What is Fabonaci in forex how to use in trade

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Fabonaci in forex how to use in trade
    dosto aj jis topic pa ham bat krein ga wo ha fibonaci retracement chanlein ma kuch asan sa swal puchta hu 13/21 kya hota ha ,34/55,or 89/144 agar apna apna calculator pa check kiya ha to in sab ka ans same hoga .Fibonacchi retracement technical analysis ka hi ek tool ha ya ek stock market ka hisa ha jo ham technical analysis akrn aka lie sekhta hain jiko fibonacchi retracement kahta hain .Fibonaaci sequene 1300 sal purana ha ,ya 1202 ma leonardo of pisa na invent kiya tha . Banarasi dress mint indicator indicator hai jo market Captivate points Lekar sport or resistance level ko proper aapke Samne Rakh Deta Hai is indicator se aap bahut jyada fayda Hasil kar sakte hain

    working knowledge of Fibonacci Retracement
    Dear forum members, Fibonacci Retracement Indicator support aur resistance level k identification k liy buht acha indicator hai. Yah indicator, golden ratio ko use krty howy support aur resistance level btata hai. Indicator market Mein sport or resistance level ko identify Karke aapko levels pahle se mein kah deta hai aur jis ki madad se aap Pahle Se market Mein Apne pending orders is point per Laga sakte hain




    Ya natural numbers hota hain ,0+1+1+2+3+5+7+12 ya is squence ma chalta hain ,ya ek kudarti sequeence ma ata hain ap isko flower sa tashbeh da sakta o jasa ka kuch flower ma 8 petal hota hain kuch ma 12 ,cones jo hoti hain wo bi fibonnaci ko follow karti hain even ka breading rabit jo ha wo bi fibonacci ko follow karta hain

    golden ratios and usage intrading
    Dear forum members, Fibonacci Retracement Indicator, main 23.6%, 38.2%, aur 61.8% ko hum golden ratios kehty hain. Yah levels Forex market k liy buht important hain. In level say agr ap trade krty hain to ap ko acha profit hota hai. Indicator of question % per resistance aur sport levels Kuchh percentage ke sabse Deta Hai in percentage ko Ham Golden usage of reading rahte hain joke intraday trading mein bahut hi use Hote Hain

    Trading methadlogy
    Dear forum members, agr ap aik low ya high point say, Fibonacci Retracement Indicator ko draw krty hain to yah ap ko asy levels daita hai jin say market reverse ho sakti hai. In levels per market k reverse hony k buht zayda chances hoty hain. Aur ap resistance aur support k hisab say, aik achi entry lay sakty hain.


    Advantage to use Fibonacci Retracement
    Dear forum members, fibonacci indicator ko agr trade k liy use kiya jay to ap professional trader ki tarah maximum profit hasil kr sakty hain. Ager ap Fibbonacci level say trade krty hain to ap market say maximum benefit lay sakty hain.

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Fabonaci in forex how to use in trade

    Fibonacci Retracement



    Fibonacci ratio dar-asal tadad ki aik series hai, jo neutral qeemato me izafay ko bayan karne me madad deti hai. Ye number aik riazidan (mathematician) Leonardo Fibonacci ne daryaft keye they. Fibonacci ratio k pechay basic maqsad ye hai k is ka istemal qeematon k support aur resistance level ko malom karne k leye kia jaye. Fibonacci ratio k zarye se un levels ya position ki nishandahi ki jaye jo traders k leye munafay ka bahis banti hai.
    Jab market me qeematen aik trend k hisab se chal rahi hoti hai aur Fibonacci ratio bhi market ka sath de rahi ho to us sorat me qeematon ko tasalsul se chalne deya jaye. Trader trading plateforme software ki madad se Fibonacci Retracement k levels ka hisab laga sakta hai, jis se trader ko andaza ho jata hai k us ko kis level par apna munafa kamane ki zarorat hai. Forex trading me ziada tar traders apne technical analysis me Fibonacci Retracement levels par inhisar karti hai. Fibonacci retracement dar-asal pora aik forex trading ka package hai jis se trading analysis me madad li ja sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (61).png
Views:	36
Size:	9.8 کلوبائٹ
ID:	12358505

    Fabonacci Retracement ki Aham Nukaat:


    Fabonacci retracement technical analysis me humen qeematon k support aur resistance ko malom karke trading k dowran take profit aur stop loss ki entry asani se kar sakte hen.
    Fabonacci retracement har tarah k timeframe me istemal kia ja sakta hai, yani short term traders bhi same faida hasil kar sakta hai, jo long term k traders lete hen.
    Fabonacci retracement ka samjhna aur is pe trading karna sab se asan hai, q k is pattern ki values ki calculation pehle se ho chuki hoti hai.

    Fabonacci Retracement ki Tafseel


    Fabonacci retracement ya levels ko hum wese bayan nahi kar sakte, is k leye zaroei hai k misal se wazahat karen. Mandarja-zel misal se wazih hota hai k fabonacci retracement ka concept kis tarah istemal kia jata hai. USD/CAD currency jore ka daily chart nechay deya gaya hai, chart ko dekhte howe andaza ho sakta hai k kam changes 1.2953 aur zida badlao 1.2008 par hai.


    Click image for larger version

Name:	Canadian-Dollar-Forecast-Weakening-US-Labor-Market-to-Weigh-on-USDCAD_body_Graphical_user_interf.png
Views:	1
Size:	54.8 کلوبائٹ
ID:	12358504

    Chart k mutabiq USD/CAD ki darja-zel levels hen:

    1.2650(0.382 or 38.20%)
    1.2480 (0.500 or 50.00%)
    1.2369 (0.618 or 61.80%)



    USD/CAD k Mandarja-bala chart bullish trend par hai lekin currency jore ne nechay (downward) side pe movement shoro ki hai q k 1.2373 currency jore ki peak point hai. Traders is intezar me hai k currency jore ki ye qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par ruk jati hai to wo is pe apna reaction dengay. Aur jab bhi qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) par pohunch jayegi to wo aik long-term trade (buy) open karengay, jahan se un ko bara munafa mel sakta hai. Aam tawar par qeematen in levels me se kisi aik par ruk jayegi, q k ferokht (sell) k orders qeematon k leye kafi madad peda karti hai. Agar volatility ki waja se qeematen fabonacci retracement k 0.382 (38.20%) k level ko thorne (break karne) me kamyab ho jati hai, pher traders 0.50 (50.00%) k level ka intezar karengay k aya ye level breakout hota hai k nahi. Agar nahi to traders yahan pe market me lambi entry le sakte hen, warna breakout ki sorat me un ko fabonacci retracement k agle 0.618 (61.80%) tak intezar karna parega, aur agar wo bhi breakout hota hai to ye market mazeed nechay jayegi.

    اب آن لائن

    Working...
    X