Descending Triangle Pattern !!!!!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Descending Triangle Pattern !!!!!
    AOA,

    Dear Forex Members, I Hope ke aap sb khair khairiat se hn gy or pak forex forum se knowledge gain kr rhy hn gy.
    dear members successful trader banny k lye market ka knowledge hona bahut zrori ha es lye humen forum ki posts read karni chahye.
    aj ki post main hum triangle continuation pattern ko study karen gy or es main hum bearish continuation triangel ko tafseel se dscs karen gy.


    What Is Bearish continuation?


    Dear Freinds, continuation pattern wo hoty hain jo k ksi trend ki peak b bnty hain or es bat ki nishani hoty hain k market abhi apna trend continue rakhy ge .
    aisy hi kch triangles patterns aisy hoty hain jo k downtrend main bnty hain or in k breakout k bad market apna trend continue rakhti ha.
    aisy hi aik pattern ko aj hum study karen gy jo k nechy dya gaya hai.
    Decending Triangle Pattern
    Es pattern ko nechy hum tafseel se dscs kar rhy hain.


    What Is Decending triangle Pattern?


    Dear Freinds, ye pattern bearish trend main bnta ha or es k breakout k bad market bearish trend ko continue karti ha.
    esy decending triangle es lye kaha jata ha k eski shakal decendig hoti hai yaini k nechy ki trf jhuki hovi triangle hoti hai.
    Bearish trend main nechy jaty jaty market thori retracement lyti ha or consolidate karti ha. or doran market nechy aik support area se tkra k opr jati ha or high bna k wapis usi support py aa jati ha or dobara opr ja k aik lower high bnati ha jo k previous high se thora nechy hota ha.estraha market nechy aik base line bna lyti ha or opr ki trf lower highs bnati ati ha.agr highs ko highs se milaya jay to aik decending trend line banti ha or nechy base line se esy mila diya jy to decending triangle banti ha.Es k breakout k bad market bearish hoti ha or sell main hi jati ha.
    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	5
Size:	3.5 کلوبائٹ
ID:	12491324


    How To Trade:


    phly to hamen es pattern k complete hony ka wait karna chahye jb ye complete ho jy to es k breakout ka wait karen breakout es ki base line jo k support hoti ha wahan se hota ha.
    breakout k bad confirmation ka wait karen or es k bad es main sell ki entry len.es main hmara stop loss triangle ki base line se opr ho ga jb k profit target base line se trendline ki height k equal nechy ki trf ho ga.


    Click image for larger version

Name:	images.png
Views:	3
Size:	4.2 کلوبائٹ
ID:	12491325
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Descending Triangle Pattern !!!!!

    Symmetric Triangle


    Financial market me symmetric triangle us waqat banta hai, jab qeematen gher faisala-kun mor (mode) me hon. Kisi bhi chart me symmetric triangle ko us waqat asani se pehchana ja sakta hai, jab qeematen musalsal uper aur nechay slope ki shape me mutabadel "high lows" aur " low high" banate hen. Symmetric triangle us waqat bante hen, jab market me talab aur rasad (supply and demand) barabar hon, jis k natijay me market gher faisala-kun sorat ikhtiar kar jata hai. Ziada tar triangles k natijay me pehle trend k semat me breakout ya breakdown ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (129).png
Views:	18
Size:	12.0 کلوبائٹ
ID:	12359045

    Descending Triangle


    "Descending Triangle" k rules aur regulations "Ascending Triangle" k hi jaise hen lekin bas ye bearish hota hai. Descending triangles bearish market me bante hen aur trend ko breakdown karwate hen. Aik descending triangle do trend lines se jori hoti hai, jis me aik trend line nechay ki taraf slope banati hai aur dosri aik flate trend line jo lowers ko touch karti hai, ko apas me jorti hai. Trades aksar triangle k choti k qareeb hote hai, q k qeematen nechay k trend line k bahir close hoti hai aur aik mumkina breakdown tajweez karti hai. Pattern k banne se pehle qeematon ka kam az kam do baar trend line ko katna chaheye. Ascending triangle ki tarah descending triangle me bhi kamyabi k chances bohut zyada hen.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (130).png
Views:	9
Size:	23.8 کلوبائٹ
ID:	12359046

    Trade:

    Breakdown hone k baad triangle k outside pe aik candle chor kar sell ki entry karen. Price action, volum ya kisi dosre reliable indicator se trend lazmi confirm karen.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (131).png
Views:	5
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12359044

    Take Profit:

    Descending triangle k bhi ascending triangle ki tarah ahdaf (take profit) hen. Triangle k lowest aur highest point k darmeyan pemayesh karen, aur breakdown point se 50% aur 100% ki range pe apne ahdaf (take profit) set karen.

    Stop Loss:

    Stop loss ko nechay ki taraf ate howe slope k bahir set karen. Agar qeematen top trend line k uper band hoti hen to trade ko close karen aur market se exit ho jayen.

    اب آن لائن

    Working...
    X