Diffrence Between Leading and Logging Indicators.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Diffrence Between Leading and Logging Indicators.
    Difference Between Leading and Logging Indicators :




    Assalam-o-alakum dear seniors and juniors. Umeed krta hon k ap kheriyat sy hon. Or forex trading sy ak daily k basis py ak acha profit gain kr rahy hongy. Dear forex members forex trading mai bohot sary indicators use hoty hen. Jin ki help sy hum forex market ka technical analysis krny mai asani hoti hai. Indicator trader assistant k tor pr work krty hen. Ye traders ko signal provide krty hen. K kis time traders ko konsi trade open krni hai. So hum in indicators ki help sy ak acha advantage hasil krny mai kamyab ho jaty hen.






    Forex Indicators :




    Dear forex members forex trading meta trading 4 application sy operate ki ja sakti hai. Is platform mai bohot sary indicators available hoty hen. Kuch indicators lagging hotyhoty hen. Or kuch leading hoty hen. Indicator trade ko assist krty hen. K is ny kis time pr trade ko open krna hai. Or kis time py exit krna hai. In short trader ko forex chart ki ye information provide krty hen. K market ki movement is time konsy trend mai hai.






    Leading Indicator :



    Dear forex members leading indicator ak aisa technical indicator hai. Jo market ki past price ko use krty huwy future price movement ko indicate krta hai. Ye indicator hamen market ki information tb deta hai. Jb wo start bhi ni hoti. Hamen is indicator ka ye faida hota hai. K wo trend change hony k start mai he market mai in ho jata hai. Or is indicator ka disadvantage ye hai. K ye indicator aksar trap ko bhi trend change ki indication dy dety hen. Jis pr hum amal kr k trap mai phans jaty hen. To ye hamary leye loss ki bari wajah ban sakta hai. Aisy mai hamara account he wash ho sakta hai.


    Click image for larger version

Name:	images (5) (40).jpeg
Views:	1
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12486931


    Click image for larger version

Name:	images (5) (41).jpeg
Views:	1
Size:	5.9 کلوبائٹ
ID:	12486934



    Lagging Indicator :



    Dear forex members Lagging Indicator jesa k is k nam sy zahir hai. K market ko lag krty hen. Hamen is indicator ko market mai movement ki occurance k bad inform krty hen. Is ka mtlb k hamen market mai enter hony sy phly kuch pips loose kr dety hen. Kuch trader is indicator ko favourite smjhty hen. Q k ye market ki confirmation krny k bad value show krta hai. So trader is base pr acha profit earn kr sakty hen.


    Click image for larger version

Name:	images (1) (58).png
Views:	6
Size:	13.7 کلوبائٹ
ID:	12486932


    Click image for larger version

Name:	images (1) (57).png
Views:	1
Size:	5.8 کلوبائٹ
ID:	12486933



    Pros and Cons of Indicator :



    Dear forex members ye indicators hamen ak favourable entry point delany mai helpful hoty hen. Or hum timely market mai enter ho jaty hen. In indicators ko use krny sy hum apny account k risk ko km kr sakty hen. So hum ho hr sorat mai apny experience k sath sath indicators ko bhi use krna chaheye.



    Click image for larger version

Name:	images (5) (42).jpeg
Views:	1
Size:	15.9 کلوبائٹ
ID:	12486937


  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Diffrence Between Leading and Logging Indicators.

    Financial Technical Indicators


    Click image for larger version

Name:	images (223).png
Views:	5
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12354577

    Financial market me aur forex trading market me qeematon ki prediction (agli movement) ko malom karne k leye technical indicators ka bohut hi ziada istemal kia jata hai. Bulke hum ye keh sakte hen, k bagher technical indicators k technical analysis na mumkin hai.
    Financial market me do tarah k technical indicators ka istemal hota hai, aik leading indicator aur dosra lagging indicator. In dono indicators ki apne apne hososeyat hen, jis ko traders istemal karke apna daida hasil karte hen.

    Leading Indicators


    Click image for larger version

Name:	images (222).png
Views:	7
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12354578

    Leading indicators k naam se saaf zahir hai, k ye indicators qeematon k movements ka pehle se hi andaza laga dete hen. In indicators ko momentum oscillators bhi kaha jata hai, aur ye market ki guzarne wali haleya qeematen aur us movement ki raftar humen batati hai. Ye indicators market ki kami taazi ya asal jazbaat ki pemayesh karte hen. Ye market ki mazi ki muqarara istemal karte hen. Misal k tawar par agar hum RSI k 14-days ki baat karen to is me RSI indicator me sirf guzeshta 14 dino ki price action hogi, is k elawa baqi qeematon k tamam trends ko khatam kar deya jata hai.
    Leading indicators ki kuch aam misalon me Commodity Channel Index (CCI), Relative Strength Index (RSI), Stochastic Oscillator, aur Williams %R shamil hen.

    Leading Indicators k Fawayed aur Nuqsanat

    Leading indicators ka pehle se zikar ho chuka hai, k ye market me pehle hi qeematon ki agli movement bata dete hen, khas kar sideways market me. Ye indicators sideways market me traders ko bohut zyada trading opportunities deti hen k wo pehle se hi market me entry ya exit karen.
    Advance ya early signal ka faida to hai k humen ziada trading k muqa melta hai, jis se ziada munafa mumkin hai, lekin dosri taraf is me risk bhi bohut zyada hai. Aksar awqat trending market me khamaya jane wala ziada tar munafa whipsaws, overtrading, aur brokerage commissions me zaya ho jata hai.

    Lagging Indicators


    Click image for larger version

Name:	images (221).png
Views:	8
Size:	3.9 کلوبائٹ
ID:	12354576

    Lagging indicators market ki maojoda qeematon ko read karke agale movement ki prediction karte hen. Forex trading ki aik mashahoor kahawat hai keh "trend is your friend". Trend ko malom karne k leye hamesha lagging indicators ka istemal kia jata hai. Lagging indicators humen market me qeematen kisi aik side k trend (bullish ya bearish trend) pe move ho jane k baad batate hen, jis tarah jab bhi qeematen aik dafa trend me chal parti hai to moving average us ko sahi direction deti hen (Moving average ka istemal us waqat nahi karna chaheye, jab bhi qeematen high price ya lower price area me hon).
    Moving Averages (M.A), Moving Averages Convergence Divergence (MACD), Consumers Price Index (CPI) waghea Lagging indicators ki misalen hen.

    Lagging Indicators k Fawayed aur Nuqsanat

    Lagging indicators market prediction market k bulkul mutabiq hoti hai. Ye indicators bohut kam hi humen loss de jate hen. Ye Indicators chonkeh market ka trend shoro hone k baad hi humen signal dete hen is waja se is me nakami k chances bhi bohut kam hote hen.
    Lagging indicators hum short term trading k leyw istemal nahi kar sajte, q k trend shoro hone k baad humen bohut kam munafa melta hai. Aksar ziada tar indicators trend khatam hone pe bhi trend ko continue dekha rahe hote hen, jis se loss hone k chances hoten hen.

    Conclusion


    Leading indicators aur lagging indicators k apne apne fawayed aur nuqsanat hai. Short term traders k leye leading indicators ziada faida mand hen, q k un ko qeematon k small movement se bhi faida uthana hota hai, jab k long term k traders k leye lagging indicators ziada faida mand hote hen, q k long term k traders market me ziada waqat k leye samaya lagaye howe hote hen.

    اب آن لائن

    Working...
    X