What is real and fake breakout ??
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is real and fake breakout ??
    INTRODUCATION

    Friends kia hal hn ap ky main umeed karta hnky ap sub theak hn gy or fore x trading sy acha profit hasil kar rahein hn gy or apny knowledge or ecpetance ko bha imptove kar rahy hn gy ye ak ricky markdt hy es ly es ky bary mein hum zada sy zada knowladge or expetance ko or infarmation ko impetove karty rahein aj ke post ka topic hy realor fake break out hony ka ky ye kese trah bantu hn or bteak kady hotu hn orkb bantu hn Fore x trading mein aksar traders breakout per he trading karyy hn or wo sara din white karyy hn or jb market main boht se traders sirf breakout py trading krte hain aur market main kisi b pair par trading krne k liye wo breakout k intzar main hote hain. market main hamain real breakout b mil jata hai lakin market main hamain ziyada tar fake breakout b dekhne ko milta hai is liye hamain market main trading krte hue real breakout ko analyse krna chahiye. isliye us waqst he hamain trading krni agr ham fake breakout py trade open kr dain gy to hamari trade loss m chali jye gi. isliye hamain fake aur real breakout ko analyse krna boht important hai. Or es ky ellawa agar ap fake breakout per bhe trade karyy hn to phere ap ko trade mein stop loss use karin or jsey he ap tp hit ho ap foran 2 nd trade ky ly bhe ready rahna chahy jesy he candle wapise move karye ap is waqat trade le es trah ap fake break out sy profit hadil lar sktu hn



    Concept of post !


    Jb koi khas data ya news ka ana hota hy to us market moment fast ho jate hn agar data dollar ky haq mein atta hy toglod market sell position mein moment banate hy oe us trend line ko break out karte jes mein es ke previous moment the or agar data dollar ky nagtive mein ayta hy to gold buy ke direction mein fast moment banata hy or wo jes trend mein move kar raha hota hy us trend line ko bteak kar jata hy thora sa concept mein batata chalon ky fake breakout yahan banta hy ky market ny jbbhe direction le sell ya buy to wo apne direction ko asstain nahe rakh pate or wapise us point per aa jate hy es ko fake break out bhe khaty hn

    DEFINIATION OF BRAKE OUT !!
    Jb hum tradekarny ka erada karty hn to hum market apny reading pair ko choose karty hn or us analysis karty hn to market main kisi b pair ki price jab kisi resistance ya support area se neche ki taraf ya upar ki taraf break hoti hai to ham usy us level ka breakout kehte hain. Jb market resistance aur support level k breakout pr hamari trade depend krti hai aur market main ziyada trader only breakout pr he trading krte hain market jab b kisi level ko break kr jati hy to us time per market main enter hone ka moqa milta hai aur hamain usi trend main apni trade open krni chahiye. market ka breakout hamare liye boht faida mand hota hai.or jo tradets break out per trading karna sekh gy hn wo bas bteak out pr trade karyu hn or shortly time mein acha profit hasil karty hn

    Click image for larger version

Name:	F0DC8F1D-13AB-4D02-82CA-10148158193A.png
Views:	1
Size:	221.5 کلوبائٹ
ID:	12488185



    Real Breakout !

    market kisi resistance ya support area ko break krti hai aur usi trend main agy ki taraf barhti rehti hai to tab hamain market ka pata chal jata hai k market main real breakout ho gya hai aur ab ham market main entry ly sakte hain. market main jab b kisi level ka breakout hota hai tab ham uska intzar krte hain agr market reverse nahi hoti hai to wo market ka real breakout hota hai. dosto hamain market main real breakout ki confirmation krna boht zarori hai tabhi ham market main achi trading kr sakte hain. real breakout ki picture neche dekh kr ap smajh sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	6531A390-EB9E-439C-AAC3-BFD1590180CB.png
Views:	1
Size:	80.4 کلوبائٹ
ID:	12488184



    Fake Breakout !

    market main hamain ziyada tar fake breakout dekhne ko milta hai. market main price jab b kisi resistance level ya support level ko break krti hai aur kuch der k bad reverse hona shuru ho jati hai to iska mtlb ye hota h k market main fake breakout hua hai. aur kuch der k bad market wapis ana shuru ho jati hai aur agr ham is time trade lete hain to hamain loss ho skta hai qk market hamari trade k khilaf jana shuru kr deti hai isliye traders ko real aur fake breakout ki confirmation krne k bad he hamain trade leni chahiye sabar k sath white kar k tabhi hamari trading achi ho gi.or ase he trading hone chahey ye ak achy trader ke khobe hote hy

    Click image for larger version

Name:	3474F26A-7E55-4130-8729-E46C04959867.png
Views:	1
Size:	24.0 کلوبائٹ
ID:	12488186




    Avoid fake breakout !


    Hum ko koshish krni chahiye k market main hamain without confirmation k koi b trade open nahi krni chahiye. without confirmation k agr koi trade open krain gy to hamain loss ho sakta hai. isliye hamain chahiye k market main hamesha confirmation k sath trade open krni chahiye tabhi ham loss se bach sakte hain. jab tak resistance ya support level k break k upr ya neche koi candle close na ho jaye aur next candle usko break kr na kr ly tab tak hamain w8 krna chahiye. agr ham sabar se kam nahi ly gy to phr ham market main ghalat entry ly gain. isliye hamain market ki confirmation krna boht improtant hy


    Importance of breakout in trading ..


    market main breakout hamare liye boht he important hota hai. qk jab b kisi resistance ya support level se hamain breakout dekhne ko milta hai to us waqt hamain market main good entry lene ka moqa mil jata hai aur ham market se kafi acha profit gain kr sakte hain. isliye hamain breakout ki confirmation krne k bad entry ly leni chahiye agr ham market k breakout ki ache tareke se confirmation kr lete hain to hamain market se kafi acha faida mil sakta hai. isliye breakout boht important aur faida mand hai hamare liye isliye iski confirmation krna b boht zarori hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is real and fake breakout ??

    Real Breakout


    Jab bhi qeematen kisi support ya resistance levels ko thorti (break) karti hai aur baad me musalsal us semat me chalti rehti hai, to ye market ki real breakout hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (3).png
Views:	5
Size:	19.1 کلوبائٹ
ID:	12355771

    Misal k twar par, agar gold $1800 aur $1810 k darmeyan trade kar raha ho, to yahan par gold ki resistance level $1810 aur support level $1800 hai. Agar gold ki qeematen do ya do se ziada martaba $1800 aur $1810 k level ko touch kar k wapis morti (back) hoti hai, to ye support aur resistance levels gold k qeematon k leye strong breakout levels tasawar hongay. Ab agar gold ki qeematen upward side pe $1810 k level ko breakout karti hai, aur qeematen musalsal bullish hi chalti rehti hai, to ye aik real breakout kehlayega, same situation support level pe bhi hogi.

    Fake Breakout


    Fake breakout us waqat hoti hai, jab bhi qeematen support ya resistance level ko breakout to karti hai, lekin tasalsul k sath us semat ko follow karne ki bajaye wapis reversal hoti hai. Fake breakout ko aam tawar par failed breakout bhi kehte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (1).png
Views:	20
Size:	20.1 کلوبائٹ
ID:	12355772

    Misal k tawar par, agar gold ki qeematen $1810 k level ko breakout karke $1812 par chali jati hai, lekin bullish trend ko follow karne ki bajaye qeematen bearish trend me reversal ho jati hai aur $1800 k support level ko bhi breakout karte howe musalsal downward hi chalti rehti hai, to ye aik fake ya failed breakout kehlayega.

    Fake ya failed breakout se pata chalta hai k market me qeematon ko support ya resistance levels se upper ya nechay push karne me buyers ya sellers ki dilchaspi nahi rehti. Failed breakout ka hargez matlab ye nahi hai k qeematen thori der baad breakout semat me agay barhna jari nahi rakh sakti.

    Breakout k baad Throwbacks


    Baaz awqat breakout k baad Throwback hota hai. Throwback us waqat hota hai, jab qeematen support ya resistance ki taraf wapis hojati hai, jo abhi abhi breakout howa hota hai. Aksar kuch traders throwback ki waja se apne trades close kar dete hen, ye samajh k ye aik failed ya fake breakout hai, lekin thowback fake breakout nahi hota. Throwbacks calendar events k trading k waqat ziada hota hai, q k qeematen aik semat pe breakout karne k baad apni ziada hujam ki waja se support ya resistance level ki taraf wapis ati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (4).png
Views:	2
Size:	15.6 کلوبائٹ
ID:	12355773

    Throwbacks aksar market me volume me izafay ki waja se hota hai, misal k tawar par, gold qeematen $1810 k resistance level ko breakout karte howe $1815 pe chali jati hai, lekin ziada volume ki waja se qeematen wapis $1811 ya $1810 pe a jati hai, jahan se wo wapis bullish trend me move karna shoro kar deti hai, to ye fake ya failed breakout nahi, bulkeh throwback kehlayega.

    Trade on Breakouts


    Ziada tar traders breakout pe trading karte hen, wo jab bhi qeematen ko support ya resistance levels ko thorte howe dekhte hen to jaldi hi wo market me entry kar jate hen. Short term traders breakout ki sorat me jaldi market me entre hone ki koshash karte hen, jab bhi long term k traders market me real aur fake breakout k baad hi entry karte hen.
    Market me fake, throwbacks aur breakout ko jadge karna bohut mushkil kaam hai, market me breakout hone pe kuch waqat tak intezar karna chaheye, jab bhi qeematen apni semat darust kar len,us k baad market me entry karni chaheye. Stop loss ki position lazmi set karen, q k is se fake breakout ki sorat me ziada loss se mehfoz raha ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25) (2).png
Views:	22
Size:	22.4 کلوبائٹ
ID:	12355770

    اب آن لائن

    Working...
    X