What Is Doji Candlestick Patten and Different types of Doji
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What Is Doji Candlestick Patten and Different types of Doji
    Dear friend market mai doji candlestick pattern se indication aor direction mai change ho raha ho to aus time ye pata chal jata hai to aus waja se market mai jab ye candlestick pattern banta hai to aus mai reversal ki indication hoti hai. Aisy candlestick pattern ko dekh k hum ais market mai trade laga sakty hain kun k ye patterns reverasal ka signal dy rahy hoty hai aor aisy patterns ko find karna bahot asan hota hai. Aisi candle ko asani k sath wick dekh k hum find kar sakty hain ais ki differnet types hai jin ko hum dekh k ais market mai trade kar sakty hain.

    Doji Candlesticks Pattern Types:

    1: Standard Doji

    2: Long Legged Doji

    3: Dragonfly Doji

    4: Gravestone Doji

    5: 4-Price Doji

    Doji Candlesticks Patterns Formed:

    Dear friend jab ais market mai kisi bhi time frame mai new candle start hoti hai aor closing bhi ausi price k nazdeek karti hai magar ais candle ki wicks bahot lambi hoti hai magar body nahi hoti hai to ye aik doji candle banti hai. Jab ye doji candle kisi resistance ya support par banti hai to aus par humy ye signal milta hai k market ne ais level se reversal leni hai. Hum ais market mai doji candle ko dekh k confirmation k baad trade laga sakty hain.

    1: Standard Doji:

    Dear friend Standard Doji jab banti hai to ais mai wicks dono taraf aik jaisi hoti hai aor aisi doji candle mai body nai hoti hai jab ye candle kisi resistance ya support par banti hai to waha se reversal k hisab se hum apni trade laga sakty hain. Aisi trade ka stop loss candle se thora sa oper hota hai aor take profit next resistance ya support par hota hai aisi candles resistance aor support level par valid hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (9).jpeg
Views:	4
Size:	25.8 کلوبائٹ
ID:	12491579

    2: Long Legged Doji:

    Dear friend market mai long legged doji tab banti hai market mai moment kafi zayda hota hai aor aisi candle mai wick bahot lambi hoti hai aisi candle mai body bahot choti hoti hai magar wick bahot zayda bari hoti hai. Long legged doji pattern jab kisi resistance ya support par banti hai to to ais ki wick ko dekh k pata chal jata hai k market mai next moment bhi zayda volatile ho sakti hai ais mai jaisy hi confirmation milti hai humy ais market mai trade open kar deni chaye, pattern k hisab se trade lagany k baad humy ais market mai stop loss resistance ya support level se thora dor rakhna hota hai kun k ye candle jab banti hai to next candle ais k high point tak aa sakti hai aisi candle par trade se kafi zayda faida ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (8).png
Views:	8
Size:	15.8 کلوبائٹ
ID:	12491580

    3: Dragonfly Doji:

    Dear friend ye pattern sirf support level par banta hai ais pattern ki sab se achi baat ye hai k hum ais pattern ko asani k sath her time frame mai find kar sakty hain, ais pattern ki shape ''T'' hoti hai mean ais candle k necny side par wick hoti hai magar upper side par wick nai hoti hai, jab ye pattern banta hai to ais k baad market upside par moment karti hai humy ais market mai trade lagany k liay ais candle k baad next candle ko bullish close hony ka wait krna hota hai jaisy hi next candle bullish close ho hum market mai trade laga sakty hain. Ais pattern k hisab se trade ka stop loss support level se thora nechy hota hai aor take profit next resistance level par hota hai jaha par hum apna target set kar sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	images (12).jpeg
Views:	10
Size:	30.3 کلوبائٹ
ID:	12491581

    4: GraveStone Doji:

    Dear friend Gravestone doji opposite hoti hai Dragonfly Doji ki ais mai candle jab banti hai to ye resistance level par banti hai aor ais mai sirf upside par wick hoti hai aisi candle k down side par market wick nai banati hai. Jab market ye pattern banti hai to aus k baad humy sell ki trade lagani hoti hai kun k ye candle resistance level par banti hai aor aus k baad market down side par aati hai humy ais market mai confirmation k baad trade lagani hoti hai ye candle jab banti hai to aus k baad market ki next candle down close honi chaye tab ye candle valid hoti hai aor hum ais par trade laga sakty hain. Trade ka stop loss resistance level se thora oper rakha jata hai aor take profit support level par rakha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (10).jpeg
Views:	12
Size:	25.5 کلوبائٹ
ID:	12491582

    5: 4-Price Doji:

    Dear friend ye candle jab market mai banti hai to ais mai candle ki wicks nai hoti hai simple aik line hoti hai jis mai candle ki opening aor closing ais k sth high aor low sab aik hi point par hota hai aisi candle tab hi market mai banti hai jab market open hoti hai aor aik hi jagha par ruki rehti hai ais patterns ko dekh k pata chal jata hai k market mai buyyers aor seller ka presure nai hai humy ais market mai trade se avoid karna chaye jab ais candle k baad next candle ki body lambi ho to aus k baad hum ais market mai trade laga sakty hain. Ais candle ki shape ''-'' Line jaisi hoti hai aor ais mai market bilkul hi nai banati hai aisi candle ko hum dekh k trade lagany k liay kisi resistance ya support level ko sath dekhna hota hai. Ais candle mai humri trade ka stop loss resistance aor support level k hisab se hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (9).png
Views:	34
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12491583
    Last edited by ; 03-01-2022, 06:00 PM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What Is Doji Candlestick Patten and Different types of Doji

    Assalamu Alaikum Dosto!

    Doji Candlestick


    Doji candles ka shumar single candlestick pattern main hota hai, jiss main candle k lower, upper ya dono sides par aik long shadow hota hai, jab k candles ki orignal body zero ya bulkul na hone k barabar hoti hai. Doji candles wo candles hoti hai, jis ka open aur close price to aik ya same hoti hai, lekin high aur low prices mukhtalif ho sakti hai. Doji main aik aisi candle bhi shamil hai, jiss k na to upper side par koi shadow ya wick hoti hai, na lower side par, yanni candle ka open, close, high aur low price same aik hi point par hoti hai. Ye candle four Price Doji Candle kehlati hai. Doji candles ki chart par pattern par aam tawar par ye panch candles istemal hoti hai, jiss main se four Price Doji Candle bohut nayab candle hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2) (276).jpeg
Views:	2
Size:	17.7 کلوبائٹ
ID:	12415459

    1. Doji Star Candle
    2. Long-legged Doji Candle
    3. Gravestone Doji Candle
    4. Dragonfly Doji Candle
    5. Four Price Doji Candle

    1. Star Doji Candle


    Star doji candle jiss aam tawar par "Standard doji candle" bhi kaha jata hai, doji candles ki sab se simple candle hoti hai. Ye candle market me bull aur bear k same pressure ki waja se bantee hai. Candle main prices na to bohut ziadda upward jatee hai aur na hi bohut ziadda downward, bulkeh mamolee si upward aur ussi tarrah se downward jane k baad wapis appne open point pe close hotee hai, yanni dono sides par candle ka shadow same hota hai.

    2. Long-legged Doji Candle


    Long-legged doji candle star doji candle ka advance version hai, jiss main candle k upper aur lower side ka shadow bohut bara hota hai. Iss candle main prices upper aur lower sides par aik bara shodows (wicks) bannane k baad apnne opening price pe close ho jatee hai. Long-legged doji candle ko "Rickshaw Man Doji Candle" bhi kaha jatta hai. Jab bhi khas timeframe me buying aur selling bohut zyada ban jatta hai to uss waqqat Long-legged doji candle bantee hai.

    3. Gravestone Doji Candle


    Gravestone doji candle buyers pressure ki wajja se prices upward jane k baad wapis bear pressure se ussi point par bannd ho jatee hai. Gravestone doji candle ko traders ziadda tar bearish candle tasawar karte hen, aggar ye candle top price ya bullish trend main bantee hai. Candle ki format batattee hai k bulls ne prices upper sides pe to push keye lekin wo candle ko band karne tak baqarar nahi rakh paye, aur ye control bears k hath main a jata hai.

    4. Dragonfly Doji Candle


    Dragonfly doji candle main prices sellers ki dabao ki waja se bearish jati hai, lekin buyersk active hone ki waja se wo wapis upper a jati hai, jiss me doji candle k open aur close price aik jaise hone k baad, lower side pe ek lambba shadow hota hai. Dragonfly doji market main bullish trend reversal ka kaam kartee hai, lekin uss k leye zarrori hai, k prices bearish trend main hon. Dragonfly doji ki format k mutabbeq jab bhi bear price ko nechay ki tarraf push karne k baad us par control barqarrar nahi rakh pate aur bull prices ko wapis upward dakhel detee hen. Dragonfly doji candle "Gravestone Doji candle" ki mukhaleff candle hai.

    5. Four Price Doji Candle


    Four price candle main high, low, open aur close point same eik hi hotti hen, yanni candle ki charo prices aik line par hoti hai, iss waja se iss ka naam four price doji candle rakha gaya hai. Four price doji bohut unique hone ki wajja se bohut kam hi prices main bantee hai, aur long term k timeframe me to iss ka banna bohut mushkill hota hai. Four price doji candle me prices upward aur downward janne ki bajjaye ek hi position pe munjamed ya stuck rehtee hai. Jiss se ye candle aik line see bantee hai. Four price doji market main buyers aur sellers donno ki adam tawajah ya damp market ki waja se bantee hai. Fource price ki market value zero ho jati hai, jiss main trader prices k agli breakout ka intezar karte hen.

    اب آن لائن

    Working...
    X