Cradle candle stick chart pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Cradle candle stick chart pattern
    ​Cradle candle stick chart pattern;



    candle stick pattern kay monasab tareekay samjhnay kay ley aap ko japane candle stick or es ke tamam khasoseaat ko samjhna zaroore hey mesal kay tor par cradle pattern aap ko halea trend kay reversal janay ka eshara karta hey yeh aam tor par down trend kay doran mein hota hey pattern kay bad mein janay wale candle stick ke confirmation ke zaroorat hote hey cradle pattern aik kesam ka zyada profitable candle stick pattern hey
    Click image for larger version

Name:	Cradle-Pattern.jpg
Views:	1
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12491476


    Identification of cradle candle stick pattern



    yeh pattern aik long or black candle stick say hota hey down ke teraf es pattern k daikhna zaroore hota hey yeh investor ke selling kay result mein he hota hey kun keh down taraf trend preshan nahe kar raha hey es baat ka emkan hey keh trader bhe ghair faisla ken prices ka decision karen gay trader yahan par Doji candle stick pattern , Hammer candle stick pattern , spinning top candle stick pattern, or inverted hammer candle stick pattern ko analysis karen gay kun keh prices khatarnaak tawazon mein rehen ge
    candle stick ke frmation kay end mein aik long r white candle stick kay sath prices mein ezafa ho ga cradle pattern nechay janeshene ke taraf doji ke janeshene ke taraf matno hey
    naam kamel hey es lehaz say keh yeh zahaire shakall mein cradle jaisa hey or taize say reversal pattern dayta hey yeeh es tarah kay basree signal mein badall jata hey or zyada tar candle stick kay down mein esharay majod hotay hein down ke taraf trend mein aik bare bearish candle mokamall sell janay ko indicate karte hey jaisa keh spinning top Hammer Doji Harami or inverted Hammer candle stick pattern kun keh selling khatam ho choke hey
    or ab candle stick kay trader candle stick signal ke confirmation buy ka signal dayte hey note karen keh buy kay esharay zahair honay tak kuch day tak ghair faisla ken trade ka eshara zahair ho saktay hein
    Click image for larger version

Name:	download (5).jpg
Views:	1
Size:	7.2 کلوبائٹ
ID:	12491477
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Cradle candle stick chart pattern

    Dear friend, candlesticks kay patterns ko properly samajh kar traders market ki moments ko predict kar saktay hain, ye patterns pairs ki ongoing aur upcoming moments ko identify karnay ma boht aham kirdar ada kartay hain, ye patterns mukhtalif candles sa mil kar bantay hain aur inki boht sari types hoti hain, in ma sa aik cradle candlestick pattern ha,

    Appearence of Cradle candlestick pattern:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220103_0852521.jpg
Views:	1
Size:	15.7 کلوبائٹ
ID:	12359254

    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220103_0852522.jpg
Views:	1
Size:	22.2 کلوبائٹ
ID:	12359255

    ye pattern normaly downtrend ma appear hota ha aur current trend ki reversal ko predict karta ha, pattern ki pehli candle long bearish hoti ha aur us kay baad aik indecision ka phase chal parta ha jis ma mukhtalif types appear hoti hain jo doji, spining top, hammer aur inverted hammer candles wagera hoti hain, is situation ma prices thori unstable rehti hain lakin pattern kay end ma prices uptrend ma rise karna start kar daiti hain jo aik long bullish candle ka appear honay sa confirm hota ha, ye candle market ma bulls ki strength gain karnay ko indicate karti ha

    Conclusion:


    Click image for larger version

Name:	IMG_COM_20220103_0852520.jpg
Views:	1
Size:	13.6 کلوبائٹ
ID:	12359256

    ye pattern traders kay emotion ko expose karta ha agr traders first bearish candle ko follow kartay hain to ye un kay liay mistake ka sabab banti ha kiun kay cradle pattern ma market first bearish candle kay baad further zida downward moment nhi karti aur kuch doji ya spining top candles kay baad bullish moment start kar daiti ha, lihaza traders ko confirmation kay baghair trade open nhi karni chaiay aur proper anaylisis kar kay cradle pattern ki janch karain us kay baad koi bhi order place karain, ye pattern selling sentiments kay end honay ko show karta ha jo market ma kuch indecisiveness kay baad dobara bullish sentiments ma reverse ho jata ha
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Cradle candle stick chart pattern

      Candlestick Pattern


      Candlesticks ka aghaz japan me 1600 sadi me hona shoro howa tha. Japanese chawalo (rice) ki pedawar aur mustaqil me achey result k leye is ki madad lete the. 1870 me Japanese stock market shoro hone k baad candlestick ka istemal financial markets me hone laga. Jab se candlestick ka istemal all over the hone laga hai, to is se traders ko financial market me apne karobar ko profitable banane me bari madad meli hai.

      Click image for larger version

Name:	images (25) (173).png
Views:	15
Size:	7.4 کلوبائٹ
ID:	12359265

      Candlesticks charts ko candle chart bhi kaha jata hai. Is ko abtedaye tawar par reversal signal ko talash karne me madad karne k leye tayar kia gaya hai, aur jab is ko sahi tareeqay se istemal kia jata hai, to na sirf ye traders k sarmaye ko mehfoz banata hai, bulkeh us me izafa karne me madad faraham karta hai. Candlestick chart pattern dosre chart pattern (bar chart aur line chart) k muqabele me market ka tafseeli aur ziada darust naqsha dekhata hai, aur is ki waja ye hai k candle charts analysis ki naye rahen (vanues) khulte hen aur dosre charts k muqabele me ziada fawayed pesh karte hen:
      1. Candle k chart bulls aur bears k darmeyan faisala-kun jang dekha kar supply aur demand ki soratehal ko mukamal tawar par zahir karte hen.
      2. Baar chart ki tarah, candle charts bhi market k trend ko zahir karta hai, lekin candles is aqdam k peche taqatwar asbab (ya kamzor asbab) ko bhi zahir kar k analyst ki ziada madad karte hen.
      3. Baar charts techniques ko reversal signals muntaqil karne me aksar hafte lagte hen. Taham, candle chart aksar aik se teen sessions me bohut jald reversal jane k indication faraham karta hai.
      4. Chonkeh candles chart same wahi data istemal karte hen jo baar chart karta hai (yani open, close, high and low), is waja se baar chart par istemal hone wale dosre tamam technical signals asani se candles pe lago keye ja sakte hen. Chonkeh baar charts ki nisbat candles charts k fawayed ziada hen, is waja se humen candles charts ka hi istemal karna chaheye, aur is pe hum dosre sare indicators aur singal bhi asani se lago kar sakte hen.


      Candlestick Timeframe



      Aik candlestick ka timeframe 1 minute se lekar aik month tak ka ho sakta hai. Jo rules aur regulations one minute ki candlestick k leye hoti hai, wahi same one month ki timeframe wali candle ki leye bhi hoti hai. One minute se lekar one hour tak ki candlestick short-term analysis k leye istemal kia jata hai, q k inka duration kam hota hai. Lekin 4 hour se le kar one month tak ki candlestick ling time duration ka hone ki waja se is ka istemal long-term ki analysis me hota hai. Aik candlestick ki duration jitni ziada hogi, utni hi us ka data ziada accurate hoga. Aik candle one minute (M1),five minutes (M5), fifteen minutes (M15), thirty minutes (M30), one hours (H1), four hour (H4), one week (W1) aur one month (MN) ki duration par mushtamil hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (25) (174).png
Views:	1
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12359266

      Key terms of a candlestick


      Aik candlestick mandarja-zel chaar hiso par mushtamil hoti hai. Financial market ki technical analysis k leye aik candlestick ki in hiso ka samjhna bohut zarori hai.
      1. White real body (bullish candle k leye)
      2. Black real body (bearish candle k leye)
      3. Upper shadow (wick)
      4. Lower shadow (wick)


      Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-03T095452.604.jpeg
Views:	2
Size:	12.9 کلوبائٹ
ID:	12359267

      White Real Body (Bullish):

      Candle ki white body ka matlab hai, k maojooda session ziada ya high qeemat me band howa hai. White real body candle open se lekar close hone tak mutateel hisa hota hai, jo k nechay se uper ki taraf hota hai. Is candle me qeematon ka positive movement karne ki waja se, is candle ko bullish candle bhi kaha jata hai.

      Black Real Body (Bearish):

      Black real body wali candle ka matlab hota hai k maojooda session kam qeemat me band ho gaya hai. Black real body me open position high aur close position downward hota hai. Yani is me qeematen uper se shoro hoyi haiaur nechay ki janib jati hai. Candle ki real body same mustateel shakal me hoti hai, jis ko bearish candle bhi kaha jata hai.

      Uper Shadow (Wick ):

      Candles me aksar uper nechay aik line si bani hoti hai jis ko candle ka shodow kaha jata hai. Agar candle ki uper side pe koi line banti hai to is ko uper shadow ya wick kaha jata hai. Uper shadow candle ki sab se highest qeemat hoti hai, jahan ko ye qamaten touch kar chuki hoti hen. Uper shadow humen buying pressure k bare me information deti hai.

      Lower Shadow (Wick):

      Agar kisi candle ki down side pe koi saya ya line nazar ati hai to ye us candle ki lower shodow kehlati hai. Lower shadow candle ki kam qeematen hoti hai, jis ko is candle ne touch kia hota hai. Lower shadows traders ko selling pressure k bare me batati hai.

      Candlestick ki Main Aqsaam


      Aam tawar par to candlestick ki kafi sari qesmen hen, lekin in me teen main aqsaam hen (yani baqi sari candles in teen aqsaam me shumar hoti hen).
      1. Bullish Candle
      2. Bearish Candle
      3. Doji Candle


      Click image for larger version

Name:	images - 2022-01-03T095614.093.jpeg
Views:	2
Size:	25.6 کلوبائٹ
ID:	12359268

      Bullish Candle:

      Bullish candle ko white candle bhi kaha jata hai, jis se murad wo candle hoti hai, jis me aik session k duran closing price hamesha opening price se ziada hoti hai. Bullish candle jitni ziada bari hogi utni hi market me qeematen upside pe ziada move karti hai.

      Bearish Candle:

      Bearish candles bullish candles ki opposite hoti hen aur color me black hoti hai. Bearish candle me aik session closing price hamesha opening price se kam hoti hai. Jitna ziada market me selling pressure hoga, to us hisab se bearish candle bhi bari hogi.

      Doji Candle:

      Doji candle aik colour less candle hoti hen, jo simple do lines pe mushtamil hoti hai. In candle me open, close qeematen same hoti hen, lekin high aur low price mukhtalif ho sakti hai. Doji candle na to positive hoti hai aur na hi negative, is waja se is ko neutral candle bhi kaha jata hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X