Importance of ""Money Management"" in forex trading..

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of ""Money Management"" in forex trading..
    Assalamu Alaikum! Dear seniers and juniers, umeed ha k ap sab kheriat sa hon ga aur forex market sa daily basis per ak acha gain le raha hon ga. Dear traders forex trading ak risky business ha is man traders ko bhot losses hota han. Is liye forex trading man kamyabi k liye zarori ha k trader forex ko acha sa seekh ker karen.

    Importance of Money Management in forex trading:

    Forex trading man trader currency pairs aur commodities ki price movements ko smajhna k liye price chart ko read kerta ha, aur jab trader market price ko track ker k trade entry aur trade exit ko find kerta ha to iska bad sab sa important point Money and Risk Management ka ata ha. Money and Risk Management trader ko market man trade place kerna k liye suitable and secure lotsize ko calculate kerna man help kerta ha. Lotsize ki calculation man trader stoploss aur take profit k level per profit aur loss ko calculate kerna k bad decide kerta ha. Q k forex market man koi b trader 100% accurate nahe hota isliye trader ko nahe pata k konsi trade profit de aur konsi loss. Is liye trader ko chaheye k wo her trade man loss ko lazmi mind man rukha ta k bara lotsize ki waja sa big loss sa bach saka. Ye sara rules trader ko ""Money and Risk Management"" sa seekhta ha.

    Money Management:

    Money Management asa set of rules ko kaha jata ha jis k motabiq trader apna account ki money ko trading doran asa manage kerta ha jis man money secure b ho aur profit b ho. Money Management k kuch important rules man apka sa discuss kerta hon.

    1. Define Risk per Trade using Position Sizing:

    Forex trading man trader ager multiple trades active ker raha ha to trader ko her trade per apna risk lazmi calculate ker k rukhna chaheye, q k ager trader risk ko calculate nahe kerta to sab trades ka combine risk trader ko big loss de sakta ha.

    2. Set a Maximum Drawdown across all Trades:

    Trader ko trading k doran chaheye k wo her trade per is cheez ka estimate ker le k her trade per maximum kitna loss berdasht ker sakta ha. Is sa ager trader ko loss b hota ha to trader apna confidence aur account money ko zayada lose nahe kara ga.

    3. Assign Risk and Reward ratio to each trade:

    Forex trading man trader ko multiple trade opportunities mil rahe hoti han, is liye trader ko chaheye k wo her trade per ""risk to reward ratio"" calculate kara aur jin trades k reward zayada aur risk kum ha un trades ko sab sa pehla active kara. Is terha trader lesa risk k sath ak acha reward earn ker sakta ha.

    4. Use a Stoploss and Take Profit order to each trade exit:

    Forex trading man trader ko chaheye k wo her trade k oper ak normal level per Stoploss aur Take Profit ko place kara, q k trader stoploss ko asi jaga place kerta ha jahan per trader ko bhot bara loss hota ha to asi jaga per loss na place kara balka koshish kara k tight aur accurate place per trade lagae ta k account ko bara loss sa bachaya jae. Isi terh take profit ko b trader asi jaga place kara jahan tak market easily phonch saka aur asa na ho k is level sa pehla market reverse ho jae.
    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-29T210754.206.jpeg
Views:	1
Size:	28.1 کلوبائٹ
ID:	12490804
    5. Only Trade with Funds you can afford to lose:

    Forex trading man trader ko hamasha apna account balance k khas khayal rukhna chaheye q k jab tak trader k pass account man balance ha tab tak market usko earning kerna ka chance deti ha.
    Click image for larger version

Name:	images - 2021-12-29T210743.788.jpeg
Views:	3
Size:	24.8 کلوبائٹ
ID:	12490802
    Conclusion:

    Dear traders Money Management k bagair koi b trader kamyab nahe ho sakta chaha koi trader kitna b acha analysis ker le, isliye forex trading man Money Management bhot zarori ha.

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Importance of &quot;&quot;Money Management&quot;&quot; in forex trading..

    Money Management


    Money management forex trading ka aik bunyadi juzz hai. Money management k zarye se traders na sirf apne sarmaye ko mehfoz bana sakta hai, bulke is k zarye se forex trading jaise riski korobar me kamyabi bhi hasil karta hai. Forex trading me money management risk management aur discipline ka aik aham ansar hai, aur ye har aik trader k leye zarori hai, k wo money management se hi trading karen.

    Click image for larger version

Name:	images (63).jpeg
Views:	9
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12358593

    Forex trading me money management k hawale se chand zarori points darja-zel hai;

    Risk Reward Ratio


    Risk reward ratio se murad trader ka wo profit hai, jis k badle me wo apne sarmaye ko risk me dalta hai. Risk reward ratio se trader take profit bhi murad le sakta hai. Take profit hamesha apne kamyabhi k tanasub se set karna chaheye. Kabhi bhi aisa risk reward ratio na banaye k us se ya ap ko munafa bohut kam melta ho aur ya ap k losses k chances ziada hon.

    Stop Loss ka Istemal


    Take profit se ziada aik trader k leye stop loss bohut aham hai. Nuqsan ki sorat me ; aghaz me jis position pe hamari trades khatam ho jayi hai, ye stop loss ki position hoti hai. Ye wo position hoti hai jahan pe hum kisi bhi trade ka loss bardasht kar sakte hen. Is leye is position pe trades ya to close ki jati hai aur ya kuch kam ki jati hai. Stop se hamara sarmaya bohut had tak mehfoz hota hai, is waja se is ka istemal yaqeeni banayen.

    Lot Size


    Money management me Lot size se murada hai k aap apne aik trade pe kitna risk bardasht kar sakte hen. Agar aap apne trade ka lot size increase karengay to ye apko loss bhi us nisbat se ziada deta hai. Money management k pehlo me traders ko sirf apne apne sarmaye pe losses ko kam karne k bare me sochna chaheye. Is waja se munasib lot size ka istemal kia karen.

    Account Leverages


    Account leverage bhi usi munasebat se rakhen k wo apne had se ziada trade open na kia karen. Insani fitrat me ye shamil hai, k log ziada munafa k chakar me aksar ziada loss kar jate hen. Jab bhi account ka leverage munasib hogato aap ziada miqdar me trade open karne k position me nahi hongay, isi tarah se apka sarmaya kafi had tak mehfoz rahega.

    Jazbaat pe Control


    Money management me sab se zaroei point hai, k jab bhi trading karen, apne jazbaat ya emotions ko aik taraf rakhen. Forex trading hamare emotions ko nahi dekhta aur na hi hamare ehsasat ka lehaz rakhta hai. Is waja se kabhi bhi ghuse ya dosre zehni dabao k waqat trading na kia karen.

    Jaldbazi


    Jazbaat k baad dosra aham factor jaldbazi bhi hai, aksar awqat traders market ki fast movement ko dekhte howe ya market k high ya low price area me trading shoro karte hen, jo baad me loss ka sabab bante hen. Aap ko aisi soratehal se door rehna chaheye aur aur proper apne routine analysis k mutabiq kaam karna chaheye.
    • #3 Collapse

      Re: Importance of &quot;&quot;Money Management&quot;&quot; in forex trading..

      assalamu alaikum dear friend ummid karte hain aap sab khairiyat se honge hamesha ki tarah aapke sath ek talking share karna chahungi importance of risky money management agar aap aap money management ke sath trading karenge to Achcha profit hasal kar sakenge Agar money management ko ignore karenge to aapko loss bhi ho sakta hai bahut sare trader money management ko ignore karte hain aisa nahin karna chahie kamyab trading ke liye zaruri hai apne account ke mutabik lot size rakhe jitna aapka account bardasht kar sake Agar aapka account chhota hai To Kam lot kar use Karen Agar aapka account bara hai to zyada lot size rakh sakte hain
      Click image for larger version

Name:	images (45).jpeg
Views:	3
Size:	24.8 کلوبائٹ
ID:	12358642
      what is money management
      Dear friendForex Market mein agr ap money management k sath kam karty hain to ap successful trading kr sakhty hain es liye ap ko money management k sath kam karna chahy ta k ap acha Profit gain kr sakein. Forex trading market Mein kamyab trading karny k liye ap ko sb sy phly apny account ki safety ko maintain karna hota hai. Agar ap ka account safe and secure nahi hota to ap kabi bhi kamyab trading nahi kr sakty hain. Agr ap risk management k mutabiq apni trading karty hain to ap ko es mein hamesha aik acha profit Hasil karny k sath apny account ki safety maintain krny mein help mil rahe hoti hy. Risk management k following important factors of utilised kr k apni trading ko risk management k mutabik complete kr sakty hain
      Agr price ap ki trading ka opposite side chli jay to hmara balance kam hona shoru ho jata hy or trade loss mein chali jati hy es loss ko aik had mein rakhna chahiye es ko ham log trade risk kehty hain.trade risk kitna hona chahiye es k alag tariqe hota hain stop loss na to kam hona chaheay ka price ke zra c opposite side mein harkat sy ap ko stop loss hit ho jaye or trade close ho jay or na he itna he zayda loss hona chaheay ga agr trade apni direction change kry to ham logo ko kafi loss hony k bd hmari trade close ho

      Click image for larger version

Name:	images (44).jpeg
Views:	1
Size:	56.3 کلوبائٹ
ID:	12358643

      jazbaat par control
      Money management me sab se zaroei point hai k jab bhi trading karen, apne jazbaat ya emotions ko aik taraf rakhen
      Forex trading hamare emotions ko nahi dekhta aur na hi hamare ehsasat ka lehaz rakhta hai Is waja se kabhi bhi ghuse ya dosre zehni dabao k waqat trading na kia karen

      jaldbazi
      Jazbaat k baad dosra aham factor jaldbazi bhi hai, aksar awqat traders market ki fast movement ko dekhte howe ya market k high ya low price area me trading shoro karte hen jo baad me loss ka sabab bante hen. Aap ko aisi soratehal se door rehna chaheye aur aur proper apne routine analysis k mutabiq kaam karna chahiye
      • #4 Collapse

        Re: Importance of &quot;&quot;Money Management&quot;&quot; in forex trading..

        Walaikumslam, bhai apnay boht achi information share ki hai or yakeenan is thread say kafi faida b hoga. Money management boht zroori hota hai apnay account ko secure rkhtay huway trade krnay k liye. Forex market mein trade krtay huway mostly trade stuck ho jati hai or esi trade account ko boht nuksan pohanchati hai q k is beech account ka trader ka confidence level b down ho jata hai or is say apki trading psychology b khrab ho jati hai.
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: Importance of &quot;&quot;Money Management&quot;&quot; in forex trading..

          Hello friends trading ak bahot he risky business ha is ma traders ko bahot zada losses hota ha agar ap bhi trading karta ho to ap ko bhi bhot bar losses ka samna karna para ho ga agar ap chata ho ka trading ma losses sa batcha jay to ap ko Money Management karne ho ge. Agar ap money management ka sath kam kara ga to tab he ap ak kamyab trader ban saka ga.

          اب آن لائن

          Working...
          X