RSI Divergence

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    RSI Divergence
    what is RSI Divergence;


    RSI divergence os wakt hona start hota hey jab price reverse honay say pehlay RSI reverse hona start ho jata hey RSI divergence daikhnay ka dosra tareka yeh hey keh RSI price mein tabdele ko zahair karte hey es say pehlay aa price action mein tabdele ko analysis karen ap esay ebtadai carefull signal bhe samajh saktay hein dosray lafzon mein trader ke mumkana tabdele ka pata laganay kay ley samajh saktay hein
    Click image for larger version

Name:	rsz_negative_rsi_divergence.png
Views:	2
Size:	32.5 کلوبائٹ
ID:	12490930


    two RSI Divergence bearish or bullish;



    Bearish Divergence;


    bearish divergence RSI over bought mein shamell hote hey jes kay bad RSI mein low high hote hey essi mesal price k 2nd peak or zyada high tak pohnchana hota hey jahan par RSI low hey es say ap ko yeh eshara mel sakta hey keh high ke raftar kam ho rehe hey r nechay ke movement jald he zahair ho sakte hey


    Bullish Divergence;



    jaisa keh opar batya geya hey bearish divergence mein RSI over bought ko indicate karta hey to bullish divergence inverse hote hey bearish divergence kay or bullish Divergence RSI oversold level mein shamell hote hey or price dosre peak say low say low hote jay ge
    Click image for larger version

Name:	rs=w_400,cg_true.jpg
Views:	2
Size:	39.4 کلوبائٹ
ID:	12490929



    RSI Divergence trading strategy;



    aap jab ap ko divergence trading strategy ka knowledge ho to Divergence trading strtegy ko behtar karnay kay ley chand tareekon par ghor karna chihay yeh strategy profit mein ap ke trade lanay ke average mein ezafa karte hey
    support or resistance ka estamall karnay say;
    aap ke RSI divergence ko apas mein jornay wallay support or resistance marks ko talash karna trade ko win karnay kay apnay emkan ko increase kar saktay hein wazah rahay keh aik bohut he wazah support or resistance ko talash karna chihay
    trading exit;
    dosra method RSI divergence say profit increase karnay ka yeh hey keh trading ko exit karna chihay kese bhe trading strategy ke tarah aap ko trade exit karnay ke trading strategy or trading say out honay kay ley trade ko exit karna hota hey ta hum long term trading mein stop loss ko pechay chona ap ko over all trading mein profit ko increase kar sakta hey or ap mumkana tr par apni trade ko exit khod kar saktay hein
    Click image for larger version

Name:	8df563bfb70f1bbcff5e47f957a0028a.jpg
Views:	2
Size:	48.5 کلوبائٹ
ID:	12490928


    RSI Divergence ko confirm karnay ka tareka;


    note karnay ke bat yeh hey keh app kese bhe trading signal ko confirm nahe kar saktay es tarekay say jo profit bakhash tareka mokamal confirmation day ga or profit ke zamanat day ga
    or es bat ke omeed ke ja sakte hey keh kuch new trader yeh sochen gay keh win karnay wallay trade kay baray mein yakeen rakhnay aik tareeka yeh hey trade loss or profit par moshtamell hote hey ta hum aap k yeh step othanay kay ley aik kesam ka jaiza divergence trading signal hey
    RSI divergence par trade karnay ke sab say pehle cheez yeh hey aise cheez ke talash karen keh trade overbought ya oversold ke condition mein ho es say yeh zahair hota hey keh aik nesbatan entahai step majod hey r price mumkana tor par es neshan say wapes anay wale hey
    Click image for larger version

Name:	download (6).jpg
Views:	1
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12490931
    دیتے جائیںThanksحوصلہ افزائی کے لیے
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: RSI Divergence

    RSI Divergence


    RSI indicator ko 1978 me J. Welles Wilder ne banaya tha. Ye aik momentum oscillator hai jo upper aur lower harkaton ka muazena karke qeematon k raftar aur semat (velocity aur magnitude) ki pemayesh karta hai. Forex k successful traders k mutabiq RSI divergence technical strategies me sab se kamyab strategy hai. Is ki waja ye hai k ye strategy na sirf chart par maojood malomat ka istemal karti hai, bulke un candlesticks ka bare me bhi wazeh malomat farahm karte hen, k buyers aur sellers market me kia karte hen.
    Aisi soratehal jahan candlestick k top ya bottom indicators ki signal line k mutaleqa tops ya bottom se mukhtalif semat ki taraf signal dete hen, is ko divergence kaha jata hai. RSI Divergence se murad qeematon ki semat k mutabiq RSI ki semat ko badal dena hai. RSI Divergence bar ka colour divergence k lehaz se badal deta hai. Financial market RSI indicator k do atarh k divergence ho sakte hen aik bullish divergence aur dosra bearish divergence . Agar RSI indicator ki value barh (increase) rahi ho aur qeematen kam (decrease) ho rahi ho to to aik bullish divergence ho jata hai. Lekin agar RSI ki value kam (decrease) ho rahi ho aur qeematen barh (increase) ho to ye bearish divergence k zemre me ayega.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (78).png
Views:	1
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12358668


    Bullish Divergence


    Bullish divergence me oscillator higher lows banati hai, jab k us k bar-aks qeematen price chart me lower lows banati howi chalti hai. Bullish divergence me RSI indicators do (two) low dekhata hai, jo higher lows k level banata hai, jab k qeematen lower lows dekhati hai. RSI leading indicator k tawar par apni values ko naye semat ki taraf ishara karti hai, jab k qeematen indicator k semat k faraq ko sahi karne k leye baad me usi semat me ati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (65).jpeg
Views:	1
Size:	8.7 کلوبائٹ
ID:	12358669

    Bearish Divergence


    Price chart pattern me jab bhi qeematon k candlestick higher high banti hai, aur indicator ki vlaue us ki bar-aks lower banati hai, jo baad me qeematen ki semat ki tabdeeli ka zarya banti hai, aik bearish divergence hota hai. RSI indicators ki value agar downward semat me ja rahi ho aur qeematen higher high k candles bana rahe ho, to bearish divergence k mutabiq qeematen is faraq ko khatam karne k leye indicator ki semat ko baad me follow karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (66).jpeg
Views:	1
Size:	26.8 کلوبائٹ
ID:	12358670

    Hidden Bullish Divergence


    Hidden Bullish divergence us waqat banta hai, jab indicator lower lows bana raha ho aur sui waqat qeematen higher lows banati hai. Ye aksar us waqat ho raha hota hai, jab qeematen sideways trend pe a arahi ho ya uptrend se qeematen wapis ho rahi ho, is waja se ye set up is baat ki nishan-dahi karta hai k qeematon me abhi bhi uptrend k asaar hen. Aisi soratehal me qeematen bohut kam hi sellers k control me ati hai, aur ye position market me buyers ki mazboti ki waja se hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (79).png
Views:	6
Size:	23.3 کلوبائٹ
ID:	12358671

    Trading on RSI Divergence


    RSI Divergence trading k leye aik behtar strategy sabit ho sakti hai, lekin ye baat hamesha se zehen me rehni chaheye k RSI indicator aik trend reversal indicator k tawar par ziada kaam karta hai, agar kahi se qeematen indicator k bar-aks chalna shoro karti hai, to us k leye stop loss ka zaror istemal karen. RSI Divergence marketbk lower ya higher point pe ziada behtar result deta hai. Trend market me trend ko hamesha follow karen.

    Click image for larger version

Name:	images (67).jpeg
Views:	2
Size:	63.2 کلوبائٹ
ID:	12358672
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: RSI Divergence

      Bhai jan ap thk kh rhay hen lakin agr divergance ka sath sath hum market ki support or resistance ko b dekhen to ye pattern zyada kam krta hai behsak ap utha kr dekh len chart ko kisi b pattern ki accuracy zyada krnay k liye zroori hai k hum us trade k liye confitmations ikathi kren like jo pattern bn rha hai us k kareeb koi supprt ya resistance hai ya phir koi trendline or indicator apko confirmation day rha hai. Is say ye hota hai market apko zyada strong signal day deti hai k ab market kya move lenay ja rhai hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X