What is RSi

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is RSi
    Introducation
    Dear friends umeed krta ho kay ap sub thai hun ga Forex mein bohat say indicators hota hein jab be hum treading karta hein tu bohat say indicators ko use krta hein RSI be asa he ek indicator hay jis mein ka alag chota sa chart open ho jata hay Forex ka chart mein he

    Uses Of RSi
    Relative strength index ek indicator hay is ko be hum market ko analysis karna ka lyia use krta hein humay rsi ek bahut help dati hay market ko analysis krna ka chyia or is ka ek best uses ya hay ka jab be market rsi ka chart mein 70 upper ko touch kra tu market lazmi sell ki treaf jati hay asa mein humay sell ki tread lani chyia or jab market necha say 30 ko touch karti hay tu market lamzi buy ki tareef move karti hay asa mein humay buy ki treading lani chyia or is chart ko humay 1hr ya 4 hr ka time frame pr use krni chyia ta kay humay acha profit ho or humari tread successful bna.


    Over Sold.
    Rsi ka chart mein jab be market girti hui 30 say necha chle jay tu ous time market oversold hoti hay humay is time wait karna chyia kay market move krti hui or be necha ja skti hay or whn say ak time ata hay kay merket buy ki treaf move karti hay asa mein humay analysis kar kay ek achi strategy say tread buy kr lagni chyia ta kay humay acha say acha profit hasil ho.

    Over Bought.
    Asa he Rsi chart jab be uper jata huya buy mein 70 chart ko cross kr la tu asa he ek time ata hay jhn say market downward move hoti hay asa mein humay analysis krna chiye take jab be market downward move hone laga tu humay tread sell ki lani chyia ta kay humay acha profit ho.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is RSi

    INTRODUCTION :



    Hello friends kasa ho ap sab umeed ha ap sab thek ho ga or ap ke trading achi horahe ho ge or ap log trading karka acha profit bhi hasil kar raha ho ga or mara kuch dost abhi abhi trading start kar raha ho ga jin ko trading ka bara ma abhi kuch bhi ni pata ho ga par aj ma apna inin dosto ka sath forex trading ka kuch point share karo ga jin ko samjna ap sab ka liyaliya zarori ha q ka ya market or trading ma ak kas ahmet rakhta ha. Jo aj ka hamara topic ha os ka name RSI ha. Agar ap na aj ka topic sai sa samaj liya toto mujha yaken ha ka ap ko trading ma kuch na kuch profit zaror ho ga to isis liya aj ka topic mara sab dosto ka liya kas hona walawala ha jo dost new ha trading ma or jo mara dost kafi time sa kar raha ha trading.








    WHAT IS RSI :




    Dosto rsi ka name to ap na bahot jaga suna ho ga par mara kuch dost ya ni janta ka rsi kia ha is ka ful name relative strength index ha or ya ak indicator ha. Jasa forex market ma bahot sa log bahot sa indecators ko use karta ha asai he ya bhi ak indicator ha or is indicator ko bahot sa log pasand karta ha. Ya rsi indecator huma market ko samjna ka liya bahot helpful hota ha ya market ka sai movment ka bara ma batata ha.
    Jab market buy ja rahe ho to bahot sa traders is indecator ko use karta ha or ak sai point par sell ke trade enter karta ha jis sa ak acha profit hasil karta ha agar market 60 point tak uper a jay to is ka bad bahot zada chances hota ha ya market ko ab sell jana ha. Is rsi indecator ko use kar ka trades buy ke bhi trade enter karta ha asa tab hota ha jab market 30 point tak sel par a jay or is ka bad 90% chances hota ha ka ad matket na buy ke traf jana ho ga or is indecator ko use kar ka traders ak acha profit hasil kar lata ha.





    HOW TO USE RSI INDECATOR :



    Ya indicator market ma 2 trha sa chart ko traders ka samna lata ha ak buy trade lagana ke sorat ma or ak sell trade lagana ka bara ma. Is indecator ko use kar ka traders buy ke bhi trade enter karta ha or sell ke bhi trade lagata ha. Gab traders is indecator ko use kar ka buy ke trade lagana chata ha tab market kp 30 point nitcha hote ha jes ka bad market ko buy ke traf jana zaroori hota ha is waja sa bahot sa traders is ma buy ke trade lagata ha is rsi indecator ko samajna bahot he asan hota ha. Or jab traders is indecator ko use kar ka chart ko dakh kar sell ke trade enter kar ta ha to market kuch 60 point uper hote ha or is ka bad indecator traders ko bata ha ka ab ap sell ke trade laga sakta ha or bahot sa traders asa he kar ta ha. Is rsi indecator ko use karna bahot he asan hota ha or is rdi indecator ko bhot sa traders pasand kar ta ha.





    WHAT RSI INDECATOR TELL YOU :




    ya rsi indecator market ka up ya down jana ka bara ma batata ha ya indicator buy or sell dono side par use hota ha is indecator ko use kar ka ap buy ke trade bhi laga sakta ha or sell ke bhi ya indicator ak formula par kam kar raha hota ha.


    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What is RSi

      Relative Strength Index (RSI)


      Relative Strength Index (RSI) indicator ko J. Welles Wilder ne design kia hai jo k basically aik oscillator hai. RSI indicator kisi khas value ki technical strength ya weakness ko malom karne k leye istemal kia jata hai. RSI aik technical movement indicator k tawar par bhi kaam karta hai, jab over-bought ya over-sold soratehal me kisi security ki haleya (recent) profit ko us ki haleya nuqsan k sath muwazena (compare) karane ki koshash karta hai.
      RSI indicator ko trader ya analyst k trading, pasand ya analysis k mutabiq kisi bhi timeframe me tarjeehi base par kisi bhi dino k number me calculate kia ja sakta hai. RSI indicator me sab se ziada istemal hone wala aur jo by-default setting bhi hai wo 14-days ka simple moving average hai. Baaz short term traders apne analysis k leye 5-day, 7-day aur 9-day ka RSI bhi istemal karte hen. RSI indicator ka istemal karne wale traders ko is baat ka ilam zaror hona chaheye k jab bhi market me qeematen bohut ziada upward ya downward ati hai to us waqat qeematen is indicator ko mutasir karti hai, jis se ye indicator false buy ya sell k signals genrate karta hai. RSI k natayej ko behtar banane k leye is ko dosre bare stock indicators k sath istemal kia ja sakta hai.
      RSI oscillator k tawar par qeematon ki raftaar (momentum) ko follow karne k leye design kia gaya hai, jis ki range 0 se 100 k darmeyan hoti hai. RSI indicator me divergence ka istemal kia jata hai.

      Click image for larger version

Name:	images (25) (232).png
Views:	29
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12359864

      RSI indicator chaar (four) qisam k trading signal deta hai; divergences, charting patterns, RSI levels aur overbought / oversold.

      (i) Divergences


      Bullish Divergences Give Buy Signals


      Bullish divergence us waqat hota hai, jab qeematen aik neye (new) nechli level tak ger (fall) jati hai lekin RSI apni pechli kami k muqabele me kam nechay level par ata hai.

      Trading ka osool:

      Jaise hi RSI apne dosre low position se uper ata hai, to yahan pe buy ki entry karen aur latest low price k nechay stop loss laga den.

      Bearish Divergences Give Sell Signals

      Bearish divergence us waqat hota hai, jab qeematen aik new up position pe chali jati hai lekin RSI indicator apne pechle high k muqabele me kam upward jata hai.

      Trading ka Osool:

      Jaise hi RSI dosre high position se low ata hai, to yahan pe sell ki entry karen, latest high price k uper stop loss ki position set karen.

      (ii) Charting Pattern
      1. Jab RSI indicator apne down trend line ko break karta hai, to uper ki qeemat ki trend line se uper buy ki entry karen, takeh aik upward breakout ko pakra ja sake.
      2. Jab RSI indicator apne uptrend line ko break karta hai, to nechay ki qeemat ki trend line se nechay sell ka order put karen, isi tarah se downward breakdown ko pakra ja sakta hai.


      (iii) RSI Levels
      1. Jab bhi RSI indicator apne lower reference line se nechay chali jati hai aur baad me wapis bullish move karna shoro ho jaye, to yahan pe buy ki entry karen.
      2. Jab bhi RSI apne upper reference line se above chali aur baad me wapis nechay a jaye to yahan pe sell ki trade open karen.


      (iv) Overbought / Oversold

      Wese to RSI indicator me traders ya analyst apni marzi k mutabiq levels ki setting kar sakta hai, lekin is me jo by-default setting howe hen wo hai, 30 se 70 k darmeyan. RSI k 30 se below area ko overbought zone jab k 70 se above area ko oversold zone kaha jata hai.
      • Aam tawar par agar RSI 25 pe gerne k baad 30 se uper barhta hai, to is ko bullish reversal ya bullish trend tasawar kia jayega.
      • Is k bar-aks agar RSI 80-90 pe jane k baad 70 level se nechay a jata hai to ye humen bearish reversal ya bearish trend k bare me batata hai.

      Kuch traders market ki qeematon k pehle long term ki trend malom karne k baad hi entry karte hen. RSI ka istemal dosre indicator k sath karna ziada faida mand sabit ho sakta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (25) (233).png
Views:	11
Size:	23.7 کلوبائٹ
ID:	12359865

      اب آن لائن

      Working...
      X