Failed Pattern
Failed patterns wo hote hen, jo aik signal ki indication to de deta hai, lekin aamli tawar par aisa hota nahi hai. Koi bhi indicator fail ho sakta hai, chahay wo candlestick patterns ho ya baar pattern jo trend reversal ya continuation k leye istemal ho rahe hon. Qeematon k chart analysis me failed patterns aksar paye jate hen, jo trend confirmation ki taraf ishara karte hen.
Yahan tak k Indicator par trend confirmation ka matlab ye nahi hai, k wo is baat ki guarantee dega k reversal lazmi hoga. Lekin ye strong patterns aur us k confirmation k leye entry aur exit points ki accuracy ko improve karti hai. Candlestick pe analysis karne wale indicators ki confirmation dosre candlestick pattern ya price changes, jaisa k gapping, narrowing trading ranges, ya tests of resistance and support se ho sakti hai. Aam tawar par istemal hone wale western indicators aik dosre se ya aik hi trading position par candlestick pattern se bhi confirmation ho sakti hai. In tamam indicators ki jo price-based hen ki confirmation momentum oscillators, price-based moving averages (khas tawar par do alag alag moving averages k convergence aur divergence ki analysis k leye), aur aik khas qisam (special) k indicators (jo k volume k trend k analysis par mabni ho) se bhi hoti hai.
Baaz dafa kuch traders aik ghalti karte hen, k wo market me trend k tasalsul me opposite side pe ye soch kar entry karte hen, k yahan se trend reversal ho sakta hai. Aksar awqat aisa tab hota hai, jab bhi traders analysis k leye kamzoor indicators ya wrong pattern pe trading kar jate hen.
Trading k Dowran Failed Pattern ko Handle karna
Confirmation indicators ka result hamesha same aik page pe nahi hota hai. Ye baat bhi yahan note karen k confirmation k leye indicators k mele jule signal hote hen. Agar aisi soratehal ati hai, to us waqat traders ko khud andaza lagana hota hai, k koun se side pe confirm karna hai. Agar trader ne is waqat market me entry karni hoti hai, to us waqat us ko qeematon ko thora sa agay chalne dena chaheye, lekin agar trader ne market se exit ka plan banaya ho to us sorat me us ko profit ki sorat me foran exit aur loss ko kam karke pher exit karna chaheye.
Failed patterns ki percentage mukhtalif hoti hai. Kuch indicators dosre k muqabele me ziada strong aur qabele-aitemad hote hen. Aik trader jo sirf aik hi indicator ka istemal karke trading karta hai, wo un traders k muqabele me ziada loss uthata hai, jo k trend ya signal confirmation k keye mukhtalif ya aik se ziada indicators istemal karte hen.