"Range Expansion Indicator (REI)" ka forex trading main use.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    "Range Expansion Indicator (REI)" ka forex trading main use.
    Introduction and explanation of Range expansion indicator.
    Range expansion indicator. ko Thomas DeMark nay introduce karaya. Range Expansion Indicator aik market timing oscillator hay. Exponential Moving Average convergence divergence ki calculation main jis tarah kay problems ka samna hota hay, ye (REI) indicator is problems ka muqabla karta hay, matlab REI arithmetically calculate kia jata hay.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220106-201811_1.jpg
Views:	1
Size:	144.3 کلوبائٹ
ID:	12492145

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220106-201542_1.jpg
Views:	1
Size:	189.9 کلوبائٹ
ID:	12492146

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220106-201527_1.jpg
Views:	1
Size:	92.7 کلوبائٹ
ID:	12492147

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220106-082831_1.jpg
Views:	1
Size:	160.5 کلوبائٹ
ID:	12492148

    Calculation of Range Expansion Indicator.
    Is indicator ki range 100 say -100 kay between gardiah main rehti hay. Is main 8 periods shamil hoty hain jin ki base per signals hasil kiye jaty hain. Ager aik trader ko kam laikin kafi had tak reliable aignals ki zaroorat ho to woh larger period ko use karta hay. Aur ager aik trader kam reliable laikin ziadah kisam kay signals ka khawahishmand ho to woh smaller period use karta hay. Thimas DeMark nay is kay siganls kay liye default period ki selection ko he recommend kia hay jo keh 8 period hay.

    Interpretation of Range Expansion Indicator.
    Ager indicator ki value +60 say barh jaye aur phir falling main aye to ye aik sell signal hota hay jahan say market downtrend ki taraf jana start kar daiti hay. Ager indicator ki value -60 say below jaye laikin phir up jana shuru kar day to ye signal buy ka hota hay jo bullish movement ki indication daita hay. Is indicator ki roo say market kabhi bhi overbought ya oversold area main nai jati.

    Trading with Range Expansion Indicator.
    Range expansion indicator aik simple oscillator hay jo range main chalta hay. Isko ham ager RSI kay sath mika kar use karain to hamain isky buy ya sell kay liye generated signals ki confirmation mil jati hay. Aisi surat main hamain chahiye keh as usual trading kay liye more than one indicators ka he use karain ta keh hamain trading kay liye reliable and strong signals mil sakain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: &quot;Range Expansion Indicator (REI)&quot; ka forex trading main use.

    Han je range expansion indicator ik relative oscillator indicator hai jo price change kay pace ko measure karta hai. Jb market ki price weak hoti hai ya strong hoti hai to ye over bought ya over sold states ko bi indicate karta hai. Ye indicator tom demark ny develop kiya hai or es indicator ki value -100 sy +100 kay bech ma change hoti hain. REI indicator ik enhanced oscillator kay tor par work karta hai or ye range trading ma remain calm rehta hai. Ye indicator tb he respond karta hai jb market price ki peak or bottom ko observe karta hai. Mt5 or mt4 both trading plat forms kay lae ap es indicator ko download kar sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220107-151806_Opera Mini.jpg
Views:	2
Size:	186.3 کلوبائٹ
ID:	12359862Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220107-150202_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	186.8 کلوبائٹ
ID:	12359863

    REI Input Parameter.

    REI ka default period 8 hota hai or eski value ko increase kar kay zayada precise values ko hasil kiya ja sakta hai. But esa karny sy ye indicator kam signals provide kary ga. Second es period ko mazeed decrease kiya ja sakta hai jis ki sorat ma ye indicator zayada signals provide kary ga but at the same time eski efficency kam ho jaye gi or ye inaccurate values farham karta hai. So ye har giz recommend ni kiya jata kay es kay parameter ko change kiya ja saky. Default parameter sy ye zayada precise working kar sakta hai.

    Trading using range expansion index.

    Jesa keh pehle discuss ho chuka hai REI ki value -100 sy +100 kay darmeyan move karti hai. Or eskay signal bi es par he depend karty hain. Agr ye indicator 60 sy zayada value ko show karta hai to ye bearish signal deta hai or trader ko es time par short ki trade ko open karna chahe. Agr es time par market ki price resistance level par hai to trader ka success hasil karny ka option increase ho jata hai. Jb REI indicator ki value -60 sy below hoti hai to ye trader ko long trade kay open karny ko indicate karta hai. Agr market es time par support par ho to trader kay success hasil karny kay chances barh jaty hain.

    Trusting range expansion index.

    Trading ma range expansion index indicator ko alone trade kay lae use ni karna chahe. Kio indicator ketna bi accurate signal kiu na deta ho us par trust ni karna chahe. Kiu kay agr ye ik inaccurate signal dey ga to trader kay account ko risk ma dal dey ga jis trader ka account wash ho sakta hai. So best results kay lay indicators ko other technical tools kay sath use karna chahe or en both kay results ko ya signals ko compare kar kay trade kay laye jana chahe.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220107-151750_Opera Mini.jpg
Views:	1
Size:	150.5 کلوبائٹ
ID:	12359861
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Range Expansion Indicator (REI) Ka Forex Trading Mein Kirdar


      1. REI Ka Taaruf Range Expansion Indicator (REI) aik technical tool hai jo price movement ka analysis karnay ke liye istemal hota hai. Yeh indicator market ke trend aur momentum ko samajhne mein madadgar hota hai, jo forex trading mein bohat ahmiyat rakhta hai.

      2. REI Indicator Ka Maqsad REI ka maqsad yeh hai ke trader ko short-term aur medium-term trends ka signal de, taake woh timely decisions le sakay. Yeh indicator zyada taur par momentum ko identify karta hai aur yeh batata hai ke price kis direction mein move kar sakti hai.

      3. REI Ki Calculation REI ki calculation basic tarike se ki jati hai jo highs aur lows ko compare karta hai. Yeh price action ko dekhta hai aur uske hisaab se aik value produce karta hai jo -100 se +100 ke darmiyan hoti hai. Yeh range batati hai ke price kis taraf move karne ka imkaan rakhti hai.

      4. Forex Market Mein REI Ka Istemaal Forex market mein REI ka istemal price trend aur momentum ko pehchanne ke liye kiya jata hai. Yeh overbought aur oversold levels ko bhi identify karta hai jo trader ko entry aur exit points ke liye madad deta hai.

      5. Overbought Aur Oversold Levels Ka Ilm Jab REI ki value +60 se upar ho, toh yeh overbought condition ko indicate karta hai. Iss ka matlab hai ke price zyada high levels pe pohanch gayi hai aur ab girne ka chance hai. -60 se neeche value oversold condition ko dikhati hai jo indicate karti hai ke price ab upar ja sakti hai.

      6. REI Aur Trend Reversal Ka Signal REI indicator ka aik ahm faida yeh hai ke yeh trend reversal ko identify karta hai. Agar REI extreme values pe ho aur direction change kare, toh yeh trader ko is baat ka ishara deta hai ke price ka trend change hone wala hai.

      7. REI Aur Momentum Analysis Momentum analysis mein REI ka kirdar ahm hai kyunke yeh price ke speed aur direction ka andaza lagane mein madad karta hai. Agar REI ki values stable aur consistent hoon, toh yeh market ke stability ko show karti hain, aur agar fluctuations zyada hoon toh yeh volatility ko dikhata hai.

      8. Range-Bound Markets Mein REI Ka Faida Range-bound markets mein REI ka faida zyada hota hai kyunke yeh indicator market ke highs aur lows ko measure karta hai. Is tarah se trader range-bound market mein accurate entry aur exit points identify kar sakte hain.

      9. REI Aur Divergence Trading REI divergence trading mein bhi kaam aata hai. Agar price upar ja rahi ho lekin REI neeche ja raha ho, toh yeh bearish divergence ka signal hai jo price ke girne ka imkaan batata hai. Isi tarah, bullish divergence price ke upar janay ka signal hai.

      10. REI Aur Trend Continuation Signal REI sirf reversal hi nahi balkay trend continuation ka signal bhi de sakta hai. Agar REI ki values ek direction mein consistent hoon, toh yeh signal deti hain ke trend strong hai aur waisay hi chal sakta hai.

      11. REI Settings Aur Adjustments REI ki settings ko customize kiya ja sakta hai taake market condition ke hisaab se best results mil sakein. Forex traders apne time frame aur trading strategy ke mutabiq REI ki sensitivity ko adjust kar sakte hain.

      12. REI Aur Risk Management REI ka istemal risk management mein bhi ahm hai. Yeh indicator traders ko overbought aur oversold conditions ke bare mein batata hai jo unhein market ke high risk areas se door rehne mein madad karta hai.

      13. REI Ka Combo Doosre Indicators Ke Saath REI ko doosre indicators jaise ke Moving Average, RSI, aur MACD ke saath mila kar istemal karna beneficial ho sakta hai. Yeh combo approach zyada accurate signals generate karti hai jo trading ke liye faidemand hote hain.

      14. Forex Trading Mein REI Ka Nateeja Forex trading mein REI aik ahem indicator hai jo market ke trend aur momentum ko samajhne mein madadgar hai. Yeh indicator overbought aur oversold conditions, trend reversals, aur continuation signals ko pehchanne mein asaani paida karta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X