Market Breadth indicator kay use kay bary main knowledge.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Market Breadth indicator kay use kay bary main knowledge.
    Har indicator kay kuch fawaid aur nuqsanat hain. Laikin hamary sath yehi hota hay keh most of times jab ham indicator ki base per buy karty hain to price consolidation ki waja say hamara stop loss hit ho jata hay aur baz dafa jab ham sell kar rahy hoty hain to tab bhi stop loss hit ho jata hay. Ab aisi surat say bachny kay liye ham market breadth indicator ka use karty hain. Basically market breadth indicator say ham ye pata lagaty hain keh declining stocks kay muqably main advances stocks kitny hain. Is tarah market breadth positive position main hoti hay jab hamain pata chalta hay keh market main declining stocks kay muqably main advances sticks ki tadad ziadah hay. Is say hamain ye pata chalta hay keh market per bulls ka control hay aur market price mazeed rise kary gi.

    Understanding of Market breadth indicator.
    Kuch breadth indicators na sirf hamain stocks ki advancing ya declining kay bary main bataty hain balkeh price volume kay bary main bhi bataty hain. Q keh jab volume high hota hay price rise hoti hay nisbatan is kay keh low volume main price decline rehti hay.

    Market breadth is forewarned indicator.
    Market breadth aik forewarned indicator hay jo keh market ki reversal ka pehly batata hay aur iskay sath trend kay weak hony ya iski strength ko bhi highlight karta hay. Jo keh normal indicators kay through hamain chart per nai pata chalta. Q keh yeh indicator volume kay ziadah aur kam hony per bhi focus karta hay.

    Click image for larger version

Name:	images(1)_2.jpg
Views:	2
Size:	93.7 کلوبائٹ
ID:	12490882

    Click image for larger version

Name:	images_2.jpg
Views:	2
Size:	169.7 کلوبائٹ
ID:	12490883

    Click image for larger version

Name:	dotdash_final_Market_Breadth_Jan_2021-01-2870dd401b204df389c38419712ad546_2.jpg
Views:	2
Size:	51.8 کلوبائٹ
ID:	12490884

    Functionality of market breadth indicator.
    Market breadth say hamain pata chalta hay keh aik stock exchange main kitni strength ya weakness hay. Ager kuch bary stocks ki waja say market up ho to iska matlab hay keh market main buhran chal raha hay. Aur ager maximum stocks advance main hon to hamain pata chal jata hay keh market is going well, jo keh mazeed up jaye gi. Ager ham market breadth indicator kay sath volume ko bhi use karain to is say iski functionality mazeed better ho jaye gi aur hamain aik better picture show ho saky gi.

    Confirmation or divergence.
    Maximum market breadth indicator confirmation ya divergence ka bataty hain. Jab indicator market main favourably ja raha ho aur index bhi rising main ho to ye confirmation daita hay. Divergence tab hoti hay jab index aur indicator opposite directions main movement kar rahy hon. Ye hamain warn kar raha hota hay keh index main jald he reversal any wali hay.
    Last edited by ; 30-12-2021, 08:21 AM.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Market Breadth indicator kay use kay bary main knowledge.

    Hello friends Market Breadth indicator kay use kaha par hota ha or is ka kiya kam hota ha. Guys ya ak indicator hota ha jis ka name market breadth ha is ka kam ya hota ha ka ya huma market ka reverce hona ka bara na bata ta ha or ya huma week ka bara ma bhi bata ha ka is week ma market down jay ge. Ya indicator huma bata data ha ka kaha sa market down ho jay ge.
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Market Breadth indicator kay use kay bary main knowledge.

      Market breath ko maloom krna k liye indicator ki bjaye agr manually price action ki madad say isay dekha jaye to zyada behtar rhta hai. Market breath indicator ho ya koi b indicator kbi b apko 90% confirmation or accuracy nhi day skta. Lakin agr price action methods ko use krtay huway market ki breath ka pta lgaya jaye jisay professional traders market ki correction b khtay hen to knowledge mein b izafa hota hai or kafi kuch seekhnay ko b milta hai.

      اب آن لائن

      Working...
      X