What is alligator indicator

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is alligator indicator
    Description

    Friends agar aap forex main aik profitable trading karna chahte hain to is main use hony waly indicators kay bary main knowledge hona bohat zaroori hai aur in main say aik indicator hea jis ko alligator indicator kha jata hea.

    Formation of pattern

    Alligator indicators three line par mushtamil hota ha or alligators indicators ka use market trend ko maloom karne or trend ki confirmation ka pata chalane ke liey use kia jata ha kyuke alligator indicator aik trending indicator ha jis ko use karke hum is bat ka pata chala sakte hain ke is wakt market ki direction kis taraf ha yeni ke alligators indicators ki help se asani se yeh pata maloom kia ja sakta ha ke market is wakt side way me ha ya trend me ha agr trend me ha tu is ki direction kis taraf ha yeni ke up trend me ha ya down trend me or jub ap ko trend ki direction ka pata chal jata ha tu os wakt trade find karna easy ho jata ha

    Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	2
Size:	101.8 کلوبائٹ
ID:	12488383

    Use of Alligator indicator

    Friends jab bhi hum is ka istemal krty hain to humein bohat dehan se market ko watch krna hota hai jaise he candlesticks aik dosre ko cross krti hain to us waqat hmara market Mein enter hone ka ya exit hone ka time hota hai aur is ky ilawa dear Agar hum is ky saath aath momentum indicator ka istemal bhi kren to hum exact entry point find krny mein Kamyab ho sakty hain humein Har kaam Soch samajh kr krny ki koshish krni chaheye tabhi acha faida hasil krny ka moqa mil sakt

    Click image for larger version

Name:	1391449296-b542d163a1c848b5ba81e45392ab5ec7.png
Views:	6
Size:	23.1 کلوبائٹ
ID:	12488384

    How to open trade by using this indicator

    Friends market main alligatorindicator ko use kerty huey is terha sy trade open ker sakty hain ky jab alligator aik hi direction main movement ker raha hota hai tou hamain aesy time per same trend ko long time ky liay follow kerty huey continue trade kerna hoti hai lekin jab alligator apni position change kerta hai tou aesy time per hamain previous open trade ko profit main close ker ky new trend per trade open kerny ky liay ready hona hota hai isterha jab market main trend change hota hai tou hamain new trend ky mutabiq trade open ker ky continue rakhni hoti hai ky hamain market ky both trend main movement sy acha profit hasil ho saky hamain market main trade kerny ky liay trend ko follow kerna zaruri hota hai ky ham kisi surat bhi trend ky against nehi ja sakty tou hamain same trend ko find kerny aur trade kerny ky liay alligatorindicator ka use kerna chahiay

    Click image for larger version

Name:	Alligator-Binary-Options-Trading-Strategy.png
Views:	2
Size:	15.0 کلوبائٹ
ID:	12488385
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is alligator indicator

    Alligator Indicator


    Alligator indicator aik trend following indicator hai jis ko aik mashahoor financial market psychologist Bill William ne 1995 me banaya tha. Chonkeh is indicator k mutabiq qeematen aik magar-mach ki shap banati hai, is waja se is ko Alligator indicator kaha jata hai. Alligator indicator k mutabiq financial market me qeematen soif 15% se 30% tak hi low ya high jati hai, yani in percentage me hi sirf prices ya to bullish trend pe hoti hai aur ya bearish trend pe hoti hai, jab k baqi 70% se le kar 85% tak qeematen sideways movement pe ya trend pe hoti hai yani market chuppy rehti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (15).jpeg
Views:	4
Size:	33.6 کلوبائٹ
ID:	12355914

    Alligator Indicator and Moving Averages



    Alligator indicator me smoothed moving averages ki simple moving average k sath calculate kia jata hai. Moving averages pe indicator calculation karke market ki qeematon ka result nikalta hai. Alligator indicator three 5,8 aur 13 time period k moving averages ka istemal hota hai.

    Alligator Indicator ka kaam ka tareeqa



    Alligator indicator bhi alligator yani magar-mach ki tarah kaam karta hai. Jis tarah se magar mach ziada waqat k leye sleeping mode me hota hai aur shikar kabhi kabhi karta hai, to is indicator ka bhi same function hai k is indicator me ziada tar market sideways ya sleeping mode me hota hai. Lekin jab magar mach kuch waqat k leye shikar karta hai, to us k leye apan mon (mouth) kholta hai, to indicator bhi market me kuch hi waqat k leye active hota hai, aur trend ko bullish ya bearish move karwata hai.


    Alligator Indicator Lines Information


    Alligator indicator mein qeematen teen lines pe mushtamil hote hai:

    1. Jaw
    2. Teeth
    3. Lips



    Click image for larger version

Name:	IMG_20211226_003044.jpg
Views:	1
Size:	38.4 کلوبائٹ
ID:	12355915

    Jaw Line



    Jaisa k aik alligator ka jaw sab se mazbot hisa hota hai, isi tarah se is indicator me jaw line sab se strong line hai. Jaw line ka breakout baqi lines ki nisbat sab se mushkil hai, q k is me ziada time period ka moving average 13 periods ka istemal hota hai. Jaw line ka mazbot hona is waja se hai q k is me jo moving average ki value istemal hoti hai wo baqi lines ki nisbat ziada time period ki hoti hai.

    Teeth Line



    Teeth line Jaw line jaise mazbot to nahi hoti hai lekin pher bhi ye Lips line se ziada strong hoti hai. Teeth line me darmeyana time period ka yani 8 time periods ka moving average istemal hote hen, is waja se ye line jaw line se kamzor hoti hai.

    Lips Line



    Lips line sab se kamzor qeematon wali line hoti hai jis me sab se kam time period ka yani 5 time period ka moving average istemal hota hai, is waja se ye line baar baar breakout hoti rehti hai. Lekin is line ka istemal dosre lines k sath bohut ahmeyat ikhteyar kar jati hai.

    Indicator k lines ka open aur close hona


    Alligator indicator me lines k aik dosre se k darmeyan faisele ki bohut ahmeyat hai, jab bhi lines open position me hoti hai, to us sorat me market bhi trend me hoti hai, leki agar lines ki position aik dosre k close hoti hai to us sorat me market sideways movement me hoti hai.
    Alligator indicator Convergence-divergence k rules regulations k mutabiq signal jari karta hai. Alligator indicator me Jaw line ki movement sab se slow aur Lips line ki movement sab se tez hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (16).jpeg
Views:	3
Size:	29.1 کلوبائٹ
ID:	12355917


    Trading on Alligator Indicator



    Alligator indicator me lines ki position hi humen buy ya sell ka signal deta hai. Agar alligator indicator me Jaw line baqi do line se nechay ho, yani teeth line darmeyan me ho, aur lips line sab se uper ho, to is sorat me market bullish trend me hoga. Bullish trend me traders market me buy ki entry kar sakte hen.
    Lekin agar alligator indicator me istemal hone wali lines ki behaviour is se opposite ho, yani Jaw line uper ko chali jaye aur teeth line datmeyan same ho jab k lips line sab se nechay a jaye to us sorat me market sell position k leye thek hogi.
    Agar alligator indicator ki lines aik dosre k qreeb hon aur apas me mixup ho rahe hon ya teeth line nechay ya uper ho to us sorat me market chuppy condition ya sideways trend me hogi. Jitna lines k darmeyan faisela ziada hota jayega, trend ki movement bhi us hisab se tez hogi.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20211226_003029.jpg
Views:	1
Size:	54.2 کلوبائٹ
ID:	12355916

    اب آن لائن

    Working...
    X