ke wapas aane ke qareeb ho sakti hai.
    Ye chart hai RSI indicator ka jis se devergence show ho rahi hai ek technical chart ki madad mein...


    Lagging Indicator pichli price ka trend rakhta hai or trader ko late feedback provide kerta hai. Ak moving average lagging
    indicator ki ek example hai, ager price down move ker rahi hai or up ko move kerna shuru ker de to moving average bhi
    barh sakti hai.


    Lagging indicator abhi bhi boht useful hai kion ke ye price action ko simplify ker sakte hain or traders ko dikhate hain
    ke price is waqt kahan hai, ye us ko behter dikha sakta hai ya is per asarandaz ho sakta hai,is liye hum ye agree nahi ker
    sakte ke konsa indicator best hai kion ke ye sirf hamein ek idea dete hain ke price ki next movement kiya hogi.

    Umeed hai aapko lagging indicator ke bare mein achi information mili hogi is post se ager aapko is post mein koi mistake
    milti hai comment mein zaroor btayein or thanks bhi ker dein shukriya!

اب آن لائن

Working...
X