Doji Candlesticks!!!

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Doji Candlesticks!!!
    AOA,

    Dear Forex Members, Market mein hamen cadles se bahut hi acchi information mil jaati Hai aur cuddles ko dekhte hue ham market mein bahut acchi decision le sakte hain doji candlestick ek bahut hi important candlestick hai aur iski bahut si types Hai ko dekhte hue ham market per bahut acche decision le sakte hain. market mai doji candlestick pattern se indication aor direction mai change ho raha ho to aus time ye pata chal jata hai to aus waja se market mai jab ye candlestick pattern banta hai to aus mai reversal ki indication hoti hai. Aisy candlestick pattern ko dekh k hum ais market mai trade laga sakty hain kun k ye patterns reverasal ka signal dy rahy hoty hai aor aisy patterns ko find karna bahot asan hota hai. Aisi candle ko asani k sath wick dekh k hum find kar sakty hain ais ki differnet types hai jin ko hum dekh k ais market mai trade kar sakty hain...




    Understanding doji candlesticks:-



    So Freinds, Doji candlestick aik aisi candle hoti hai jo market mai kisi bhi time frame mai new candle start hoti hai aor closing bhi ausi price k nazdeek karti hai magar ais candle ki wicks bahot lambi hoti hai magar body nahi hoti hai to ye aik doji candle banti hai. Jab ye doji candle kisi resistance ya support par banti hai to aus par humy ye signal milta hai k market ne ais level se reversal leni hai. Hum ais market mai doji candle ko dekh k confirmation k baad trade laga sakty hain.iss candle se hamen bahut hi achi information mil jaati hai.


    Types Of Doji Candlesticks:-



    Dear Friends, Candlestick chart bahut si doji candle uski types hai aur haveli ko samajhna bahut jaruri hai kyunki jab tak kab hai ji ki types ka pata nahin hoga to tab tak ham in ko theek tarike se identify nahin kar sakenge aur na hi hamen cadles ko dekhkar acche decision jile sakte hain.




    1: Standard Doji
    2: Long Legged Doji
    3: Dragonfly Doji
    4: Gravestone Doji
    5: 4-Price Doji


    Click image for larger version

Name:	download.png
Views:	17
Size:	3.8 کلوبائٹ
ID:	12487079
    ........
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Doji Candlesticks!!!

    Doji Candle Stick


    Doji candle ka shumar singal candles me hota hai, ye waqat banti hai jab qeematon ka open, close aik hi position pe ho. Doji candle ki body nahi hoti hai, is ka uper ya nechay lamba saya hoga. Lambe saye wali doji market pe ziada asar andaz ho sakte hen ya us me market ki taazi ya mandi chupi howi hoti hai, jab k kam saye wale doji market k mustakhkam ya pursakon market ki taraf ishara karti hai. Doji candle ko dosre pattern k sath istemal karke khatere khwah faida hasil kia ja sakta hai.

    Doji Candle Types


    Doji candle ki aam tawar par 4 aqsam hen.


    1. Gravestone Doji
    2. Dragonfly Doji
    3. Longledge Doji
    4. Small Doji



    Click image for larger version

Name:	images (257).png
Views:	18
Size:	2.1 کلوبائٹ
ID:	12354930


    Gravestone Doji candle



    Gravestone doji candle market me us baqat banti hai jab qeematon ka open, close aur low position aik hi ho. Ye candle market me mazbot trend reversal ki tarah ishara karti hai, jab bhi ye market k top high ya bottom low position pe banti hai. Top high pe banne k bad ye market k bearish trend aur bottom low pe banne k bad ye market ki bullish trend reversal ka signal deti hai.

    Dragonfly Doji candle



    Dragonfly doji candle us waqat banti hai jab market me qeematon ka open, close aur high position aik ho. Ye candle gravestone doji ka bulkul olat hai lekin kaam aik hi hai, yani ye bhi trend reversal ka signal deti hai. Dragonfly doji candle ki shape aik fly karta howa dragon ki tarah hota hai, is waja se is ko dragonfly doji candle kaha jata hai. Agar dragonfly doji candle market k top high pe banti hai, aur is k bad wali candle bearish hoti hai to ye market ki bearish trend ka ishara deti hai, lekin agar ye market ki bottom low levwl pe banti hai, aur is k bad wali candle bullish hoti hai to ye market ki bullish trend ka signal genrate karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (248).png
Views:	5
Size:	22.1 کلوبائٹ
ID:	12354926

    Longledge Doji candle



    Longledge candle market me us waqat banti hai jab market ki open aur close position aik ho, aur uper aur nechay dono side pe lambe saye (shadows) hon. Longledge doji ka bad wali candle agar bearish hai to ye sell ka signal deti hai, lekin agar ye bullish candle hai to ye buy ka signal hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (254).png
Views:	1
Size:	9.3 کلوبائٹ
ID:	12354929

    Small Doji candle


    Small doji candle me open, close, high aur low same aik hi length k aur same point pe hote hen, candle ki body nahi hoti aur ye "plus" ka nishan banati hai. Is candle k banne ka reason ye hota hai k market me qeematen mustahkim hen. Market k top high pe banne k bad mumkina bearish signal aur bottom low pe banne k bad mumkina bearish signal ka sabab banegi agar baad wli candles beltarteeb black (bearish) and white (bullish) hon.

    Click image for larger version

Name:	images (256).png
Views:	18
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12354928

    Doji Candle pe Trading


    Doji candle market k strong reversal ki taraf ishara karta hai. Agar doji candle market k top position pe banti hai to us waqat ye market k bearish trend ka signal degi, aur agar ye market k low ya kam qeematbwale area me banti hai to us waqat ye bullish trend ka ishara kar rahi hoti hai. Sideways market me banne k baad candle ko gher-janebdar tehraya jata hai. Q k us waqat qeematen ziada mutaharek nahi hoti. Lekin pher bhi doji k bad banne wali candle pe in ka inhisar hota hai. Doji candle agar top high se reverse hoti hai to ye area qeematon ka resistance level hoga, aur agar ye market k low level se reverse hoti hai to ye area support position hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (249).png
Views:	41
Size:	13.8 کلوبائٹ
ID:	12354925

    اب آن لائن

    Working...
    X