Importance of Technical Analysis in Forex Trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Importance of Technical Analysis in Forex Trading
    Technical Analysis

    Forex market main trade kerny ky liay different types ky analysis use hoty hain jin main technical analysis ky sath sath fundamental analysis aur sentimental analysis shamil hain lekin in sab main jo sab sy important aur basic type ky analysis hain woh technical analysis hoty hain ky her trader ky liay zaruri hota hai ky koi bhi trade open kerny sy pehly market ky technical analysis ker ky market ki current position ko read ker ky market ky behavior ky mutabiq trade open ker ky loss sy bhi bach saky aur acha profit bhi hasil ker saky jis ky liay market chart ky sath sath kuch analysis tools aur kuch indicators use kiay jaty hain ky technical analysis ker ky ham market ka current trend aur market ranges ko find ker lety hain ky market agar kisi aik trend ko follow kerty huey movement ker rehi hai tou same movement kahan tak continue reh sakti hai aur kahan sy market ky reversal ky chances hoty hain jis ky mutabiq ham trade enter ker sakty hain
    Click image for larger version

Name:	techanalysis.png
Views:	1
Size:	87.7 کلوبائٹ
ID:	12486970

    Tools for Technical Analysis

    Jahan technical analysis kerny ky liay different indicators use kiay jaty hain wahan per kuch tools bhi aesy available hai jin ko technical analysis ky liay use kia jata hai jis main chart patterns shamil hain ky agar koi famous chart pattern create ho raha hai tou hamain usi ky mutabiq trade continue kerna hoti hai jabky market ky trend ko find kerny ky liay bhi different tools use hoty hain jin main trend lines ky sath sath angular shapes bhi available hai ky ham inko use kerty huey market ka current aur overall trend find ker sakty hain jesy ky market hamesha trends ko follow kerty huey hi apni movement continue kerti hai tou hamain market ky technical analysis ker ky market ka short term trend aur long term trend find kerty huey trade open kerna hoti hai jo short term traders ky liay aur long term traders ky liay bahot zaruri hota hai ky trend ko find ker ky trade continue kerain jis ky liay analysis tools ka use kerna bhi zaruri hai
    Click image for larger version

Name:	tools.png
Views:	1
Size:	84.9 کلوبائٹ
ID:	12486971

    Support and Resistance in Technical Analysis

    Market ki support and resistance ka bhi market ky technical analysis main important role hota hai ky agar short term trend main market support ya resistance per ponch chuki ho tou wahan sy reversal ky chances hoty hain ky wahan sy ham reverse order main trade open ker sakty hain aesy hi support ya resistance ky breakout per same order main trade continue kerty huey bhi ham achi trade ker sakty hain tou support aur resistance market ki movement ky hisab sy create hoty hain ky agar downtrend main movement kerti hui market kisi point sy reverse ho ker upward movement shoru kerti hai tou same point market ki support ban jati hai aur agar uptrend main movement kerty huey market kisi point sy reverse ho ker downward movement kerna shoru ker deti hai tou same point ko market resistance kehty hain ky jab market dobara same support ya resistance per ponchty hain tou market ky wahan sy reversal ky chances hoty hain aur breakout per same order main market ki movement confirm hoti hai jis sy faida hasil kia ja sakta hai
    Click image for larger version

Name:	supp&resist.png
Views:	1
Size:	91.2 کلوبائٹ
ID:	12486972

    Technical Analysis for Profit Earning

    Forex market main all the time hamain trade enter kerny sy pehly market ky technical analysis kerna hoty hain ky agar market without any news or event movement ker rehi hoti hai tou woh technical analysis ko follow kerty huey movement ker rehi hoti hai ky agar ham sirf market ky technical analysis bhi ker lety hain tou hamain trade continue kerny per achi earning hasil ho sakti hai lekin same strategy news time per ya kisi event time per unsuccessful ho sakti hai ky same time per market phir fundamental analysis ko follow kerna shoru ker deti hai lekin normal time main sirf technical analysis hi profit earning ka source hoty hain ky agar ham achy technical analysis ker lety hain tou hamain maximum trades main profit hasil hota hai
    Click image for larger version

Name:	success.png
Views:	1
Size:	70.9 کلوبائٹ
ID:	12486973
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Importance of Technical Analysis in Forex Trading

    Technical Analysis


    Technical analysis me traders ya analyst qeematon ki bunyadi harkat (movement) ka mutalea (study) karte hen. Analysis k dowran traders qeematon ki pehle movements ko mojoda trading soratehal k sath muwazena karte hen, aur mustaqbil ki movement ka tayun (prediction) karte hen.
    Technical analysis me traders mukhtalif qisam k technical tools ka istemal karte hen, jo humen forex trading plateforme se me mel jate hen. Technical tools qeematon k sabeqa movement ko mojoda movement k sath mushabehat karte hen, jis se wo market k agli situation k bare me batate hen. Market me qeematen hamesha aik khas trend ya aik khas rules k mutabiq movement karti hai, is waja se technical analysis bohut zyada successful rehte hen.
    Technical analysis na sirf traders ko market ki soratehal se agah karte hen, bulke ye traders ko market me entry aur exit ki bhi pori information dete hen. Trading me trading plan k mutabiq take profit aur stop loss ki munasib position k bare me batate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (132).jpeg
Views:	3
Size:	39.8 کلوبائٹ
ID:	12354635

    Technical Analysis me Istemal hone wale Tools:


    Technical analysis aik candle par bhi mumkin hai aur long pattern k chart pattern par bhi muheet ho sakte hen. Is waja se technical analysis karne k leye traders mukhtalif qisam k tools ka sahar lete hen, jin ki tafseel darja-zel hai;

    Candlestick Pattern


    Candle stick pattern mukhtalif shape aur pattern k hote hen, jis me candles ki tadad mukhtalif hoti hai. Candle stick pattern aik candle k bhi ho sakte hen, jaise; doji candle Marubozu candle, Hammer candle waghera. Candlestick ka normal market me ziada amal dakhal nahi hota, lekin agar ye high price area jaise bullish trend ya low price area jaise beariah trend k baad bante hen, tab in ki ahmeyat barhti hai. Candle stick pattern do ya do se ziada candles ho sakti hai, haise bullish and bearish Kicking Pattern, bullish and bearish harami candles, bullish and bearish baby abandoned waghra, shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20211219_113033.jpg
Views:	1
Size:	17.0 کلوبائٹ
ID:	12354637

    Chart Patterns


    Technical analysis me chart pattern ka bhi istemal bohut zyada hota hai, aur aksar ye chart pattern long term k traders istemal karte hen, jo k un k leye bohut profitable bhi hote hen. Chart pattern me kafi ziada candles hoti hen, aur in pattern ko malom karna thora mushkil zaror hota hai, lekin ye pattern trading me payedar hote hen. Chart patterns me, bullish and bearish symmetrical triangle pattern, bullish and bearish Pennants pattern, flag pattern, diamond pattern waghera shamil hen.

    Click image for larger version

Name:	images (133).jpeg
Views:	1
Size:	31.9 کلوبائٹ
ID:	12354636

    Technical Indicators ka Istemal


    Technical analysis k leye sab se ziada technical indicators ka istemal kia jata hai. Wese normal dekhne me to ye indicators itne ziada mushkil dekhaye nahi dete, lekin is ko trading k mutabiq mukamal seekhna thora mushkil zaror ho sakta hai. Technical indicators market ki sabeqa qeematon ko janchte hen aur un se aik khas qisam k result lete hen aur pher us ki bunyad pe humen agli movement k bare me information dete hen. Technical indicator me pehle se mathematically sare formule mojod hote hen, jin hamare asane k leye tarteeb deye hote hen.

    Click image for larger version

Name:	download (6).jpeg
Views:	1
Size:	13.6 کلوبائٹ
ID:	12354638

    Indicator aur Chart Pattern ka Combined Istemal


    Technical analysis me ziada tar analyst candlestick chart pattern aur technical indicator ka combined istemal karte hen, jis se wo behtar result hasil karte hen. Technical indicator k sath price action aur candle pattern market ki movement ka sahi semat batati hai. Ye humen breakout ya breakdown k soratehal se behtar waqif kawati hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X